Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 31 December 2020

Mahfhum mukammal kijiye wo kaunse azkar ke zariye se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Hifazat aur Aafiyat ki dua kiya karte thy?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum mukammal kijiye wo kaunse azkar ke zariye se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Hifazat aur Aafiyat ki dua kiya karte thy?

A: Allahumma Agfirli Wa tub Alayya Innaka Antat-Tawwabul-Gafoor
B: Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah
C: Allahumma inni Asaluka An Taj'al Kulla Qada'in Qadaytahu Li Khairan
D: Adhhibil basa, Rabban Naas, Washfi Antash-shafi, La Shifa’a illa shifa’uka Shifa’an La Yughadiru Saqama
E: A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin
F: Allahumma inni Aawuzubika an Ushrika Bika WA Ana Aalam, Wa Astagfiruka Limaa Laa Aalam
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab - D✅

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam iss kalimaat ke zariye Hifazat aur Aafiyat ki dua kiya karte thy

Reference📚:
-------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam un kalimaat ke zariya hifazat o Aafiyat ki dua karte thy
 أَذْهِبِ الْبَاسَ رَبَّ النَّاسِ ‏وَاشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُسَقَمًا
Adhhibil basa, Rabban Naas, Washfi Antash-shafi, La Shifa’a illa shifa’uka Shifa’an La Yughadiru Saqama
Eh logon ke RABB! Beemari durr kar de, aur Shifa de, tu he Shifa dene wala hai, Shifa to bas teri he Shifa hai, tu aisi Shifa inayat farma ke koi beemari baqi nah rahe. 
Jab Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wo beemari sakht hogayi jis mein Aap ka inteqaal huwa, to Mein Aap ka haath pakad kar Aap ke jism par padti thi, aur ye kalimaat kehti jati thi, to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne apna haath mere haath se nikaal liya, aur farmaya :
اللهم اغفر لي وألحقني بالرفيق الأعلى
Eh Allah ! Mujhe bakhash de, aur Rafeeqe aala se mila de yahi aakhri kalma tha jo mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna.
---------------
It was narrated that ‘Aishah said: “The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to seek refuge using the following words: ‘Adhhibil-ba’s, Rabbin-nas, washfi Antash-shafi, la shifa’a illa shifa’uka, shifa’an la yughadiru saqaman (Take away the affliction, O Lord of mankind, and grant healing, for You are the Healer and there is no healing that leaves no sickness).’ When the Prophet (ﷺ) fell sick with the sickness that would be his last, I took his hand and wiped it over his body and recited these words. He withdrew his hand from mine and said: ‘O Allah, forgive me and let me meet the exalted companions (i.e., those who occupy high positions in Paradise).’ Those were the last words of his that I heard.”
---------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 1619

Wo kaun log honge jin per zillat aur hiqarat har taraf se cha rahi hogi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kaun log honge jin per zillat aur hiqarat har taraf se cha rahi hogi

A: Takkabur karne wale
B: Zina karne wale
C: Chori karne wale
D: Laanat karne wale
E: Qata Rehmi karne wale
F: Zulm karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - A✅

Takabbur karne walon ka anjaam

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Allaihi wasallam ne farmaya Takabbur karne walon ko logon ki surat mein choti chitiyon ki terhan jama kiya jayega, zillat o hiqarat un par har taraf se cha rahi hogi, yahan tak ke wo jahannum ke Bullas Nami qaid khane mein daakhil ho jayenge, wahan un par aagon ki aag chad aayegi aur unko Tainat Al-Khabal yani Jahanumiyon ki peep pilayi jayegi .
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Those who are arrogant will be gathered like small ants in the form of people, humiliation and disgrace will be upon them from all sides, even in the prison called Hell's Bullas. They will enter therein, and the fire of Hell will burn upon them, and they will be given the Tainat Al-Khabal, that is, the pus of the inmates of Hell.
----
 ۔ سیدنا عبد اللہ بن عمرو بن عاص ‌رضی ‌اللہ ‌عنہما سے مروی ہے کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: تکبر کرنے والوں کو لوگوں کی صورت میں چھوٹی چیونٹیوں کی طرح جمع کیا جائے گا، ذلت و حقارت ان پر ہر طرف سے چھا رہی ہو گی،یہاں تک کہ وہ جہنم کے بولس نامی قیدخانے میں داخل ہو جائیں گے، وہاں ان پر آگوں کی آگ چڑھ آئے گی اور ان کو طینۃ الخبال یعنی جہنمیوں کی پیپ پلائی جائے گی۔
----
Musnad Ahmed#9726-Sahih

wo kaunsa azkar hain jiske padhne wale shakhs ke liye mohar ki tarhan honge jo uske liye pukhta kar di jayegi

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Sawal: wo kaunsa azkar hain jiske padhne wale shakhs ke liye mohar ki tarhan honge jo uske liye pukhta kar di jayegi

A: La illaha Illaha 
B: SubhanAllahi wa Bihamdehi
C: Subhanaka Allahumma wa bihamdika, Astagfiruka wa atubu ilaik
D: Allahumma-ghfir li, warhamni, wa 'afini, warzuqni
E: SubhanAllahi wa Bihamdehi, Subhanaka Allahumma wa bihamdika, ashhadu an la ilaha illa anta, Astagfiruka wa atubu ilaik
F: Subhanaka Allahumma Wa bi hamdika, Wa tabarakas-muka, wa taala jadduka, wa la ilaha gairuka.
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - E✅

jo ye kalimaat adda karega to uss shakhs ke liye mohar ki tarha honge jo uske liye pukhta kar di jayegi

Reference📚:
------
Jabir bin Mut'am RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jis shakhs ne kaha
سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ، سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا أَنْتَ، أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
SubhanAllahi wa Bihamdehi, Subhanaka Allahumma wa bihamdika, ashhadu an la ilaha illa anta, Astagfiruka wa atubu ilaik
Allah apni tareef ke saath paak hain, Eh Allah tu apni tareef ke saath paak hain, Mein gawahi deta hu ke tere ilawa koi sacha mabud nahi, mein tujhse bakhshish (Maghfirat) talab karta hu aur teri taraf ruju karta hu
Iss ne ye kalimaat zikar ki majlis mein kahe to ye Ek mohar ki tarhan honge jo saboot (pukhta) kar di jayegi aur jis shakhs ne laghu ki majlis (yani jaha behuda baatein ki ho) mein kahe ye is ke liye kaffara ban jayenge.
----
Jabir bin Mut'am RadiAllahu Anhu said: The one who said: 
سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ، سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا أَنْتَ، أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
SubhanAllahi wa Bihamdehi, Subhanaka Allahumma wa bihamdika, ashhadu an la ilaha illa anta, Astagfiruka wa atubu ilaik
Allah is pure with His praise, O Allah you are pure with your praise, I bear witness that there is no true god but you, I ask forgiveness from you. I do and turn to you. 
If he utters these words in the assembly of remembrance, they will be like a seal that will be fixed, and whoever utters these words in the assembly where he was engage in much useless speech it will be an expiation for him.
---
 جبیر بن مطعمرضی اللہ عنہ  سے مرفوعامروی ہے کہ: جس شخص نے کہا: اللہ اپنی تعریف کے ساتھ پاک ہے، اے اللہ تو اپنی تعریف کے ساتھ پاک ہے، میں گواہی دیتا ہوں کہ تیرے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں ،میں تجھ سے بخشش طلب کرتا ہوں اور تیری طرف رجوع کرتا ہوں۔ اس نے یہ کلمات ذکر کی مجلس میں کہے تو یہ ایک مہر کی طرح ہوں گے جوثبت(پختہ) کر دی جائے گی اور جس شخص نے لغو کی مجلس میں کہے یہ اس کے لئے کفارہ بن جائیں گے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2970-Sahih

Kaunse zikr/amal ke zariye panah mange wale panah mangte hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Kaunse zikr/amal ke zariye panah mange wale panah mangte hain

A: A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin
B: Surah Fatiha
C: Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah
D: Surah Al Falaq
E: Allahumma Agfirli Wa tub Alayya Innaka Antat-Tawwabul-Gafoor
F: Surah Al Baqrah ki akhari do aayat 
G: Surah An Naas
H: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - DG✅

Afzal Zikr Surah Al Falaq aur Surah An Naas hain jisse panah mangne wale panah mangte hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Ibn Abbas se kaha kya mein tumhe wo Afzal zikr na batao jis ke zariye panah mangne wale panah mangte hain? unhon ne kaha : kyun nahi Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Surah Al Falaq aur Surah An Naas ye dono suraten
----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said to Ibn' Abbas! Shall I not tell you the best remembrance through which those who seek refuge seek refuge? They said: Why not, O Messenger of Allah! He Sallallahu Alaihi wasallam said: Surat Al-Falaq and Surat An-Naas These two Surahs.
----
ابن عابس جہنی  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے ان سے کہا: اے ابن عابس! کیا میں تمہیں وہ افضل ذکر نہ بتاؤں جس کے ذریعے پناہ مانگنے والے پناہ مانگتے ہیں ؟انہوں نے کہا: کیوں نہیں اے اللہ کے رسول!آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا:(سورۃ الفلق اور سورۃ الناس)یہ دونوں سورتیں۔
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2995-Sahih

Kaunse shakhs ke liye Jannat ke beach mein Mahal banaya jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shakhs ke liye Jannat ke beach mein Mahal banaya jayega

A: padosi ke saath husn suluk karne wale ke liye
B: Mehman nawazi karta hain
C: Bad zubani nahi karta
D: Wada khilafi nahi karta
E: Haq per hone ke bawajood behas karna chodh de
F: hamesha sach bolta hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab-E✅ 

Haq per hone ke bawajood behas karna chodhe de uske liye Jannat ke beach mein ek Mahal banaya jayega

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne jhoot bolna chodh diya aur wo batil par tha to uske liye Jannat ke kinaron mein Ek Mahal banaya jayega aur jisne Haq par hone ke bawajud behas chodh di uske liye Jannat ke beach main ek Mahal banaya jayega aur jisne apne aap ko Husn E Ikhlaq se mazeen kiya uske liye Jannat ke upari hissa main mahal banaya jaega
Sunnan ibn Maja #51-Sahih
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے جھوٹ بولنا چھوڑ دیا اور وہ باطل پر تھا تو اس کے لیے جنت کے کناروں میں ایک محل بنایا جائے گا، اور جس نے حق پر ہونے کے باوجود بحث اور کٹ حجتی چھوڑ دی اس کے لیے جنت کے بیچ میں محل بنایا جائے گا، اور جس نے اپنے آپ کو حسن اخلاق سے مزین کیا اس کے لیے جنت کے اوپری حصہ میں محل بنایا جائے گا
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: 'Whoever gives up telling lies in support of a false claim, a palace will be built for him in the outskirts of Paradise. Whoever gives up argument when he is in the right, a palace will be built from him in the middle (of Paradise). And whoever had good behavior, a palace will be built for him in the highest reaches (of Paradise).' 
Sunnan ibn Maja# 51-Sahih

kaunse amal ke sabab bande ke gunah aise jhadte hain jaise darakht se patte

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!

Sawal: kaunse amal ke sabab bande ke gunah aise jhadte hain jaise darakht se patte

A. Momeen jab Salaam karta hain, aur fir musafah karta hain
B. SubhanAllah walhamdullilah wa la ilaha illahu waAllahu Akbar
C. Namaz padhna
D. SubhanAllah walhamdullilah wa la ilaha illahu waAllahu Akbar, la hawla wala quwwata illah billah
E. Raste se koi takleef de cheez hatana
F. Bhukaar
G. Hajj 
H. Quran ki tilawat
I. Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahih Jawab : ABCF ✅

Jo ye amal karta hain uske khataye aise jhadte hain jaise darakht se paate 

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya momin jab momin se milta hain aur usse Salaam kehta hain, is ka haath pakad kar is se musafah karta hain to un dono ki khataien is terhan jhad jaati hain jis tarhan darakht ke patte jhad jate hain.
-------
 حذیفہ بن یمان سے مروی ہے کہ نبی (ﷺ) نے فرمایا: مومن جب مومن سے ملتا ہے اور اسے سلام کہتا ہے ، اس کا ہاتھ پکڑ کر اس سے مصافحہ کرتا ہے تو ان دونوں کی خطائیں اس طرح جھڑجاتی ہیں جس طرح درخت کے پتے جھڑ جاتے ہیں 
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 295
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ne ek tehni pakad kar jhaadi, lekin wo nahi jhadi, Aap ne phir jhaadi lekin wo nahi jhadi Aap ne phir jhaadi to wo jhad gayi. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya SubhanAllah Walhamdulillah Walailaha illAllahu WaAllahu Akbar khataao ko is terhan jhaad dete hain jis terhan ye darakht apne patte jhadta hain
------
 انس بن مالک  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ نبی (ﷺ) نے ایک ٹہنی پکڑ کر جھاڑی ،لیکن وہ نہیں جھڑی،آپ نے پھر جھاڑی لیکن وہ نہیں جھڑی آپ نے پھر جھاڑی تو وہ جھڑ گئی۔ آپ (ﷺ) نے فرمایا: سبحان اللہ والحمدللہ ولاالہ الا اللہ واللہ اکبر۔ خطاؤں کو اس طرح جھاڑ دیتے ہیں جس طرح یہ درخت اپنے پتے جھاڑتا ہے 
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2821
--------
Mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein Aap ke marz ke zamana mein haazir huwa Nabi Sallallahu Alaihi wasallam is waqt bade taiz bukhaar mein the. mein ne arz kiya : ( YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam) aap ko bada taiz bukhaar hain mein ne ye bhi kaha ke ye bukhaar aap ko is liye itna taiz hai ke aap ka sawab bhi dugna hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke haan jo musalman kisi bhi takleef mein girftar hota hai to Allah taala is ki wajah se is ke gunah is terhan jhaad deta hai jaise darakht ke patte jhard jate hain.
------
 میں رسول اللہ (ﷺ) کی خدمت میں آپ کے مرض کے زمانہ میں حاضر ہوا نبی (ﷺ) اس وقت بڑے تیز بخار میں تھے۔ میں نے عرض کیا:  ( یا رسول اللہ (ﷺ) ! )  آپ کو بڑا تیز بخار ہے۔ میں نے یہ بھی کہا کہ یہ بخار آپ کو اس لیے اتنا تیز ہے کہ آپ کا ثواب بھی دوگنا ہے آپ صلی (ﷺ) نے فرمایا کہ ہاں جو مسلمان کسی بھی تکلیف میں گرفتار ہوتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کی وجہ سے اس کے گناہ اس طرح جھاڑ دیتا ہے جیسے درخت کے پتے جھڑ جاتے ہیں۔ 
Sahih al-Bukhari #5647
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam sardiyoon ke mausam mein nikle, jabke patte gir rahe thy, Aap  Sallallahu Alaihi wasallam ne ek darakht ki do shaakhen pakadi aur un se patte jhadna shuru hoge, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Abu Zar!  mein ne kaha jee Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mein haazir hu, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya beshak musalman bandah jab namaz adaa karta hain, jabke is ka maqsad Allah taala ka chehra ho to is se is ke gunah is terhan girte hain, jaisse is darakht se ye patte gir rahe hain.
---------
سیدنا ابوذرؓ سے مروی ہے کہ نبی کریم (ﷺ) سردیوں کے موسم میں نکلے، جبکہ پتے گر رہے تھے، آپ (ﷺ)  نے ایک درخت کی دو شاخیں پکڑیں اور ان سے پتے جھڑنا شروع ہو گئے، آپ (ﷺ)  نے فرمایا:  اے ابو ذر!)) میں نے کہا: جی اے اللہ کے رسول (ﷺ) ! میں حاضر ہوں، آپ (ﷺ) نے فرمایا:  بیشک مسلمان بندہ جب نماز ادا کرتا ہے، جبکہ اس کا مقصد اللہ تعالیٰ کا چہرہ ہو تو اس سے اس کے گناہ اس طرح گرتے ہیں، جیسے اس درخت سے یہ پتے گر رہے ہیں۔ 
Musnad Ahmed Hadees # 1012
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Mareez ki khatayein iss tarah girti hin, jaise Darakht ke patte girte hin 
------
سیدنا اسد بن کرز  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  مریض کی خطائیں اس طرح گرتی ہیں، جیسے درخت کے پتے گرتے ہیں۔ 
Musnad Ahmed Hadees # 9367

kis ki dua radd nahi hoti

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: kis ki dua radd nahi hoti

A: Baap 
B: Hamila aurat 
C: Musafir
D: Allah ka bahut ziyada Zikr karne wale
E: Nabalig aulad 
F: Adil Hurkuman
G: Rozedaar 
H: Mazloom
I: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahi Jawab - ACDFGH✅

wo log jinki dua Allah Subhanahu Radd nahi karte

Reference📚:
----
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke teen duaien Radd nahi hoti, Baap ki dua, Rozedaar ki dua aur Musafir ki dua
---
It is narrated by Anas RadiAllahu Anhu that three supplications are not rejected: the supplication of the father, the supplication of the fasting person and the supplication of the traveler.
----
انسرضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ: تین دعائیں رد نہیں ہوتیں ،باپ کی دعا، روزہ دار کی دعا اور مسافر کی دعا
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2845
***
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : teen shakhs hain jin ki duaien Allah Subhanahu Radd nahi farmata Allah ka bohat ziyada zikar karne wala, Mazloom ki dua aur Adil Hukmaran ki dua.
----
It is narrated by Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: There are three people whose supplications are not rejected by Allah Almighty: The one who remembers Allah very much, the supplication of the oppressed and the supplication of the just ruler
---
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تین شخص ہیں جن کی دعائیں اللہ تعالیٰ رد نہیں فرماتا: اللہ کا بہت زیادہ ذکر کرنے والا، مظلوم کی دعا اور عادل حکمران کی دعا۔
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2846

Allah Subhanahu in par laanat kare? Aisa Rasool-Allah Sallallahu ne kin logo ke liye farmaya

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Allah Subhanahu in par laanat kare? Aisa Rasool-Allah Sallallahu ne kin logo ke liye farmaya

A: Jis ne gair Allah ke liye qurbani kiya 
B: Jis ne qaum e Loot ka amal kiya 
C: Jis ne qaum e Bani israiel ke amal kiya
D: Jis ne Nabina aadmi ko raste se bhatkaya 
E: Jis ne wirasat mein se apni behno ko hissa na diya 
F: Jis ne apne waledain ko gali di 
G: Jis ne kisi janwar ke saath bad kari ki 
H: Jis ne pagal ka mazakq banaya 
I: Jis ne apne malik ke alawa kisi aur ko apnaya
J: Sahi jawab ka intezar hai
**********
Sahi Jawab - ABDFGI✅

Aise aamal karne wale per Allah Subhanahu ki laanat hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne gair Allah ke liye zubah kiya, Allah Subhanahu us shakhs par laanat kare jis ne zameen ki sarhado ya nishanat ko tabdil kar diya, Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne kisi nabina aadmi ko raste se bhatkaya. Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne apne waledain ko gali di(aur ek riwayat mein hain nafarmani ki)Alllah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne apne maliko ke alawa kisi aur ko apnaya . Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne kisi janwar ke saath bad kari ki Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne qaum e Loot ka amal kiya, Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne qaum e Loot ka amal kiya,  Allah Subhanahu us shaksh per laanat kare jis ne qaum e  Loot ka amal kiya.
--------------
 عبداللہ بن عباس سے مروی ہے کہ رسول اللہ ﷺنے فرمایا: اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے غیر اللہ کے لئے ذبح کیا، اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے زمین کی سرحدوں یا نشانات کو تبدیل کیا۔ اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے نابینے آدمی کو راستے سے بھٹکایا۔ اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے اپنے والدین کو گالی دی  (  اور ایک روایت میں ہے کہ نافرمانی کی )  اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے اپنے مالکوں کے علاوہ کسی اور کو اپنایا ایک بنایا اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے کسی جانور سے بدکاری کی اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے قوم لوط کا عمل کیا،اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے قوم لوط کا عمل کیا، اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے قوم لوط کا عمل کیا۔ 
---
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 150

Meezan mein bhari kaun kaunsa amal hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

❗Sawal: Meezan mein bhari kaun kaunsa amal hain

A: SubhaAllahi wa Bihamdihi, SubhanAllahi Azeem
B: SubhanAllah Alhumdullilah Laa Ilaha IllAllah Allahu Akbar
C: SubhanAllahi Azim, Wa Bihamdihi
D: Achcha Akhlaq
E: Khamoshi ikhtiyaar karna 
F: La hawla wala quwata illah billah 
G: La ilaha illAllah, walAllahu Akbar, waSubhanAllah, walAlhamdulillah, wa La hawla wa la Quwwata illa Billah
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi jawab - ABDE✅

Meezan mein bhari amal

Reference📚:
----
Anas radi Allahu anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Abu Dharr Radi Allahu anhu se mile aur farmaya Eh abu dharr kya main tumhe do khubiyan na batauu jo karne mein bahut halki hain aur tarazu mein bahut bhari hain unhone kaha kyu nahi Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam (Jarur bataeeye),  Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum apne upar achcha akhlaq aur zyada khamoshi lazim kar lo , kasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai makhluq ka koi dusra amal unke barabar nahi
Al-Silsila-tus-Sahiha, Hadees # 202
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meezan mein ye bhari hain
سُبْحَانَ اللهِ وَالْحَمْدُ لِلهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَاللهُ أَكْبَرُ
SubhanAllah Alhamdulillah Laa illaha IllAllah, Allah hu Akbar 
Al-Silsila tus Sahiha - 2839-Sahih
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Do Kalme zuban par halke hain aur tarazu (Meezan) mein bhari hain aur Rahman ko bade pyare hain woh kalme ye hain 
سبحان الله وبحمده
سبحان الله العظيم
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
Allah ki zaat paak hai aur tamam tarife usee ke liye hai
Allah ki zaat paak hai aur wo sabse buland hai
Musnad Ahmed#5463-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...