Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 14 April 2021

Iss ummat ke bare mein Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke ye inki wajah se tabah hogi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 724❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Iss ummat ke bare mein Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke ye inki wajah se tabah hogi

A: Zulm
B: Riyakaari
C: Khuwaish parasti
D: Nafs ki ghulami
E: Sood
F: Tana dena
G: Taoon
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - FG✅

Hadith:Tana zani aur taoon se ye ummat fanah hogi

Reference📚:
----
Sayedna Aisha RadiAllahu Anhu bayan karti hain ke Nabee Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat tana zani aur taoon se Fanaa hogi mein ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam tana zani ko to hum jante hain, taoon se kya murad hain Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Taoon mein insaan ki gardan mein oont ki gilty ki manind gilty nikalti hai, jo aadmi is taoon mein thehra raha, wo shaheed ki manind hai aur jo is se bhaag gaya, wo maidan jung se bhagne wale ki manind hain.
----
سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا بیان کرتی ہیں کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: میری امت طعنہ زنی اور طاعون سے فنا ہوگی۔ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! طعنہ زنی کو تو ہم جانتے ہیں، طاعون سے کیامراد ہے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: طاعون میں انسان کی گردن میں اونٹ کی گلٹی کی مانند گلٹی نکلتی ہے، جو آدمی اس طاعون میں ٹھہرا رہا، وہ شہید کی مانند ہے اور جو اس سے بھاگ گیا، وہ میدان جنگ سے بھاگنے والے کی مانند ہے۔ 
----
Musnad Ahmed#7806-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...