Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 March 2022

Inmein se Qabr ke azab ke muttaliq ya usay nijaat dilane wale amal kaun kaunse hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 895❗


❗Jawab ek se zayda hain


Sawal: Inmein se Qabr ke azab ke muttaliq ya usay nijaat dilane wale amal kaun kaunse hain


A: pait ki beemari se faut hona
B: jisne maut ke waqt La ilaha illAllah kaha
C: jumme ke din ya jumme ke raat faunt hona
D: Allahumma, rabba jibra'eela, wa mika'eela wa rabba israfeela, a'udhu bika min harrin-nari wa (min) 'adhabil-qabr ye dua padte rehne se
E: Sadqa karne wale
F: Roz Surah Al Mulk ki tilawat karne se
G: Sarhad par ek raat ya din pehra dete huyee faut hojane wala
H: Jo Allah ke raaste mein Shaheed huyee
I: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - ACDEFGH✅


Hadith: Qabr ke aazab se nijaat rahat ya mehfooz karne wale amal


Reference📚:
----
Sulaiman bin Surad RadiAllahu Anhu ne Khalid bin Urfutah RadiAllahu Anhu se (ya Khalid ne Sulaiman se) poocha kya Aap ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmatay nahi suna? jisay is ka pait maar de (yani pait ki beemari se faut hojaye) usay Qabar mein azaab nahi diya jayega to un mein se Ek ne apne dusre saathi se kaha : Haan (suna hain).
----
سلیمان بن صرد نے خالد بن عرفطہٰ سے  ( یا خالد نے سلیمان سے )  پوچھا: کیا آپ نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے نہیں سنا؟ جسے اس کا پیٹ مار دے ۱؎ اسے قبر میں عذاب نہیں دیا جائے گا تو ان میں سے ایک نے اپنے دوسرے ساتھی سے کہا: ہاں  ( سنا ہے )  ۔
----
Sulaiman bin Surad said to Khalid bin Urfutah - or, Khalid said to Sulaiman - 'Did you hear the Messenger of Allah saying:   Whoever is killed by his stomach then he will not be punished in the grave?' One of them said to the other: Yes.
----
Jam e Tirmazi#1064-Sahih
**
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ”Jo musalman jumme ke din ya jumme ki raat ko marta hain, Allah usay qabar ke fitne se mehfooz rakhta hain“.
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو مسلمان جمعہ کے دن یا جمعہ کی رات کو مرتا ہے، اللہ اسے قبر کے فتنے سے محفوظ رکھتا ہے“۔
----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said:   No Muslim dies on the day of Friday, nor the night of Friday, except that Allah protects him from the trials of the grave.
----
Jam e Tirmazi#1074-Sahih
***
Hazrat Aisha RadiAllahu Anha se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne (dua karte huyee) farmaya:
اللَّهُمَّ رَبَّ جِبْرَائِيلَ وَمِيكَائِيلَ وَرَبَّ إِسْرَافِيلَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ حَرِّ النَّارِ وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ
'Allahumma, rabba jibra'eela, wa mika'eela wa rabba israfeela, a'udhu bika min harrin-nari wa (min) 'adhabil-qabr
'Eh ALLAH ! Jibreel o Mikayeel ke RABB! Israfeel ke RABB! Mein Aag ki tapish aur Qabar ke azaab se teri panah chahata hu.'
---
حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا سے روایت ہے کہ رسول اللہ  ﷺ  نے ( دعا کرتے ہوئے ) فرمایا
اللَّهُمَّ رَبَّ جِبْرَائِيلَ وَمِيكَائِيلَ وَرَبَّ إِسْرَافِيلَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ حَرِّ النَّارِ وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ
 :’’ اے اللہ ! جبریل و میکائل کے رب ! اسرافیل کے رب ! میں آگ کی تپش اور قبر کے عذاب سے تیری پناہ چاہتا ہوں ۔‘‘
----
It was narrated that 'Aishah said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: 
اللَّهُمَّ رَبَّ جِبْرَائِيلَ وَمِيكَائِيلَ وَرَبَّ إِسْرَافِيلَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ حَرِّ النَّارِ وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ
'Allahumma, rabba jibra'eela, wa mika'eela wa rabba israfeela, a'udhu bika min harrin-nari wa (min) 'adhabil-qabr (O Allah, Lord of Jibra'eel and Mika'eel and Lord of Israfeel, I seek refuge in You from the heat of the Fire and (from) the torment of the grave.)'
----
Sunnan e Nisai#5521-Sahih
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Beshak sadqa , sadqa karne walo se Qabr ki garmee (tapish) ko khatam kar deta hai aur momeen Qayamat ke din apne sadqe ka (yani sadqe ki wajah se)saya  hasil karega 
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: صدقہ، صدقہ کرنے والوں سے قبر کی گرمی کو ختم کرتا ہے، اور مومن قیامت کے دن اپنے صدقے کا (یعنی صدقے کی وجہ سے) سایہ  حاصل کرے گا۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Indeed Charity puts out the heat of the grave for its people, and certainly the believer will take shade under his charity (because of his charity) on the day of Judgement
----
Al-Silsila-tus-Sahiha ,1816
**
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya hain ke : Surah Tabarak (Surah Al-Mulk) Azaab Qabar se rukawat ka baais hain
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سورۂ تبارک (سورۃ الملک) عذاب قبر سے رکاوٹ کا باعث ہے۔
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said that Surah Tabarak (Surah Al-Mulk) is a barrier to the torment of the grave
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2858
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Allah taala ke raste mein sarhad par Ek din aur raat ka pehra dena Ek mah ke rozon aur qiyam ki terhan hain, Ek riwayat mein ye ziyada alfaaz hain is rozedaar ki terhan hain jo iftaar nahi karta aur is qiyam karne wale ki terhan hai, jo sust nahi padta, aur wo isi haalat mein faut ho jata hai to dobarah zinda ho kar uthne tak is ka ajar is par jari kar diya jaye ga aur wo qabar ke fitne se aman mein rahega
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ کے راستے میں سرحد پر ایک دن اور رات کا پہرہ دینا ایک ماہ کے روزوں اور قیام کی طرح ہے، ایک روایت میں یہ زیادہ الفاظ ہیں: اس روزے دار کی طرح ہے جو افطار نہیں کرتا اور اس قیام کرنے والے کی طرح ہے، جو سست نہیں پڑتا، اور وہ اسی حالت میں فوت ہو جاتا ہے تو دوبارہ زندہ ہو کر اٹھنے تک اس کا اجر اس پر جاری کر دیا جائے گا اور وہ قبر کے فتنے سے امن میں رہے گا۔  
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Guarding the border in the way of Allah for one day and night is like fasting and staying up for a month. It is like a fasting person who does not break his fast, and it is like a person who stays up whole night for prayer, who does not slow down, and if he dies in that state, then his reward should be continued until he is resurrected. And he will live in peace from the torment of the grave.
----
Musnad Ahmed#4805-Sahih
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ke waha Shaheed ke liye 6 inamaat hain, Khoon ka pahla qatra girte hi uski bakhshish ho jati hain, Jannat mein apna thikana dekh leta hain, Azab e Qabr se mehfooz rahta hai aur Qayamat ki wahshat aur khufnak manzar se aman mein aa jata hain, Uske sir par ezzat wala yaqut ka taaj rakha jata hai jo duniya aur jo kuch usmein hai us se behtar hain, Aur uski shadi jannat ki 72 Hoor Al Ain (badi aankho wali hooron) se ki jati hain, Aur uske 70 rishtedaro ke haq mein uski shafaat qubul ki jati hain
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ کے نزدیک شہید کے لیے چھ انعامات ہیں،  ( ۱ )  خون کا پہلا قطرہ گرنے کے ساتھ ہی اس کی مغفرت ہو جاتی ہے،  ( ۲ )  وہ جنت میں اپنی جگہ دیکھ لیتا ہے،  ( ۳ )  عذاب قبر سے محفوظ رہتا ہے،  ( ۴ )  «فزع الأكبر»  ( عظیم گھبراہٹ والے دن )  سے مامون رہے گا،  ( ۵ )  اس کے سر پر عزت کا تاج رکھا جائے گا جس کا ایک یاقوت دنیا اور اس کی ساری چیزوں سے بہتر ہے،  ( ۶ )  بہتر  ( ۷۲ )  جنتی حوروں سے اس کی شادی کی جائے گی، اور اس کے ستر رشتہ داروں کے سلسلے میں اس کی شفاعت قبول کی جائے گی
----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: There are six things with Allah for the martyr. He is forgiven with the first flow of blood (he suffers), he is shown his place in Paradise, he is protected from punishment in the grave, secured from the greatest terror, the crown of dignity is placed upon his head - and its gems are better than the world and what is in it - he is married to seventy two wives along Al-Huril-'Ayn of Paradise, and he may intercede for seventy of his close relatives. 
----
Jam e Tirmazi#1663-Sahih
https://youtu.be/8HM4VOeZnDE

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...