Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 31 December 2020

Meezan mein bhari kaun kaunsa amal hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

❗Sawal: Meezan mein bhari kaun kaunsa amal hain

A: SubhaAllahi wa Bihamdihi, SubhanAllahi Azeem
B: SubhanAllah Alhumdullilah Laa Ilaha IllAllah Allahu Akbar
C: SubhanAllahi Azim, Wa Bihamdihi
D: Achcha Akhlaq
E: Khamoshi ikhtiyaar karna 
F: La hawla wala quwata illah billah 
G: La ilaha illAllah, walAllahu Akbar, waSubhanAllah, walAlhamdulillah, wa La hawla wa la Quwwata illa Billah
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi jawab - ABDE✅

Meezan mein bhari amal

Reference📚:
----
Anas radi Allahu anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam Abu Dharr Radi Allahu anhu se mile aur farmaya Eh abu dharr kya main tumhe do khubiyan na batauu jo karne mein bahut halki hain aur tarazu mein bahut bhari hain unhone kaha kyu nahi Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam (Jarur bataeeye),  Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum apne upar achcha akhlaq aur zyada khamoshi lazim kar lo , kasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai makhluq ka koi dusra amal unke barabar nahi
Al-Silsila-tus-Sahiha, Hadees # 202
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meezan mein ye bhari hain
سُبْحَانَ اللهِ وَالْحَمْدُ لِلهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَاللهُ أَكْبَرُ
SubhanAllah Alhamdulillah Laa illaha IllAllah, Allah hu Akbar 
Al-Silsila tus Sahiha - 2839-Sahih
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Do Kalme zuban par halke hain aur tarazu (Meezan) mein bhari hain aur Rahman ko bade pyare hain woh kalme ye hain 
سبحان الله وبحمده
سبحان الله العظيم
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
Allah ki zaat paak hai aur tamam tarife usee ke liye hai
Allah ki zaat paak hai aur wo sabse buland hai
Musnad Ahmed#5463-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...