Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 8 March 2023

Wo kya cheez hai jiska tauq bana kar qayamat mein uske galle mein daal diya jayega jab tak le logon ka faisla nahi kar diya jayega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 944❗

Sawal: Wo kya cheez hai jiska tauq bana kar qayamat mein uske galle mein daal diya jayega jab tak le logon ka faisla nahi kar diya jayega?

A: Maal 
B: Zameen
C: Zulm
D: Takkabur 
E: Riyakari
F: Ibadat 
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)

H: Sahih jawab ka intezaar
********
Sahih Jawab - B✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo shakhs agar zulm karte huyee balisht bhar zameen bhi hathiyayi to....

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kisi bhi shakhs ne agar zulm karte huyee balisht bhar zameen hathiyayi to Allah Subhanahu usay is baat ka mukhalif banayen ge ke wo usay saat (7) zameenon tak khode phir is ka tauq bana kar qayamat tak is ke gallay mein daal diya jayega jab tak ke logon ka faisla na kar diya jaye
----
یعلی بن مرہ  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: كسی بھی شخص نے اگر ظلم كرتے ہوئے بالشت بھر زمین ہتھیائی تو اللہ تعالیٰ اسے اس بات كا مكلف بنائیں گے كہ وہ اسے سات زمینوں تك كھودے۔ پھر اس كا طوق بنا كر قیامت تك اس كے گلے میں ڈال دیا جائے گا جب تك کہ لوگوں كا فیصلہ نہ كر دیا جائے
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said, “If anyone wrongly takes a span of land Allah who is great and glorious will make him dig it till he gets to the end of seven earths, and then he will have it tied round his neck till the day of resurrection until men are judged.”
----
Al-Silsila-Tus-Sahiha#1624

Ek martaba Khaibar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apne sahaba ke saath padao dala tha uss waqt ek sirkirsh shaks ne unse kuch kaha jis per Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam gussa hogaye aur apne sahaba se faramya ke logon mein jake ye elaan kar do ke

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 943❗

❗Do Sawal hain!

Sawal1️⃣:Ek martaba Khaibar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apne sahaba ke saath padao dala tha uss waqt ek sirkirsh shaks ne unse kuch kaha jis per Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam gussa hogaye aur apne sahaba se faramya ke logon mein jake ye elaan kar do ke______? 

A: kafir ke saat koi narmi nahi ki jayegi
B: jahannum ka azaab kufr karne wale par haq hain
C: loota huwa maal halal nahi
D: Jahannum ki aag momeem par haram kar di gayi hain
E: Qabar ka azaab haq hain
F: Jannat momeem ke elawa kisi par halal nahi
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar

Sawal2️⃣: Kaunse sahabi ne Elaan kiya tha?

A: Ibn Masood RadiAllahu Anhu
B: Barrah RadiAllahu Anhu
C: Abu Siufiyan RadiAllahu Anhu
D: Ibn Awf RadiAllahu Anhu
E: Umar RadiAllahu Anhu
F: Huzaifa bin Yamama RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - FD✅

Bismillahirrahmannirrahim

Mahfhum e Hadith: Jannat momeem ke elawa kisi par halal nahi

Reference📚:
----
Al-Irbad ibn Sariyah As-Sulami RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke hum ne (Khaibar) mein Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke sath padao dala Aap ke sath Aap ke Sahaba bhi thy (Khaibar) ka wali Ek sirkashi munkar shakhs tha wo Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki taraf rukh kar ke kehne laga : Eh Mohammad! kya tumharay liye munasib hai ke tum hamare ghade zibah karo, hamare phal kaho aur hamari aurton ko maro? Nabi Sallallahu Alaihi wasallam gusse mein aagaye aur kehne lage : Ibn Awf RadiAllahu Anhu apne ghodhe par sawaar ho kar logon mein Elaan kar do ke Khabardaar! Jannat momeen ke ilawa kisi ke liye halal nahi, aur namaz ke liye jama hojao log jama hogaye, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne inhen Namaz padayee phir khade ho kar farmaya kya tum mein se koi shakhs jo apne takiye par take lagaye huyee hai gumaan karta hai ke Allah Subahnahu ne is cheez ke ilawa jo Quraan mein maujood hai koi cheez haraam nahi ki? Khabardaar Allah ki Qasam mein ne kuch baton ka Hukm diya hai, kuch ki naseehat ki hai aur kuch baton se mana kiya hain. Ye Quran ki terhan hai ya is se bhi badh kar, aur Allah Azzwajal ne tumahray liye is kaam ko halal nahi kiya hain jab Ahle Kitaab apne upper wajib alada raqam (jaziya) tumhen den to tum baghair ijazat un ke gharon mein ghus jao, un ki aurton ko maarna shuru kar do un ke phal khanay lag jao.
---
Narrated Al-Irbad ibn Sariyah as-Sulami: We alighted with the Prophet (ﷺ) at Khaibar, and he had his companions with him. The chief of Khaibar was a defiant and abominable man. He came to the Prophet (ﷺ) and said: Is it proper for you, Muhammad, that you slaughter our donkeys, eat our fruit, and beat our women? The Prophet (ﷺ) became angry and said: Ibn Awf, ride your horse, and call loudly: Beware, Paradise is lawful only for a believer, and that they (the people) should gather for prayer. They gathered and the Prophet (ﷺ) led them in prayer, stood up and said: Does any of you, while reclining on his couch, imagine that Allah has prohibited only that which is to be found in this Qur'an? By Allah, I have preached, commanded and prohibited various matters as numerous as that which is found in the Qur'an, or more numerous. Allah has not permitted you to enter the houses of the people of the Book without permission, or beat their women, or eat their fruits when they give you that which is imposed on them.
-----
عرباض بن ساریہ سلمی رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ ہم نے(خیبر)میں نبی صلی اللہ علیہ وسلم كے ساتھ پڑاؤ ڈالا۔ آپ كے ساتھ آپ كے صحابہ بھی تھے (خیبر) كا والی ایك سر كش منكر شخص تھا۔ وہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم كی طرف رخ كر كے كہنے لگا: اے محمد! كیا تمہارے لئے مناسب ہے كہ تم ہمارے گدھے ذبح كرو، ہمارے پھل كھاؤ اور ہماری عورتوں كو مارو؟ نبی صلی اللہ علیہ وسلم غصےمیں آگئے اور كہنے لگے: ابن عوف   اپنے گھوڑے پر سوار ہو كر لوگوں میں اعلان كر دو كہ: خبردار  ! جنت مومن كے علاوہ كسی كے لئے حلال نہیں ، اور نماز كے لئے جمع ہو جاؤ ۔ لوگ جمع ہو گئے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے انہیں نماز پڑھائی پھر كھڑے ہو كر فرمایا: كیا تم میں سے كوئی شخص جو اپنے تكیہ پر ٹیك لگائے ہوئے ہے گمان كرتا ہے كہ اللہ تعالیٰ نےاس  چیزکے علاوہ جوقرآن میں موجود ہےکوئی چیز حرام نہیں كی ؟ خبردار  اللہ كی قسم میں نے كچھ باتوں كا حكم دیا ہے ، كچھ باتوں كی نصیحت كی ہے اور كچھ باتوں سے منع كیا ہے۔ یہ قرآن كی طرح ہے یا اس سے بھی بڑھ كر ، اور اللہ عزوجل نے تمہارے لئے اس کام کوحلال نہیں كیا كہ جب اہلِ کتاب اپنے اوپرواجب الادا           رقم(جزیہ)تمھیں دیں تو تم بغیر اجازت ان کے گھروں میں گھس جاؤ،ان کی عورتوں کو مارنا شروع کردواور ان کے پھل کھانے لگ جاؤ۔
----
Al-Silsila-Tus-Sahiha#1623

Dhokha dene wala Qayamat ke din kaise pehchana jayega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 942❗

Sawal: Dhokha dene wala Qayamat ke din kaise pehchana jayega?

A: wo sabse ziyada khauff mein mubtala hoga
B: wo log sabse juda hokar khade honge
C: uska hesab sabse pehle hoga
D: maut ke waqt usper sakhti hogi
E: uske peshani par likha hoga
F: uske chehere par likha hoga 
G: Inmein se koi  nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
***********
Sahih Jawab - G (Ek jhanda hoga)✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Qayamat ke din har dhokha dene wale ke haath mein jhanda hoga jisse wo pehchana jayega

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya musalmanoon ka zimma Ek he hain agar koi panah daine wali (khatoon) panah de de to is ka bhi zimma na thodo kuyke har dhokha daine wale ke liye Ek jhanda hoga jis ke zariye wo qayamat ke din pehchana jayega.
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam  said: Muslims have only one responsibility. If a woman who gives refuge, do not break her responsibility, because for every deceiver there will be a flag by which he will be recognized on the Day of Resurrection.
----
عائشہ رضی اللہ عنہا كہتی ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مسلمانوں كا ذمہ ایك ہی ہے ۔ اگر كوئی پناہ دینے والی(خاتون) پناہ دے دے تواس كا بھی ذمہ نہ توڑو كیوں كہ ہر دھوكہ دینے والےکے لئے ایك جھنڈا ہوگا جس كے ذریعے وہ قیامت كے دن پہچانا جائے گا۔
----
Al-Silsila-Tus-Sahiha#1639

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...