Bismillahirrhmanirrahim
Hadith: Jab bhi koi Musalman shakhs inn duao ko pardh kar dua karega to Allah Subhanahu ta'ala iss ki duao ko qubool farmaiye ga
------------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya : ” Dhun-Nun ( Yunus Alehi Salaam) ki dua jo unhon ne machhli ke pait mein rehne ke douran ki thi woh yeh thi :
« لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ »
” Tere siwa koi mabood barhaq nahi, to paak hai, mein hi zalim ( khatakaar ) hon“, kyunkey yeh aisi dua hai ke jab bhi koi musalman shakhs usay parh kar dua kerega to Allah taala is ki dua qubool farmaiye ga“
----------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 3505
--------------
Rasool-Allah (ﷺ) ne ek shakhs ko ye dua karte huye suna
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِأَنَّ لَكَ الْحَمْدَ، لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ وَحْدَكَ لَا شَرِيكَ لَكَ، الْمَنَّانُ بَدِيعُ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ، ذُو الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ،
Allahumma! Inni Asaluka Bi-Anna Lakal-Hamd. La ilaha illa Anta, Wahdaka La sharika Lak, Al-Mannan. Badi-us-samawati Wal-ard, Dhul-jalali wal-ikram
Eh Allah main tujhse sawal karta hu kyunki tere hi liye hamd hai tere siwa koi mabud e barhaq nahi , tu akela hai , tera koi sharik nahi, tu bahut ehsan karne wala hai, aasmano aur zameeno ko baghair misal ke paida karne wala hai Jalal aur azmat wala hai
ye sunne ke baad Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya is shakhs ne Allah se uske ism-e-Aazam ke zariye sawal kiya hai jab bhi uske jariye sawal kiya jata hai to wo ata karta hai aur jab uske zariye dua maangi jati hai to wo qubul karta hai
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 738-Hasan
No comments:
Post a Comment