Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 5 July 2020

Surah Al-Kahaf ki fazilatein

Bismillahirrahmanirraheem

Hadith: Surah Al-Kahaf ki fazilatein 
--------------
✦ Rasool-Allah sallallahu Alaihi wassllam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega 
Mustadrak Hakim 3392-Sahih
Sahih Al jamee 6470

✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya jisne Juma ki raat surah kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan noor ki 
roshni ho jati hai 
(Note : jumerat ko magrib ke baad se juma ki raat shuru ho jati hai)
Saheeh Al-Jaami, 6471, 

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega 
Sahih Muslim, Vol 1, 1883 

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis shaks ne surah Al-Kahf us tarha padhi ( jis tarha nazil huye)  to ye aamal uske liye qayamat ke din uski qayam gah se le kar Makka tak noor ka sabab hoga
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2977

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...