❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunsa amal karne par Allah Subhanahu dil ko ghani aur Mohtaji ko door kar dete hain?
A: Salam mein pehal
B: Hajj aur Umrah
C: Namaz
D: Zakat aur sadqa karne par
E: Fajar ke waqt Quran ki tilawat karne par
F: Jihad
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab - G ✅(Ibadat ke liye Farigh)
Insan jab apne app ko Ibadat ke liye farigh kar leta hain to Allah Subhanahu uske dil ko ghani aur mohataji ko dur kar dete hain
Reference📚:
----------------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayati hain ke Nabi Salelahu Alehi Wa Sallam ne farmaya Allah Subhanhu taala farmata hai Ibn Adam meri Ibadat ke liye farigh hoja, mein tere dil ko Ghani se bhar dunga, teri mohtaji durr kar dunga aur agar to ne aisa nahi kiya to tujhe masrufiyat mein phansa dunga aur teri mohtaji bhi durr nahi karoonga
----------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: ابن آدم میری عبادت كے لئے فارغ ہو جا، میں تیرے دل كو غنیٰ سے بھر دوں گا، تیری محتاجی دور كر دوں گا اور اگر تو نے ایسا نہ كیا تو تجھے مصروفیت میں پھنسا دوں گا اور تیری محتاجی بھی دور نہیں كروں گا ۔
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1336-Sahih
No comments:
Post a Comment