Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 14 April 2021

Ramadan wo mahina hai jis mein Quran nazil kiya gaya

 






Bismillahirrahmannirrahim

شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنزِلَ فِيهِ الْقُرْآنُ
----
Ramadan wo mahina hai jis mein Quran nazil kiya gaya
----
رمضان وہ مہینہ ہے، جس میں قرآن نازل کیا گیا
----
Ramadan is the month in which the Qur'an was revealed 
----
Surah Al Baqrah: (02:185)


Wo kaun log honge jo qayamat ke din Allah Subhanahu se katey huwe haath lekar mulaqat karenge

 ❗Ony-Quran-Hadith-Quiz 725❗

Sawal: Wo kaun log honge jo qayamat ke din Allah Subhanahu se katey huwe haath lekar mulaqat karenge

A: Namaz padh ne ke baad dua nahi mangne wale
B: logo se bheek mangne wale 
C: Aurat par haath utane wale
D: Quran padh kar bhool jane wale
E: Karz lekar wapis nahi karne ki niyat rakhne wale
F: Chori karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - D✅

Quran padh kar bhool jane wala shakhs Qayamat ke din Allah se iss haal mein milega jaise iska haath kata huwa ho ya kode zada

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya 10 afraad ka Ameer aur masul qayamat ke din is haal mein aayega ke lohe (ki zanjeer) se jakda huwa hoga, isse qaid se azad karane wali cheez is ka Adal o insaaf hoga, aur jo aadmi Quran Majeed padhne ke baad bhula deta hain, wo Allah Subhanahu taala ko is haal mein mileyga ke is ka haath kata huwa (ya kode zada) hoga
-----
سیدنا سعد بن عبادہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ بیان کرتے ہیں کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: دس افراد کا امیر اور مسؤل قیامت کے دن اس حال میں آئے گاکہ لوہے (کی زنجیر) سے جکڑا ہوا ہو گا، اس قید سے آزاد کرانے والی چیز اس کا عدل و انصاف ہو گا، اور جو آدمی قرآن مجید پڑھنے کے بعد بھلا دیتا ہے، وہ اللہ تعالیٰ کو اس حال میں ملے گا کہ اس کا ہاتھ کٹا ہوا (یا کوڑھ زدہ) ہو گا۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said The Ameer who is responsible of ten and his people
will come on the Day of Resurrection in chains, the thing that frees them from this bondage will be their justice and whoever forgets after reciting the Quran, he will meet Allah with his hand cut off (or leprous).
----
Musnad Ahmed#8392-Sahih

Iss ummat ke bare mein Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke ye inki wajah se tabah hogi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 724❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Iss ummat ke bare mein Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke ye inki wajah se tabah hogi

A: Zulm
B: Riyakaari
C: Khuwaish parasti
D: Nafs ki ghulami
E: Sood
F: Tana dena
G: Taoon
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - FG✅

Hadith:Tana zani aur taoon se ye ummat fanah hogi

Reference📚:
----
Sayedna Aisha RadiAllahu Anhu bayan karti hain ke Nabee Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat tana zani aur taoon se Fanaa hogi mein ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam tana zani ko to hum jante hain, taoon se kya murad hain Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Taoon mein insaan ki gardan mein oont ki gilty ki manind gilty nikalti hai, jo aadmi is taoon mein thehra raha, wo shaheed ki manind hai aur jo is se bhaag gaya, wo maidan jung se bhagne wale ki manind hain.
----
سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا بیان کرتی ہیں کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: میری امت طعنہ زنی اور طاعون سے فنا ہوگی۔ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! طعنہ زنی کو تو ہم جانتے ہیں، طاعون سے کیامراد ہے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: طاعون میں انسان کی گردن میں اونٹ کی گلٹی کی مانند گلٹی نکلتی ہے، جو آدمی اس طاعون میں ٹھہرا رہا، وہ شہید کی مانند ہے اور جو اس سے بھاگ گیا، وہ میدان جنگ سے بھاگنے والے کی مانند ہے۔ 
----
Musnad Ahmed#7806-Sahih

wo kaunsa amal Ramadan mein sawab ki niyat se karne se bande ke pichle tamam gunah maaf hote hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 724

Jawab ek se zyada hai!

Sawal: wo kaunsa amal Ramadan mein sawab ki niyat se karne se bande ke pichle tamam gunah maaf hote hain? 

A: Raat mein qayam karna 
B: Sehri khana
C: Kisi ko roza Iftar karwana
D: Lailatul qadr mai qiyaam karna
E: Zakat aada karna
F: Ramadan ke Akhri ashare mein Umrah karne per 
G: Roza rakhna
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab - ADG✅

Hadith: Ramadan mein sawab ki niyat se inn amal ko karne wale ke pichle tamam gunah maaf  hojate hain

📚Reference:
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : ”jis ne ramadaan mein imaan ke sath sawab ki niyat se roza rakha, is ke pichlle gunah bakhash diye jayen ge “ .
------
It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) said: "Whoever fasts in Ramadan out of faith and in the hope of reward, he will be forgiven his previous sins." '
-------
رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا: ”جس نے رمضان میں ایمان کے ساتھ ثواب کی نیت سے روزہ رکھا، اس کے پچھلے گناہ بخش دئیے جائیں گے“۔ 
------------------------
Sahih Hadees
Reference : Sunan an-Nasa'i 2203
In-book reference : Book 22, Hadith 114 
English translation : Vol. 3, Book 22, Hadith 2205
--------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya : ”jis ne ramadan mein rozay rakhay, ( aur kitaab ki riwayat mein hai ke) Nabi (ﷺ) ne farmaya : ”jis ne ramadan ke maheena mein Emaan ke sath sawab ki niyat se qiyam ul lail kiya, yani namaz taraweeh parhi, is ke pichle gunah bakhash diye jayen ge, aur jo shab qadr mein imaan ke sath sawab ki niyat se qiyam ul lail kiya, yani namaz taraweeh parhi, is ke ( bhi ) pichle gunah baksh diye jayen ge “ .
--------
Abu Hurairah narrated that: The Messenger of Allah Nabi (ﷺ) said: "Whoever stands (in the voluntary night prayer of) Ramadan out of faith and in the hope of reward, his previous sins will be forgiven. And whoever spends the night of Lailat Al-Qadr in prayer out of faith and in the hope of reward, his previous sins will be forgiven.
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جس نے رمضان میں روزے رکھے، ( اور قتیبہ کی روایت میں ہے کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جس نے رمضان کے مہینہ میں ایمان کے ساتھ ثواب کی نیت سے قیام اللیل کیا، یعنی نماز تراویح پڑھی، اس کے پچھلے گناہ بخش دئیے جائیں گے، اور جو شب قدر میں ایمان کے ساتھ ثواب کی نیت سے قیام اللیل کیا، یعنی نماز تراویح پڑھی، اس کے ( بھی ) پچھلے گناہ بخش دئیے جائیں گے“۔
-------------------------
Sahih Hadees
Reference : Sunan an-Nasa'i 5027
In-book reference : Book 47, Hadith 43
English translation : Vol. 6, Book 47, Hadith 5030

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Jabal baizah ki misaal kiske liye di hain.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Jabal baizah ki misaal kiske liye di hain.

A: Munafiq ki hatheeli
B: Kafir ka daant
C: Kafir ka dil
D: Munafiq ki raan
E: Kafir ka baazu
F: Kafir ka haath
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Qayamat ke din Kafiron ka harsh

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Qayamat ke din kafir ki daadh Uhud pahad ke barabar hogi aur is ki khaal ki choudayi 70 haath hogi is ka baazu baizah (pahad/iilaqe ka naam) ki manind aur is ki raan warqaan pahad/ilaqe ka naam) ki manind hogi, Jahannum mein is ki (maq'ad) yahan se le kar rabza tak hogi
----
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہےکہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیامت کے دن کافر کی داڑھ احد پہاڑ کے برابر ہوگی اور اس کی کھال کی چوڑائی ستر ہاتھ ہوگی۔ اس کا بازوبیضاء(علاقے کانام) کی مانند اور اس کی ران ورقان(علاقے کانام) کی مانند ہوگی، جہنم میں اس کی (مقعد) یہاں سے لے کر ربذہ تک ہوگی
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2621-Sahih

Ramadan ki wo kaunsi Raat hai jis mein ek pukarne (farishta) wala pukar kar kehta hai, "Eh khair ke talabgar aage badh (yani Neki kar) aur Eh burayi ke talabgar ruk jaa (yani gunah se ruk jaa)

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai aur dusre sawal mein jawab ek se zyada hai!

Sawal: Ramadan ki wo kaunsi Raat hai jis mein ek pukarne (farishta) wala pukar kar kehta hai, "Eh khair ke talabgar aage badh (yani Neki kar) aur Eh burayi ke talabgar ruk jaa (yani gunah se ruk jaa)

Sawal: Ramadan ka wo konsa ashra ye waqt hai jis ki Raaton mein Allah Subahnahu apne bandon mein se bahut se logon ko dozakh se nijat de deta hai.

A: Ramadan  ka aakhri ashra 
B: Iftar ke waqt
C: Ramadan ka darmiyani ashra 
D: Ramadan ka pehla ashra 
E: Ramadan ki pehli raat 
F: Laila tul Qadr wali raat 
G: Ramadan ki har juma ki raat 
H: Sehri ke waqt 
I: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - E/ABCE✅

Hadith: Ramadan ki fazilate jin mein Allah Subhanahu logo ko dozak se azad karte hain

📚Reference:
-----
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Ramdan ki pahli shab aate hi shayateen aur sarkash jinnat ko qaid kar liya jata hai aur dozakh ke darwaze band kar diye jate hain ek darwaza bhi khula nahi rahta, aur Jannat ke darwaze khol diye jate hain ek darwaza bhi band nahi rahta aur pukarne wala pukarta hai , eh khair ke talabgar  aage badh aur eh burayee ke talabgar thahar ja aur Allah subhanahu bahut sare logo ko dozakh se aazad farma dete hain aur aisa har raat hota hai
Sunan Ibn Maja, 1642, Jild 1-Hasan
----------------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“When the first night of Ramadan comes, the Satans and mischievous jinns are chained up, and the gates of the Fire are closed, and none of its gates are opened. The gates of Paradise are opened and none of its gates are closed. And a caller cried out: ‘O seeker of good, proceed, O seeker of evil, stop.’ And Allah has necks (people) whom He frees (from the Fire), and that happens every day.”
Sunan Ibn Maja, Book 7, 1642-Hasan
--------------------
Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya iftari ke waqt Allah subhanahu bahut se logo ko (dozakh se) aazad farma dete hain aur aisa har raat hota hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1643- Hasan
---------------------- 
It was narrated from Jabir radi allahu anhu that the Messenger of Allah peace be upon him said At every breaking of the fast Allah has people whom He frees (from the Fire), and that happens every night.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1643- Hasan

wo kaunsa amal hain agar ek rozedar kare to farishte uske liye dua karte hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa amal hain agar ek rozedar kare to farishte uske liye dua karte hain

A: Qiyam karte waqt
B: neend ki qurbani de aur Quran ki tilawat kare
C: usse bhook lage aur wo sabr kare
D: uske samne kahna khaya jaye aur wo sabr kare
E: sehri se pehle gusul kare
F: Wazu karte waqt
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*******
Sahih Jawab - D✅

Hadith : Rozedar ke samne jab khaana khaya jaye (aur wo sabr karen) to Farishte uske liye dua karte hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Rozedar ke samne jab khaana khaya jaye ( aur wo sabr karen)  to Farishte uske liye dua karte hain
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا روزہ دار کے سامنے جب کھانا کھایا جائے ( اور وہ صبر کرے )  تو فرشتے اس کے لیے دعا کرتے ہیں ۔ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said If food is eaten in the presence of one who is fasting (and he keep patience), the angels send blessing upon him
Sunan Ibn Maja -1748-Sahih

RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ko ek sahabi ne ye kehte huwe suna ke rozedaar ki dua iftar ke waqt radd nahi hoti to ye sun kar wo sahabhi iftar ke waqt inmein se kaunsi dua magaa karte they?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ko ek sahabi ne ye kehte huwe suna ke rozedaar ki dua iftar ke waqt radd nahi hoti to ye sun kar wo sahabhi iftar ke waqt inmein se kaunsi dua magaa karte they?

A: ‏‏‏‏ اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
B: اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاك
C:  اللَّهُمَّ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ الْمَنَّانُ بَدِيعُ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ ذَا الْجَلَالِ وَالْإِكْرَام
D: اللَّهُمَّ رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الْآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
E: اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِرَحْمَتِكَ الَّتِي وَسِعَتْ كُلَّ شَيْءٍ، ‏‏‏‏‏‏أَنْ تَغْفِرَ لِي.
F: اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*******
Sahi Jawab- E ✅

Hadith: Iftar ke waqt ek sahabi ye dua padha karte they...

📚 Reference:
---
Abdullah ibn Amr se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alahi wasallam ne farmaya : rozedaar ki dua iftar ke waqt radd nahi ki jati. Ibn Abi Malika Radi Allahu Anhu kehte hai ke mein ne Abdullah Bin Umro Radi Allahu Anhu ko suna ke jab wo iftar karte to ye dua padhte : 
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِرَحْمَتِكَ الَّتِي وَسِعَتْ كُلَّ شَيْءٍ، ‏‏‏‏‏‏أَنْ تَغْفِرَ لِي.
Eh Allah mein teri rehmat ke zariye sawal karta hu jo har cheez ko wasi hain ke mujhe baksh de .
-------------------------
Abdullah ibn Amr reported: The Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, said, “Verily, the supplication of a fasting person at the time of breaking fast is not turned away.” Abdullah, may Allah be pleased with him, would say when breaking fast, “O Allah, I ask you by your mercy, which encompasses all things, that you forgive me.”
------------------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  روزہ دار کی دعا افطار کے وقت رد نہیں کی جاتی ۔ ابن ابی ملیکہ کہتے ہیں کہ میں نے عبداللہ بن عمرو بن العاص رضی اللہ عنہما کو سنا کہ جب وہ افطار کرتے تو یہ دعا پڑھتے: «اللهم إني أسألك برحمتك التي وسعت كل شيء أن تغفر لي»  اے اللہ! میں تیری رحمت کے ذریعہ سوال کرتا ہوں جو ہر چیز کو وسیع ہے کہ مجھے بخش دے ۔ ہوں جو ہر چیز کو وسیع ہے کہ مجھے بخش دے ۔ 
---------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 1753-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...