Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 26 January 2021

Jo shakhs apne gusse ko rok le ya apne gusse ke mutabiq amal karne ki taqat ke bawajud apne gusse ko pee gaya to uske liye kya ajar hain

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal:  Jo shakhs apne gusse ko rok le ya apne gusse ke mutabiq amal karne ki taqat ke bawajud apne gusse ko pee gaya to uske liye kya ajar hain 

A: Qayamat ke din farishte us par saya kiye hoge
B: 100 gardane aazad karne ka ajar hain
C: Allah Subhanahu uske aibo par parda dal dega
D: Qayamat ke din Ambiya shuhda siddiqeen ke sath hisab hoga
E: Allah Subhanahu dunya mein izzat se nawaz dega
F: Qayamat ke din Allah Subhanahu uske dil ko ummed se bhar dega
G: Allah Subhanahu uske dil ko reham se bhar dega
H: Sahi jawab ka intezar hain
**************
Sahi jawab - CF✅

Hadith: Allah Subahanhu ko sabse ziyada Mehboob Aamal

Reference📚:
-----
Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain unho ne kaha ke ek aadmi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke pass aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool! Kaunsa shakhs Allah ko ziyada mehboob hain aur kaunsa amal Allah ko ziyada pasand hai hai? Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :logo mein sab se ziyada mehboob Allah ke han wo shakhs hai jo logo ko sabse ziyada nafa dene wala hain. Aur Allah ko sab se ziyada pasandeda amal wo khushi hai jo musalman kisi dusre musalman ko de ya uss se musibat durr kare, ya uska qarz ada kare ya uski bhuk khatam kare, aur agar mein kisi bhai ke sath uski zaroorat puri karne ke liye chalu to ye mujhe uss masjid (yani masjid e Nabwi) mein ek maah etikaf mein baithne se ziyada mehboob hain.
Jis shakhs ne apna gussa roka Allah Subhanahu uske aibo par parda dal dega, jo shakhs apne gusse ke mutabiq amal karne ki taqat ke ba wajud apne gusse ko pee gaya. Allah Subhanahu qayamat ke din uske dil ko ummed se bhar dega. Aur jo shakhs apne bhai ke sath uski zaroorat pori hone tak uske sath chala usey uss din sabit qadam rakhege jis din qadam dagmaga rahe hoge (aur yakhinan bad Akhlakhi amal ko kharab kar deti hai jis tarha sirka shahed ko kharab kar deta hain)
----
 عبداللہ بن عمر سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ: ایک آدمی نبی ﷺکے پاس آیا اور کہا اے اللہ کے رسول! کونسا شخص اللہ کو زیادہ محبوب ہے اور کونسا عمل اللہ کو زیادہ پسند ہے؟ رسول اللہ ﷺنے فرمایا: لوگوں میں سب سے زیادہ محبوب اللہ کے ہاں وہ شخص ہے جو لوگوں کو سب سے زیادہ نفع دینے والا ہے ۔ اور اللہ کو سب سے زیادہ پسندیدہ عمل وہ خوشی ہے جو مسلمان کسی دوسرے مسلمان کو دے، یا اس سے مصیبت دور کرے ،یا اس کا قرض ادا کرے یا اس کی بھوک ختم کرے، اور اگر میں کسی بھائی کے ساتھ اس کی ضرورت پوری کرنے کے لئے چلوں تو یہ مجھے اس مسجد  ( یعنی مسجد نبوی )  میں ایک ماہ اعتکاف  میں بیٹھنے سے زیادہ محبوب ہے۔ جس شخص نے اپنا غصہ روکا اللہ تعالیٰ اس کے عیوب پر پردہ ڈال دے گا، جو شخص اپنے غصے کے مطابق عمل کرنے کی طاقت کے باوجود اپنے غصے کو پی گیا۔ اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس کے دل کو امید سے بھر دے گا۔ اور جو شخص اپنے بھائی کے ساتھ اس کی ضرورت پوری ہونے تک اس کے ساتھ چلا تو اللہ تعالیٰ اسے اس دن ثابت قدم رکھیں گے جس دن قدم ڈگمگا رہے ہوں گے  ( اور یقیناً بد اخلاقی عمل کو خراب کر دیتی ہے جس طرح سرکہ شہد کو خراب کر دیتا ہے )
----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 209-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...