Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 26 January 2021

Wo kahega ke kaash! Mein ne apni (iss) Zindagi ke liye kuch aage bheja hota




Bismillahirrahmannirrahim

يَقُولُ يَا لَيْتَنِي قَدَّمْتُ لِحَيَاتِ
-----
Wo kahega ke kaash! Mein ne apni (iss) Zindagi ke liye kuch aage bheja hota
----
وہ کہے گا کہ کاش! میں نے اپنی (اس) زندگی کیلئے کچھ آگے بھیجا ہوتا
----
He will say, "Oh, I wish I had sent ahead [some good] for my life."
-----
Surah Al Fajr: (89:24)
https://pin.it/1MPHh0q


 

Aur Jo Mere ZIKR se Muh Modega to uski Zindagi Tangee mein rahegi.




Bismillahirrahmannirrahim

وَمَنْ أَعْرَضَ عَن ذِكْرِي فَإِنَّ لَهُ مَعِيشَةً ضَنكً
-----
Aur Jo Mere ZIKR se Muh Modega to uski Zindagi Tangee mein rahegi.
-----
اور جو میرے ذکر سے منہ موڑے گا اس کی زندگی تنگی میں رہے گی  
------
And Whoever turns away from My Remembrance Indeed, he will have depressed Life.
------
Surah Taha: (20:124)
https://pin.it/1MPHh0q


 

Eh hamare RABB meri dua Qubul farma

 




Bismillahirrahmanirrahim

رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ
----
Eh hamare RABB meri dua Qubul farma
----
 اے ہمارے رب میری دعا قبول فرما
----
Our Lord ! accept my invocation.
----
Surah Ibrahim: (14:40)
https://pin.it/1MPHh0q


"Eh mere RABB! mujhe akela na chordh"



Bismillahirrahmannirrahim

رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا

"Eh mere RABB! mujhe akela na chordh"
----
"اے میرے رب! مجھے اکیلا نہ چھوڑ"
----
"ऐ मेरे रब! मुझे अकेला न छोड़"
---- 
“My Lord, do not leave me alone"
----
Surah Al Anbiya (21:89)
https://www.youtube.com/channel/UCU2nOLxH61z8na1INbcK0Pg?guided_help_flow=3


 

Eh Mere RABB mujhe Ilm o Hikmat aata farma aur mujhe neik logo mein shamil farma.




Bismillahirrahmannirrahim

رَبِّ هَبْ لِي حُكْمًا وَأَلْحِقْنِي بِالصَّالِحِينَ
----
Eh Mere RABB mujhe Ilm o Hikmat aata farma aur mujhe neik logo mein shamil farma.
----
اے میرے رب مجھے (علم و حکمت) عطا فرما اور مجھے نیک لوگوں میں شامل فرما
----
ऐ मेरे रब्ब मुझे इल्म ओ हिकमत आता फ़ार्मा और मुझे नेक लोगो में शामिल फ़ार्मा.
----
“My Lord! Grant me knowledge & wisdom, and include me with the righteous.
----
Surah Ash-Shu'ara:(26:83)

https://pin.it/3oQ8X8A


 

Aur duniya ki zindagi to sirf dhoke ki jinss hain.




Bismillahirrahmannirrahim

وَمَا الْحَيَاةُ الدُّنْيَا إِلَّا مَتَاعُ الْغُرُورِ
------
Aur duniya ki zindagi to sirf dhoke ki jinss hain. 
------
اور دنیا کی زندگی تو صرف دھوکے کی جنس ہے
------
And what is the life of this World except the enjoyment of delusion.
------
Surah Ale Imran: (03:185)
https://pin.it/1MPHh0q


 

Apne RABB ko pukaro gidgidate huwe aur chupke chupke




Bismillahirahmanirrahim

ادْعُوا رَبَّكُمْ تَضَرُّعًا وَخُفْيَةً
-----
Apne RABB ko pukaro gidgidate huwe aur chupke chupke
---
اپنے رب کو پکارو گڑگڑاتے ہوئے اور چپکے چپکے
---
अपने रब को पुकारो गिड़गिड़ाते हुए और चुपके चुपके
---
Call upon your Lord in humility and privately
---
Surah Al-Aaraf: (07:55)
https://pin.it/1MPHh0q


 

Allah har cheez ka paida karne wala hai

 



Bismillahirrahmannirrahim

اللَّهُ خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ
--------
Allah har cheez ka paida karne wala hai
-------
اللہ ہر چیز کا پیدا کرنے والا ہے
-------
Allah is the Creator of All things
--------
Surah Zumar: (39:62)
https://pin.it/1MPHh0q




Aur tum aise logon ki taraf mat jhukna jo zulm kar rahe hain.

 




Bismillahirrahmannirrahim

وَلَا تَرْكَنُوا إِلَى الَّذِينَ ظَلَمُوا
-----
Aur tum aise logon ki taraf mat jhukna jo zulm kar rahe hain.
-----
اور تم ایسے لوگوں کی طرف مت جھکنا جو ظلم کر رہے ہیں
-----
And do not incline toward those who do wrong
-----
Surah Al Hud: (11:13)


Tum (sab) ko Allah ki taraf lout kar jana hain




Bismillahirrahmannirrahim

إِلَى اللَّهِ مَرْجِعُكُمْ
---
Tum (sab) ko Allah ki taraf lout kar jana hain
---
تم (سب) کو الله کی طرف لوٹ کر جانا ہے
---
To Allah is your return.
---
Surah Al Hud: (11:04)


 

Allah tumhara madadgaar hain aur wo behtareen madad karne wala hain




Bismillahirrahmannirrahim

اللَّهُ مَوْلَاكُمْ ۖ وَهُوَ خَيْرُ النَّاصِرِينَ
----
Allah tumhara madadgaar hain aur wo behtareen madad karne wala hain
----
الله تمہارا مددگار ہے اور وہ بہترین مدد کرنے والا ہے
----
अल्लाह तुम्हारा मददगार है और वो बेहतरीन मदद करने वाला है
----
ALLAH IS YOUR PROTECTOR, And He is the Best of Helpers
----
Surah Ale Imran - (03:150)


 

kaunse shaks ki taraf Allah Subhanahu Qayamat ke din unki taraf nahi dekhega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗    

❗Do sawal hain aur dono sawalo mein jawab ek se ziyada hain
    
Sawal 1:  kaunse shaks ki taraf Allah Subhanahu Qayamat ke din unki taraf nahi dekhega?

A: Walidain ka Na farman.
B: Hamesha Sharab peene wala.
C: Mardon ki Mushabihat Ikhtiyar karne wali Aurat.
D: De kar Ehsan jatlane wala.
E: Sood ka karobar karne wala.
F: Be gairat khawind
G: Na haq kisi pe tohmat lagane wala.
H: Walid ko apna baap manne se inkar kerna.
I. Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal2: Inmein se wo kaun log honge jo Jannat mein dhakil na hosakenge?

A: Walidain ka Na farman.
B: Hamesha Sharab peene wala.
C: Mardon ki Mushabihat Ikhtiyar karne wali Aurat.
D: De kar Ehsan jatlane wala.
E: Sood ka karobar karne wala.
F: Be gairat khawind
G: Na haq kisi pe tohmat lagane wala.
H: Walid ko apna baap manne se inkar kerna.
I. Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab -ACF/ABD✅

Reference 📚:
-----
Hazrat Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se mankhaul hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wassalam ne farmaya Teen shakhs aise hain ke Allah Subahnahu qayamat ke din unki taraf nahi dekhega : Walidain ka nafarman , Mardon ki mushabihat iqtiyar karne wali Aurat aur Be gairat khawind, neez teen shakhs Jannat men dhakil nahin honge : Maa baap ka na farman , Hamesha Sharab peene wala aur de kar Ehsaan jatlane wala..
--------
حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ سے منقول ہے ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :’’ تین شخص ایسے ہیں کہ اللہ تعالیٰ قیامت کے دن ان کی طرف نہیں دیکھے گا : والدین کا نافرمان ، مردوں کی مشابہت اختیار کرنے والی عورت اور بے غیرت خاوند ، نیز تین شخص جنت میں داخل نہ ہوں گے : ماں باپ کا نافرمان ، ہمیشہ شراب پینے والا اور دے کر احسان جتلانے والا ۔‘‘ 
-------
 It was narrated from Salim bin 'Abdullah that his father said: The Messenger of Allah said:  There are three at whom Allah will not look on the Day of Resurrection: The one who disobeys his parents, the woman who imitates men in her outward appearance, and the cuckold. And there are three who will not enter Paradise: The one who disobeys his parents, the drunkard, and the one who reminds people of what he has given them.' 
----
Sunnan e Nisai#2563-Sahih

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apni ootni par sawar hokar khutba de rahe thy aur farmane lage ke logo tum agar usper amal karoge to gumraah nahi honge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apni ootni par sawar hokar khutba de rahe thy aur farmane lage ke logo tum agar usper amal karoge to gumraah nahi honge

Sawal: wo kaunsa amal ke bare mein irshad farma rahe thy

A: Mujhse Mohabbat karne wale
B: Meri Itaat karne wale
C: Mujh par durood behjne wale
D: Allah ki kitab per amal karne wale
E: Waqt par Namaz padhne wale
F: Logo mein sulah karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahi Jawab - D✅

Hadith: Jab tak tum Allah ki kitab (Quran) par amal karoge to gumraah nahi honge

Reference📚:
----
Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu kehte hain ke mein ne Hajj ke mauqe par Arfa ke din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dekha, Aap apni oontni Qaswa par baithe khutba de rahe thy Aap ne farmaya :Eh logo! mein ne tum mein aisi cheez chorhi hain jisse tum pakad loge to gumraah nahi hoge wo hai Allah ki kitaab (Quran) aur mere ghar wale mere Ahle Bait
---
جابر بن عبداللہ   رضی اللہ عنہما  کہتے ہیں کہ میں نے حج کے موقع پر عرفہ کے دن رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو دیکھا، آپ اپنی اونٹنی قصواء پر بیٹھے خطبہ دے رہے تھے۔ آپ نے فرمایا: اے لوگو! میں نے تم میں ایسی چیز چھوڑی ہے جسے تم پکڑ لو گے تو گمراہ نہیں ہوگے وہ ہے اللہ کی کتاب اور میرے گھر والے میرے اہل بیت
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2504-Sahih

Kaunse shakhs ke liye Jannat ke kinaro mein Mahal banaya jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shakhs ke liye Jannat ke kinaro mein Mahal banaya jayega

A: padosi ke saath husn suluk karne wale ke liye
B: Mehman nawazi karta hain
C: Bad zubani nahi karta
D: Jhoot bolna chodh de
E: Haq per hone ke bawajood behas karna chodh de
F: Waledain ki khidmat karta hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab-D✅ 

Jo shakhs jhoot bolna chordh de uske liye Jannat ke kinaro mein ek Mahal banaya jayega

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne jhoot bolna chodh diya aur wo batil par tha to uske liye Jannat ke kinaron mein Ek Mahal banaya jayega aur jisne Haq par hone ke bawajud behas chodh di uske liye Jannat ke beach main ek Mahal banaya jayega aur jisne apne aap ko Husn E Ikhlaq se mazeen kiya uske liye Jannat ke upari hissa main mahal banaya jaega
Sunnan ibn Maja #51-Sahih
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے جھوٹ بولنا چھوڑ دیا اور وہ باطل پر تھا تو اس کے لیے جنت کے کناروں میں ایک محل بنایا جائے گا، اور جس نے حق پر ہونے کے باوجود بحث اور کٹ حجتی چھوڑ دی اس کے لیے جنت کے بیچ میں محل بنایا جائے گا، اور جس نے اپنے آپ کو حسن اخلاق سے مزین کیا اس کے لیے جنت کے اوپری حصہ میں محل بنایا جائے گا
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: 'Whoever gives up telling lies in support of a false claim, a palace will be built for him in the outskirts of Paradise. Whoever gives up argument when he is in the right, a palace will be built from him in the middle (of Paradise). And whoever had good behavior, a palace will be built for him in the highest reaches (of Paradise).' 
Sunnan ibn Maja# 51-Sahih

Ek shakhs ne safar par jane ka irada kiya to wo kuch wasiyat mangne Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ke pass ayaa, usse kuch wasiyat di gayi aur wo wapis chala gaya, jab wo wapis gaya to Rasool-Allah Sallalalhu Alaihi wasallam ne uske liye ek dua irshad farmaye.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek shakhs ne safar par jane ka irada kiya to wo kuch wasiyat mangne Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ke pass ayaa, usse kuch wasiyat di gayi aur wo wapis chala gaya, jab wo wapis gaya to Rasool-Allah Sallalalhu Alaihi wasallam ne uske liye ek dua  irshad farmaye.

Sawal: Wo dua kaunsi thi?

A: بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ
B: أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ
C: اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الْبعد وهون عَلَيْهِ السّفر
D: سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَـٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ
E: اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ
F: اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ إِيمَانًا لَا يَرْتَدُ وَ نَعِيمًا لَا يَنْفَدُ
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahih Jawab - C✅

Mahfhum e hadith: Safar per jab koi rawana ho to usse ye dua de

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke kisi aadmi ne arz kiya, Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! mein safar karna chahta hu, lehaza Aap mujhe koi wasiyat farmaen, Aap Sallalalhu Alahi wasallam ne farmaya: Allah ke taqwa aur har onche jagah par Allahu Akbar padhne ka iltazam karna jab wo aadmi wapas chala gaya to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : 
اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الْبعد وهون عَلَيْهِ السّفر
Allahummaṭwi lahul-arḍa wa hawwin `alaihis-safar
Eh Allah! is ki doori o masafat ko lapait (kar samaitt) de aur safar ko is ke liye aasaan kar de.
----
حضرت ابوہریرہ   ؓ  بیان کرتے ہیں کہ کسی آدمی نے عرض کیا ، اللہ کے رسول ! میں سفر کرنا چاہتا ہوں ، لہذا آپ مجھے کوئی وصیت فرمائیں ، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ اللہ کے تقویٰ اور ہر اونچی جگہ پر اللہ اکبر پڑھنے کا التزام کرنا ۔‘‘ جب وہ آدمی واپس چلا گیا تو آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ اے اللہ ! اس کی دوری و مسافت کو لپیٹ (کر سمیٹ) دے اور سفر کو اس کے لئے آسان کر دے
----
Abu Hurairah [may Allah be pleased with him] narrated that : A man said: “O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, I intend to travel, so advise me.” He said, “Hold fast to the Taqwa of Allah (Fear Allah), and ascending towards the raised ground, you should recite: "Allahu Akbar (Allah is Greatest). When the man turned away, he Sallallahu Alaihi wasallam said,: “O Allah make near for him the distance, and ease for him the journey (Allahummaṭwi lahul-arḍa wa hawwin `alaihis-safar).”
----
Jami` at-Tirmidhi 3445-Sahih
Mishkat ul Masabeeh#2438-Sahih

Kaunsa amal karne par Allah Subhanahu dil ko ghani aur Mohtaji ko door kar dete hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunsa amal karne par Allah Subhanahu dil ko ghani aur Mohtaji ko door kar dete hain?

A: Salam mein pehal
B: Hajj aur Umrah 
C: Namaz
D: Zakat aur sadqa karne par
E: Fajar ke waqt Quran ki tilawat karne par
F: Jihad 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab - G ✅(Ibadat ke liye Farigh)

Insan jab apne app ko Ibadat ke liye farigh kar leta hain to Allah Subhanahu uske dil ko ghani aur mohataji ko dur kar dete hain

Reference📚:
----------------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayati hain ke Nabi Salelahu Alehi Wa Sallam ne farmaya Allah Subhanhu taala farmata hai Ibn Adam meri Ibadat ke liye farigh hoja, mein tere dil ko Ghani se bhar dunga, teri mohtaji durr kar dunga aur agar to ne aisa nahi kiya to tujhe masrufiyat mein phansa dunga aur teri mohtaji bhi durr nahi karoonga
----------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: ابن آدم میری عبادت كے لئے فارغ ہو جا، میں تیرے دل كو غنیٰ سے بھر دوں گا، تیری محتاجی دور كر دوں گا اور اگر تو نے ایسا نہ كیا تو تجھے مصروفیت میں پھنسا دوں گا اور تیری محتاجی بھی دور نہیں كروں گا ۔
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1336-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaaya tumhara Hashar unhi ke saath hoga jinse tum Mohabbat rakhte ho

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaaya tumhara Hashar unhi ke saath hoga jinse tum Mohabbat rakhte ho

Sawal: Ye hadees sun kar kisne ye farmaya humein kabhi itni khushi kisi baat se bhi nahi hui jitni aap ki ye hadees sun kar huwi hain? 

A: Umar RadiAllahu Anhu
B: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
C: Zaid RadiAllahu Anhu
D: Abu Huraira RadiAllahu Anhu
E: Anas RadiAllahu Anhu
F: Aisha RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab – E✅

Hadith: ”Tumhara hashar inhen ke sath hoga jin se tumhe mohabbat hain.. SubhanAllah”

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se qayamat ke bare mein poocha ke qayamat kab qaim hogi? is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke tum ne qayamat ke liye tayari kya ki hain? unhon ne arz kiya kuch bhi nahi, siwa is ke ke mein Allah aur is ke Rasool se mohabbat rakhta hu Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke phir tumhara hashar bhi inhen ke sath hoga jin se tumhe Mohabbat hain. “Anas RadiAllahu Anhu ne bayan kiya ke humein kabhi itni khushi kisi baat se bhi nahi huwi jitni Aap ki ye hadees sun kar huwi ke ”Tumhara hashar inhen ke sath hoga jin se tumhe mohabbat hain. “Anas RadiAllahu ne kaha ke mein bhi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se aur Abu Bakr o Umar RadiAllahu Anhuma se Mohabbat rakhta hu aur unse apni is mohabbat ki wajah se umeed rakhta hu ke mera hashar inhen ke saath hoga, agarchay mein un jaisay amal na kar saka
----
Narrated Anas: A man asked the Prophet (ﷺ) about the Hour (i.e. Day of Judgment) saying, "When will the Hour be?" The Prophet (ﷺ) said, "What have you prepared for it?" The man said, "Nothing, except that I love Allah and His Apostle." The Prophet (ﷺ) said, "You will be with those whom you love." We had never been so glad as we were on hearing that saying of the Prophet (i.e., "You will be with those whom you love.") Therefore, I love the Prophet, Abu Bakr and `Umar, and I hope that I will be with them because of my love for them though my deeds are not similar to theirs.
-------
 ایک صاحب ( ذوالخویصرہ یا ابوموسیٰ ) نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے قیامت کے بارے میں پوچھا کہ قیامت کب قائم ہو گی ؟ اس پر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : تم نے قیامت کے لیے تیاری کیا کی ہے ؟ انہوں نے عرض کیا کچھ بھی نہیں ، سوا اس کے کہ میں اللہ اور اس کے رسول سے محبت رکھتاہوں ۔ آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ پھر تمہارا حشر بھی انہیں کے ساتھ ہو گا جن سے تمہیں محبت ہے ۔ “ حضرت انس رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ ہمیں کبھی اتنی خوشی کسی بات سے بھی نہیں ہوئی جتنی آپ کی یہ حدیث سن کر ہوئی کہ ” تمہارا حشر انہیں کے ساتھ ہو گا جن سے تمہیں محبت ہے ۔ حضرت انس رضی اللہ عنہ نے کہا کہ میں بھی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے اور حضرت ابوبکر وعمر رضی اللہ عنہما سے محبت رکھتاہوں اور ان سے اپنی اس محبت کی وجہ سے امید رکھتاہوں کہ میرا حشر انہیں کے ساتھ ہو گا ، اگرچہ میں ان جیسے عمل نہ کر سکا ۔
----
Sahih Bukhari#3688-Sahih

Jo shakhs apne gusse ko rok le ya apne gusse ke mutabiq amal karne ki taqat ke bawajud apne gusse ko pee gaya to uske liye kya ajar hain

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal:  Jo shakhs apne gusse ko rok le ya apne gusse ke mutabiq amal karne ki taqat ke bawajud apne gusse ko pee gaya to uske liye kya ajar hain 

A: Qayamat ke din farishte us par saya kiye hoge
B: 100 gardane aazad karne ka ajar hain
C: Allah Subhanahu uske aibo par parda dal dega
D: Qayamat ke din Ambiya shuhda siddiqeen ke sath hisab hoga
E: Allah Subhanahu dunya mein izzat se nawaz dega
F: Qayamat ke din Allah Subhanahu uske dil ko ummed se bhar dega
G: Allah Subhanahu uske dil ko reham se bhar dega
H: Sahi jawab ka intezar hain
**************
Sahi jawab - CF✅

Hadith: Allah Subahanhu ko sabse ziyada Mehboob Aamal

Reference📚:
-----
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain unho ne kaha ke ek aadmi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke pass aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool! Kaunsa shakhs Allah ko ziyada mehboob hain aur kaunsa amal Allah ko ziyada pasand hai hai? Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :logo mein sab se ziyada mehboob Allah ke han wo shakhs hai jo logo ko sabse ziyada nafa dene wala hain. Aur Allah ko sab se ziyada pasandeda amal wo khushi hai jo musalman kisi dusre musalman ko de ya uss se musibat durr kare, ya uska qarz ada kare ya uski bhuk khatam kare, aur agar mein kisi bhai ke sath uski zaroorat puri karne ke liye chalu to ye mujhe uss masjid (yani masjid e Nabwi) mein ek maah etikaf mein baithne se ziyada mehboob hain.
Jis shakhs ne apna gussa roka Allah Subhanahu uske aibo par parda dal dega, jo shakhs apne gusse ke mutabiq amal karne ki taqat ke ba wajud apne gusse ko pee gaya. Allah Subhanahu qayamat ke din uske dil ko ummed se bhar dega. Aur jo shakhs apne bhai ke sath uski zaroorat pori hone tak uske sath chala usey uss din sabit qadam rakhege jis din qadam dagmaga rahe hoge (aur yakhinan bad Akhlakhi amal ko kharab kar deti hai jis tarha sirka shahed ko kharab kar deta hain)
----
 عبداللہ بن عمر سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ: ایک آدمی نبی ﷺکے پاس آیا اور کہا اے اللہ کے رسول! کونسا شخص اللہ کو زیادہ محبوب ہے اور کونسا عمل اللہ کو زیادہ پسند ہے؟ رسول اللہ ﷺنے فرمایا: لوگوں میں سب سے زیادہ محبوب اللہ کے ہاں وہ شخص ہے جو لوگوں کو سب سے زیادہ نفع دینے والا ہے ۔ اور اللہ کو سب سے زیادہ پسندیدہ عمل وہ خوشی ہے جو مسلمان کسی دوسرے مسلمان کو دے، یا اس سے مصیبت دور کرے ،یا اس کا قرض ادا کرے یا اس کی بھوک ختم کرے، اور اگر میں کسی بھائی کے ساتھ اس کی ضرورت پوری کرنے کے لئے چلوں تو یہ مجھے اس مسجد  ( یعنی مسجد نبوی )  میں ایک ماہ اعتکاف  میں بیٹھنے سے زیادہ محبوب ہے۔ جس شخص نے اپنا غصہ روکا اللہ تعالیٰ اس کے عیوب پر پردہ ڈال دے گا، جو شخص اپنے غصے کے مطابق عمل کرنے کی طاقت کے باوجود اپنے غصے کو پی گیا۔ اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس کے دل کو امید سے بھر دے گا۔ اور جو شخص اپنے بھائی کے ساتھ اس کی ضرورت پوری ہونے تک اس کے ساتھ چلا تو اللہ تعالیٰ اسے اس دن ثابت قدم رکھیں گے جس دن قدم ڈگمگا رہے ہوں گے  ( اور یقیناً بد اخلاقی عمل کو خراب کر دیتی ہے جس طرح سرکہ شہد کو خراب کر دیتا ہے )
----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 209-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...