Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 14 April 2021

Wo kaun log honge jo qayamat ke din Allah Subhanahu se katey huwe haath lekar mulaqat karenge

 ❗Ony-Quran-Hadith-Quiz 725❗

Sawal: Wo kaun log honge jo qayamat ke din Allah Subhanahu se katey huwe haath lekar mulaqat karenge

A: Namaz padh ne ke baad dua nahi mangne wale
B: logo se bheek mangne wale 
C: Aurat par haath utane wale
D: Quran padh kar bhool jane wale
E: Karz lekar wapis nahi karne ki niyat rakhne wale
F: Chori karne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - D✅

Quran padh kar bhool jane wala shakhs Qayamat ke din Allah se iss haal mein milega jaise iska haath kata huwa ho ya kode zada

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya 10 afraad ka Ameer aur masul qayamat ke din is haal mein aayega ke lohe (ki zanjeer) se jakda huwa hoga, isse qaid se azad karane wali cheez is ka Adal o insaaf hoga, aur jo aadmi Quran Majeed padhne ke baad bhula deta hain, wo Allah Subhanahu taala ko is haal mein mileyga ke is ka haath kata huwa (ya kode zada) hoga
-----
سیدنا سعد بن عبادہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ بیان کرتے ہیں کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: دس افراد کا امیر اور مسؤل قیامت کے دن اس حال میں آئے گاکہ لوہے (کی زنجیر) سے جکڑا ہوا ہو گا، اس قید سے آزاد کرانے والی چیز اس کا عدل و انصاف ہو گا، اور جو آدمی قرآن مجید پڑھنے کے بعد بھلا دیتا ہے، وہ اللہ تعالیٰ کو اس حال میں ملے گا کہ اس کا ہاتھ کٹا ہوا (یا کوڑھ زدہ) ہو گا۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said The Ameer who is responsible of ten and his people
will come on the Day of Resurrection in chains, the thing that frees them from this bondage will be their justice and whoever forgets after reciting the Quran, he will meet Allah with his hand cut off (or leprous).
----
Musnad Ahmed#8392-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...