Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
----
Hazrat Abdullah ibn umar RadiAllahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : koi din nahi, jo Allah Subhanahu ke haan ziyada Azmat wale ho aur jin mein naik amal is ko sab se ziyada pasand (mehboob) ho, ba nisbat un 10 dinon ke, pas un mein bahut ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) bayan kiya karo (yani padha karo)
---
سیّدنا عبد اللہ بن عمر رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: کوئی دن نہیں، جو اللہ تعالیٰ کے ہاں زیادہ عظمت والے ہوں اور جن میں نیک عمل اس کو سب سے زیادہ پسند ہو، بہ نسبت ان دس دنوں کے، پس ان میں بہت زیادہ تہلیل، تکبیر اور تحمید بیان کیا کرو۔
----
Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer (Allahu Akbar) and Tamheed (Alhumdullilah) during the first 10 days of Dhul Hijja
-----
-----
Abdullah ibn Umar RadiAllahu Anhu narrates that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: “There are no days that are greater before Allah or in which good deeds are more beloved to Him, than these ten days (of Dhul Hijja)), so recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) during them.”
-----
Musnad Ahmed#2882-Sahih
https://www.instagram.com/dailyazkas?r=nametag
https://pin.it/1x8lI7l
https://www.youtube.com/DailyAzkars
Dhul Hijjah ke pehle 10 din un dinon mein se hain jinhein Allah (SWT) ne Qur’an mein azeem shaan din qarar diya hai. In dinon mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar), aur Tamheed (Alhumdulillah) parhna sunnah aur sawaab ka sabab hai. Yeh azkaar na sirf Allah ki yaad dilate hain, balki dil ko sukoon aur ruhani tasalli bhi dete hain.
ReplyDeleteIske ilawa, in mubarak dinon mein dua e masura ka regularly parhna bhi bohot faydemand hai. Yeh dua humein Allah ki maghfirat aur rahmat talash karne ki yaad dilati hai aur hamare ibadat aur aamal mein khuloos paida karti hai. In dinon ka best use karke hum apne Rabb ke aur qareeb ho sakte hain.