Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 13 March 2021

Qayamat ke qareeb Islam ka kya haal hoga

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Qayamat ke qareeb Islam ka kya haal hoga

A: la ilaha illAllah uss waqt inhe dozak se nijat dilayega
B: burai dehk kar bhi log rokenge nahi
C:La ilaha IllAllah ke bare mein logon ko malum nahi hoga kahenge ke humare baap dada se suna tha isliye hum bhi yahi kehte hain 
D:Namaz roza Qurbani zakaat ke bare mein log la ilm honge
E: Rohe Zameen par ek ayat bhi nahi bachegi
F:iss tarah khatam hojayega jaise kaodon par se naqs aur nigar
G: finte aur azmaish har ghar mein honge siwai jo iman ko mazbuti se tame honge
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab- ACDEF✅

Qayamat ke qareeb La ilaha illAllah kehne wale dozak se nijaat payege

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Islam iss taraha mit jayega jis tarha kapde ke naqsh aur nigar mit jaate hain yaha tak ke malum nahi hoga Roza , Namaz , Qurbani aur Sadqa ( zakat ) kya hai ek raat Allah ki Kitab par aise aaegi ke zameen mein ek aayat bhi nahi bachegi aur logo ke ye groh bachenge budhe, Mard , Aurtein wo kahenge humne apne bado ko iss kalme ( laa illaha illallaha) par paya islye hum bhi yahi kehte hai Silah bin zafr radi allahu anhu ne Huzaifa Radi Allahu Anhu se kaha ( laa illaha illallaha) to kya kifayat karega kyu ke Innhein malum nahi hoga namaz roza Qurbani aur zaqat kya hai Huzaifa Radi Allahu Anhu ne muh mod liya Silah radi allahu anhu ne teen baar ye baat kahi har baar Huzaifa Radi Allahu Anhu unki taraf mutawaja ho kar kehne lage Eh sulah ye Kalma innehin Dozakh se nijat dila dega teen baar Kaha
-----
حذیفہ بن یمان رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے کہ: اسلام اس طرح مٹ جائے گا جس طرح کپڑے کے نقش و نگار مٹ جاتے ہیں، حتی کہ معلوم نہیں ہوگا،روزہ کیا ہے،نماز کیا ہے، قربانی کیا ہے اور صدقہ(زکاة) کیا ہے ۔ایک رات اللہ کی کتاب پر ایسی آئے گی کہ زمین میں ایک آیت بھی نہیں بچے گی۔ اور لوگوں کے یہ گروہ بچیں گے،بوڑھے مرد اور عورتیں،وہ کہیں گے: ہم نے اپنے آباء کو اس کلمہ( لا الہ الا اللہ) پر پایا، اس لئے ہم بھی یہی کہتے ہیں ۔صلہ بن زفر رضی اللہ عنہما نے حذیفہ رضی اللہ عنہ سے کہا: (لا الہ الا اللہ) تو کیا کفایت کرے گا، کیوں کہ انہیں معلوم نہیں ہوگا کہ نماز، روزہ،قربانی اور زکاة(صدقہ) کیا ہے؟ حذیفہ رضی اللہ عنہ نے منہ موڑ لیا۔ صلہ نے تین مرتبہ یہ بات کہی،ہر مرتبہ حذیفہ‌رضی اللہ عنہ نے اس سے منہ موڑ لیا، پھر تیسری مرتبہ اس کی طرف متوجہ ہو کر کہنے لگے: اے صلہ! یہ کلمہ انہیں جہنم سے نجات دلا دے گا۔ تین مرتبہ کہا۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: “Islam will wear out as embroidery on a garment wears out, until no one will know what fasting, prayer, (pilgrimage) rites and charity are. The Book of Allah will be taken away at night, and not one Verse of it will be left on earth. And there will be some people left, old men and old women, who will say: “We saw our fathers saying these words: ‘La ilaha illallah’ so we say them too.” Silah said to him: “What good will (saying): La ilaha illallah do them, when they do not know what fasting, prayer, (pilgrimage) rites and charity are?” Hudhaifah turned away from his. He repeated his question three times, and Hudhaifah turned away from him each time. Then he turned to him on the third time and said: “O Silah! It will save them from Hell,” three times. 
Al-Silsila-As-Sahiha # 2651-Sahih

Kaun log honge jinhe Qayamat ke din unki nazre nahi lautayi jayegi aur beshak unke dil khali honge

 ❗Only-Quran-Hadith- Quiz❗

Sawal: Kaun log honge jinhe Qayamat ke din unki nazre nahi lautayi jayegi aur beshak unke dil khali honge 

A: Zina karne wale
B: Zalim
C: Munafiq
D: Kaafir
E: jo ankho ka zina karte hain
F: Mushrik
G: Yahudi
H: In mein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab : B ✅

Al Quran: Zulm karne walo ka anjaam

Reference📚
Bismillahirrahmanirrahim
وَ لَا تَحۡسَبَنَّ اللّٰہَ غَافِلًا عَمَّا یَعۡمَلُ الظّٰلِمُوۡنَ ۬ ؕ اِنَّمَا یُؤَخِّرُہُمۡ لِیَوۡمٍ تَشۡخَصُ  فِیۡہِ  الۡاَبۡصَارُ ﴿ۙ۴۲﴾ 
مُہۡطِعِیۡنَ مُقۡنِعِیۡ رُءُوۡسِہِمۡ لَا یَرۡتَدُّ اِلَیۡہِمۡ  طَرۡفُہُمۡ ۚ وَ اَفۡـِٕدَتُہُمۡ  ہَوَآءٌ ﴿ؕ۴۳﴾ 
-----------
Aur Zalimo ke Aamal se Allah ko ghafil na samajh wo to inhen us din tak mohlat diye huwa hai jiss din aankhen phati ki phati reh jayengi. 
Wo apne sir upper uthaye daur bhaag kar rahe honge khud apni taraf bhi inn ki nighayen na lautengi aur inn ke dil khali aur adhe huwe honge. 
--------
And never think that Allah is unaware of what the wrongdoers do. He only delays them for a Day when eyes will stare [in horror]. 
Racing ahead, their heads raised up, their glance does not come back to them, and their hearts are void. 
--------------
اور  ظالموں  کے اعمال سے اللہ کو غافل نہ سمجھ وہ تو انہیں اس دن تک مہلت دیئے ہوئے ہے جس دن آنکھیں پھٹی کی پھٹی رہ جائیں گی ۔ 
وہ اپنے سر اوپر اٹھائے دوڑ بھاگ کر رہے ہونگے خود اپنی طرف بھی ان کی نگاہیں نہ لوٹیں گی اور ان کے دل خالی اور اڑے ہوئے ہونگے ۔ 
----------------------------
Surah Ibrahim (14) Ayat No. 42 - 43

Wo kya hain jiska talluq nifaq se hain aur us se duniya mein fayda hota hain but aakhirat mein nuqsan

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Wo kya hain jiska talluq nifaq se hain aur us se duniya mein fayda hota hain but aakhirat mein nuqsan

A: Bakheeli karna
B: Buraiee ka wada karna
C: Fihash
D: Khayanat karna
E: Badkalami
F: Haq ka inkar karna
G: Wada Khilafi karna
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - ACE ✅

Hadith: Beshak Haya Imaan se taluq rakhti hain aur Nifaq se aakhirat mein nuqsan hasil hota hain

Reference📚:
-----
Qurah Al Mazni RadiAllahu Anhu se bayan karte hain, unhone kaha ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas baithe huyee thay Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke paas Haya ka tazkara chal pada, Sahaba ne poocha:Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ? Kya Haya Deen se talluq rakhta hain? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam farmaya: Beshaq Haya, pakdamni, bebasi (Adam qudrat), zabaan ki bebasi na ke dil ki bebasi, aur fiqa (samajh boojh) imaan se talluq rakhti hain. Un se duniya mein kami aur aakhirat mein izafa hota hai aur akhirat ka izafa duniya ke nuqsaan se bohat zyada hai. Isi tarha bakheeli fihash, aur badkalami nifaq se talluq rakhti hain ye cheezein aakhirat ka nuqsaan karti hain aur duniya mein kuch izafa karti hain aur aakhirat ka nuqsaan duniya ke faida se bohat zyada hain.
----
صحابہ نے پوچھا:اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ! کیا حیا دین سے تعلق رکھتا ہے؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : بے شک حیا، پاکدامنی  ،بے بسی(عدم قدرت) ،زبان کی بے بسی نہ کہ دل کی بے بسی، اور فقہ(سمجھ بوجھ) ایمان سے تعلق رکھتی ہیں۔ ان سے دنیا میں کمی اور آخرت میں اضافہ ہوتا ہے۔ اور آخرت کا اضافہ دنیا کے نقصان سے بہت زیادہ ہے ۔اسی طرح بخیلی ،فحش، اور بدکلامی نفاق سے تعلق رکھتی ہیں ۔ یہ چیزیں آخرت کا نقصان کرتی ہیں اور دنیا میں کچھ اضافہ کرتی ہیں۔ اور آخرت کا نقصان دنیا کے فائدہ سے بہت زیادہ ہے۔ ایاس نے کہا میں نے یہ حدیث عمر بن عبدالعزیز کو بیان کی ۔انہوں نے مجھے حکم دیا تو میں نے یہ حدیث انہیں املا کروائی پھر انہوں نے اسے اپنے ہاتھ سے لکھا ۔پھر ہمیں ظہر اور عصر کی نماز پڑھائی تو وہ ان کی آستین میں تھا انہوں نے اسے رکھا  تک نہیں 
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#66-Sahih

Wo kya hai jiska talluq iman se hain aur us se aakhirat mein zyada fayda hota hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kya hai jiska talluq iman se hain aur us se aakhirat mein zyada fayda hota hain

A: Sila Rahmi
B: Sabr
C: Achcha Akhlaq
D: Achcha Khawab
E: Haya
F: Ilm
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - E ✅

Hadith: Beshak Haya Imaan se taluq rakhti hain aur Nifaq se aakhirat mein nuqsan hasil hota hain

Reference📚:
-----
Qurah Al Mazni RadiAllahu Anhu se bayan karte hain, unhone kaha ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas baithe huyee thay Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke paas Haya ka tazkara chal pada, Sahaba ne poocha:Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ? Kya Haya Deen se talluq rakhta hain? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam farmaya: Beshaq Haya, pakdamni, bebasi (Adam qudrat), zabaan ki bebasi na ke dil ki bebasi, aur fiqa (samajh boojh) imaan se talluq rakhti hain. Un se duniya mein kami aur aakhirat mein izafa hota hai aur akhirat ka izafa duniya ke nuqsaan se bohat zyada hai. Isi tarha bakheeli fihash, aur badkalami nifaq se talluq rakhti hain ye cheezein aakhirat ka nuqsaan karti hain aur duniya mein kuch izafa karti hain aur aakhirat ka nuqsaan duniya ke faida se bohat zyada hain.
----
صحابہ نے پوچھا:اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ! کیا حیا دین سے تعلق رکھتا ہے؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : بے شک حیا، پاکدامنی  ،بے بسی(عدم قدرت) ،زبان کی بے بسی نہ کہ دل کی بے بسی، اور فقہ(سمجھ بوجھ) ایمان سے تعلق رکھتی ہیں۔ ان سے دنیا میں کمی اور آخرت میں اضافہ ہوتا ہے۔ اور آخرت کا اضافہ دنیا کے نقصان سے بہت زیادہ ہے ۔اسی طرح بخیلی ،فحش، اور بدکلامی نفاق سے تعلق رکھتی ہیں ۔ یہ چیزیں آخرت کا نقصان کرتی ہیں اور دنیا میں کچھ اضافہ کرتی ہیں۔ اور آخرت کا نقصان دنیا کے فائدہ سے بہت زیادہ ہے۔ ایاس نے کہا میں نے یہ حدیث عمر بن عبدالعزیز کو بیان کی ۔انہوں نے مجھے حکم دیا تو میں نے یہ حدیث انہیں املا کروائی پھر انہوں نے اسے اپنے ہاتھ سے لکھا ۔پھر ہمیں ظہر اور عصر کی نماز پڑھائی تو وہ ان کی آستین میں تھا انہوں نے اسے رکھا  تک نہیں 
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#66-Sahih

Umm ul Khabais se kya murad hain

 ❗Only-Quran-Hadith,Quiz❗

Sawal: Umm ul Khabais se kya murad hain

A: Baazar
B: Nujumi ke pass jana
C: Gussa karna
D: Sharab 
E: Juwa 
F: Jadu 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab - D✅

Hadith: Sharab ko Umm ul Khabais ki jad kaha gaya hain

Reference📚:
----
Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hain Sharab Khabais ki jad (Umm ul Khabais) hain jis shaqs ne Sharab pee Allah Subhanahu 40 din tak uski namaz kubul nahi karega agar wo Marr Gaya aur Sharab uske pait mein huwi to wo Jahaliat ki maut marega
__
 عبداللہ بن عمرو   رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے كہ: شراب خبائث كی جڑ (ام الخبائث)ہے۔ جس شخص نے شراب پی اللہ تعالیٰ چالیس دن تك اس كی نماز قبول نہیں كرے گا، اگر وہ مرگیا اور شراب اس كے پیٹ میں ہوئی تو وہ جاہلیت كی موت مرے گا
----
Al-Slisila-tus-Sahiha Hadees#1636-Sahih

Wo kaunsa amal hain jiske karne par farmaya gaya hai iss wajah se zayda tar log Jannat mein dakhil honge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zayda hain

Sawal: Wo kaunsa amal hain jiske karne par farmaya gaya hai iss wajah se zayda tar log Jannat mein dakhil honge

A: Khamoshi
B: Achcha padosi 
C: Taqwa
D: Sabr
E: Sadqa
F: Achche Akhlaq
G: Ilm
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - CF✅

Hadith: Jannat mein zyadatar log Taqwa aur Achche Akhlaq ke wajah se dhakil honge

Reference📚:
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya kaun se kaam logon ko zyada tar Jannat mein dhakhil karenge? to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Taqwa (Allah Subahnahu ka khauf ) aur Husn Khalq (Achcha Akhlaq) aur poocha gaya kaun se kaam ziyada tar aadmi ko Jahannum mein le jayenge? farmaya do khokhli cheeze muh aur sharamgah.
----------
It was narrated that Abu Hurairah said:
“The Prophet (ﷺ) was asked: ‘What most admits people to Paradise?’ He said: Piety and good manners.’ And he was asked: ‘What most leads people to Hell?’ He said: ‘The two hollow ones: The mouth and the private part.’
---------
نبی (ﷺ) سے پوچھا گیا: کون سے کام لوگوں کو زیادہ تر جنت میں داخل کریں گے؟ تو آپ (ﷺ) نے فرمایا: تقویٰ ( اللہ تعالیٰ کا خوف ) اور حسن خلق ( اچھے اخلاق ) ، اور پوچھا گیا: کون سے کام زیادہ تر آدمی کو جہنم میں لے جائیں گے؟ فرمایا: دو کھوکھلی چیزیں: منہ اور شرمگاہ
-------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 4246-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...