Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 13 March 2021

Qayamat ke qareeb Islam ka kya haal hoga

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal: Qayamat ke qareeb Islam ka kya haal hoga

A: la ilaha illAllah uss waqt inhe dozak se nijat dilayega
B: burai dehk kar bhi log rokenge nahi
C:La ilaha IllAllah ke bare mein logon ko malum nahi hoga kahenge ke humare baap dada se suna tha isliye hum bhi yahi kehte hain 
D:Namaz roza Qurbani zakaat ke bare mein log la ilm honge
E: Rohe Zameen par ek ayat bhi nahi bachegi
F:iss tarah khatam hojayega jaise kaodon par se naqs aur nigar
G: finte aur azmaish har ghar mein honge siwai jo iman ko mazbuti se tame honge
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab- ACDEF✅

Qayamat ke qareeb La ilaha illAllah kehne wale dozak se nijaat payege

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Islam iss taraha mit jayega jis tarha kapde ke naqsh aur nigar mit jaate hain yaha tak ke malum nahi hoga Roza , Namaz , Qurbani aur Sadqa ( zakat ) kya hai ek raat Allah ki Kitab par aise aaegi ke zameen mein ek aayat bhi nahi bachegi aur logo ke ye groh bachenge budhe, Mard , Aurtein wo kahenge humne apne bado ko iss kalme ( laa illaha illallaha) par paya islye hum bhi yahi kehte hai Silah bin zafr radi allahu anhu ne Huzaifa Radi Allahu Anhu se kaha ( laa illaha illallaha) to kya kifayat karega kyu ke Innhein malum nahi hoga namaz roza Qurbani aur zaqat kya hai Huzaifa Radi Allahu Anhu ne muh mod liya Silah radi allahu anhu ne teen baar ye baat kahi har baar Huzaifa Radi Allahu Anhu unki taraf mutawaja ho kar kehne lage Eh sulah ye Kalma innehin Dozakh se nijat dila dega teen baar Kaha
-----
حذیفہ بن یمان رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے کہ: اسلام اس طرح مٹ جائے گا جس طرح کپڑے کے نقش و نگار مٹ جاتے ہیں، حتی کہ معلوم نہیں ہوگا،روزہ کیا ہے،نماز کیا ہے، قربانی کیا ہے اور صدقہ(زکاة) کیا ہے ۔ایک رات اللہ کی کتاب پر ایسی آئے گی کہ زمین میں ایک آیت بھی نہیں بچے گی۔ اور لوگوں کے یہ گروہ بچیں گے،بوڑھے مرد اور عورتیں،وہ کہیں گے: ہم نے اپنے آباء کو اس کلمہ( لا الہ الا اللہ) پر پایا، اس لئے ہم بھی یہی کہتے ہیں ۔صلہ بن زفر رضی اللہ عنہما نے حذیفہ رضی اللہ عنہ سے کہا: (لا الہ الا اللہ) تو کیا کفایت کرے گا، کیوں کہ انہیں معلوم نہیں ہوگا کہ نماز، روزہ،قربانی اور زکاة(صدقہ) کیا ہے؟ حذیفہ رضی اللہ عنہ نے منہ موڑ لیا۔ صلہ نے تین مرتبہ یہ بات کہی،ہر مرتبہ حذیفہ‌رضی اللہ عنہ نے اس سے منہ موڑ لیا، پھر تیسری مرتبہ اس کی طرف متوجہ ہو کر کہنے لگے: اے صلہ! یہ کلمہ انہیں جہنم سے نجات دلا دے گا۔ تین مرتبہ کہا۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: “Islam will wear out as embroidery on a garment wears out, until no one will know what fasting, prayer, (pilgrimage) rites and charity are. The Book of Allah will be taken away at night, and not one Verse of it will be left on earth. And there will be some people left, old men and old women, who will say: “We saw our fathers saying these words: ‘La ilaha illallah’ so we say them too.” Silah said to him: “What good will (saying): La ilaha illallah do them, when they do not know what fasting, prayer, (pilgrimage) rites and charity are?” Hudhaifah turned away from his. He repeated his question three times, and Hudhaifah turned away from him each time. Then he turned to him on the third time and said: “O Silah! It will save them from Hell,” three times. 
Al-Silsila-As-Sahiha # 2651-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...