❗Only-Quran-Hadith Quiz❗
❗Jawab ek se ziyada hain
Sawal: Allah Subhanahu in par laanat kare? Aisa Rasool-Allah Sallallahu ne kin logo ke liye farmaya
A: Jis ne gair Allah ke liye qurbani kiya
B: Jis ne qaum e Loot ka amal kiya
C: Jis ne qaum e Bani israiel ke amal kiya
D: Jis ne Nabina aadmi ko raste se bhatkaya
E: Jis ne wirasat mein se apni behno ko hissa na diya
F: Jis ne apne waledain ko gali di
G: Jis ne kisi janwar ke saath bad kari ki
H: Jis ne pagal ka mazakq banaya
I: Jis ne apne malik ke alawa kisi aur ko apnaya
J: Sahi jawab ka intezar hai
**********
Sahi Jawab - ABDFGI✅
Aise aamal karne wale per Allah Subhanahu ki laanat hain
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne gair Allah ke liye zubah kiya, Allah Subhanahu us shakhs par laanat kare jis ne zameen ki sarhado ya nishanat ko tabdil kar diya, Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne kisi nabina aadmi ko raste se bhatkaya. Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne apne waledain ko gali di(aur ek riwayat mein hain nafarmani ki)Alllah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne apne maliko ke alawa kisi aur ko apnaya . Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne kisi janwar ke saath bad kari ki Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne qaum e Loot ka amal kiya, Allah Subhanahu us shakhs per laanat kare jis ne qaum e Loot ka amal kiya, Allah Subhanahu us shaksh per laanat kare jis ne qaum e Loot ka amal kiya.
--------------
عبداللہ بن عباس سے مروی ہے کہ رسول اللہ ﷺنے فرمایا: اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے غیر اللہ کے لئے ذبح کیا، اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے زمین کی سرحدوں یا نشانات کو تبدیل کیا۔ اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے نابینے آدمی کو راستے سے بھٹکایا۔ اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے اپنے والدین کو گالی دی ( اور ایک روایت میں ہے کہ نافرمانی کی ) اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے اپنے مالکوں کے علاوہ کسی اور کو اپنایا ایک بنایا اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے کسی جانور سے بدکاری کی اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے قوم لوط کا عمل کیا،اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے قوم لوط کا عمل کیا، اللہ تعالیٰ اس شخص پر لعنت کرے جس نے قوم لوط کا عمل کیا۔
---
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 150
No comments:
Post a Comment