Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 26 January 2021

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaaya tumhara Hashar unhi ke saath hoga jinse tum Mohabbat rakhte ho

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz 

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaaya tumhara Hashar unhi ke saath hoga jinse tum Mohabbat rakhte ho

Sawal: Ye hadees sun kar kisne ye farmaya humein kabhi itni khushi kisi baat se bhi nahi hui jitni aap ki ye hadees sun kar huwi hain? 

A: Umar RadiAllahu Anhu
B: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
C: Zaid RadiAllahu Anhu
D: Abu Huraira RadiAllahu Anhu
E: Anas RadiAllahu Anhu
F: Aisha RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab – E✅

Hadith: ”Tumhara hashar inhen ke sath hoga jin se tumhe mohabbat hain.. SubhanAllah”

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se qayamat ke bare mein poocha ke qayamat kab qaim hogi? is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke tum ne qayamat ke liye tayari kya ki hain? unhon ne arz kiya kuch bhi nahi, siwa is ke ke mein Allah aur is ke Rasool se mohabbat rakhta hu Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke phir tumhara hashar bhi inhen ke sath hoga jin se tumhe Mohabbat hain. “Anas RadiAllahu Anhu ne bayan kiya ke humein kabhi itni khushi kisi baat se bhi nahi huwi jitni Aap ki ye hadees sun kar huwi ke ”Tumhara hashar inhen ke sath hoga jin se tumhe mohabbat hain. “Anas RadiAllahu ne kaha ke mein bhi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se aur Abu Bakr o Umar RadiAllahu Anhuma se Mohabbat rakhta hu aur unse apni is mohabbat ki wajah se umeed rakhta hu ke mera hashar inhen ke saath hoga, agarchay mein un jaisay amal na kar saka
----
Narrated Anas: A man asked the Prophet (ﷺ) about the Hour (i.e. Day of Judgment) saying, "When will the Hour be?" The Prophet (ﷺ) said, "What have you prepared for it?" The man said, "Nothing, except that I love Allah and His Apostle." The Prophet (ﷺ) said, "You will be with those whom you love." We had never been so glad as we were on hearing that saying of the Prophet (i.e., "You will be with those whom you love.") Therefore, I love the Prophet, Abu Bakr and `Umar, and I hope that I will be with them because of my love for them though my deeds are not similar to theirs.
-------
 ایک صاحب ( ذوالخویصرہ یا ابوموسیٰ ) نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے قیامت کے بارے میں پوچھا کہ قیامت کب قائم ہو گی ؟ اس پر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : تم نے قیامت کے لیے تیاری کیا کی ہے ؟ انہوں نے عرض کیا کچھ بھی نہیں ، سوا اس کے کہ میں اللہ اور اس کے رسول سے محبت رکھتاہوں ۔ آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ پھر تمہارا حشر بھی انہیں کے ساتھ ہو گا جن سے تمہیں محبت ہے ۔ “ حضرت انس رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ ہمیں کبھی اتنی خوشی کسی بات سے بھی نہیں ہوئی جتنی آپ کی یہ حدیث سن کر ہوئی کہ ” تمہارا حشر انہیں کے ساتھ ہو گا جن سے تمہیں محبت ہے ۔ حضرت انس رضی اللہ عنہ نے کہا کہ میں بھی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے اور حضرت ابوبکر وعمر رضی اللہ عنہما سے محبت رکھتاہوں اور ان سے اپنی اس محبت کی وجہ سے امید رکھتاہوں کہ میرا حشر انہیں کے ساتھ ہو گا ، اگرچہ میں ان جیسے عمل نہ کر سکا ۔
----
Sahih Bukhari#3688-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...