❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
❗Jawab ek se zyada hain
Sawal: Wo kya hain jiska talluq nifaq se hain aur us se duniya mein fayda hota hain but aakhirat mein nuqsan
A: Bakheeli karna
B: Buraiee ka wada karna
C: Fihash
D: Khayanat karna
E: Badkalami
F: Haq ka inkar karna
G: Wada Khilafi karna
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - ACE ✅
Hadith: Beshak Haya Imaan se taluq rakhti hain aur Nifaq se aakhirat mein nuqsan hasil hota hain
Reference📚:
-----
Qurah Al Mazni RadiAllahu Anhu se bayan karte hain, unhone kaha ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas baithe huyee thay Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke paas Haya ka tazkara chal pada, Sahaba ne poocha:Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ? Kya Haya Deen se talluq rakhta hain? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam farmaya: Beshaq Haya, pakdamni, bebasi (Adam qudrat), zabaan ki bebasi na ke dil ki bebasi, aur fiqa (samajh boojh) imaan se talluq rakhti hain. Un se duniya mein kami aur aakhirat mein izafa hota hai aur akhirat ka izafa duniya ke nuqsaan se bohat zyada hai. Isi tarha bakheeli fihash, aur badkalami nifaq se talluq rakhti hain ye cheezein aakhirat ka nuqsaan karti hain aur duniya mein kuch izafa karti hain aur aakhirat ka nuqsaan duniya ke faida se bohat zyada hain.
----
صحابہ نے پوچھا:اے اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ! کیا حیا دین سے تعلق رکھتا ہے؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : بے شک حیا، پاکدامنی ،بے بسی(عدم قدرت) ،زبان کی بے بسی نہ کہ دل کی بے بسی، اور فقہ(سمجھ بوجھ) ایمان سے تعلق رکھتی ہیں۔ ان سے دنیا میں کمی اور آخرت میں اضافہ ہوتا ہے۔ اور آخرت کا اضافہ دنیا کے نقصان سے بہت زیادہ ہے ۔اسی طرح بخیلی ،فحش، اور بدکلامی نفاق سے تعلق رکھتی ہیں ۔ یہ چیزیں آخرت کا نقصان کرتی ہیں اور دنیا میں کچھ اضافہ کرتی ہیں۔ اور آخرت کا نقصان دنیا کے فائدہ سے بہت زیادہ ہے۔ ایاس نے کہا میں نے یہ حدیث عمر بن عبدالعزیز کو بیان کی ۔انہوں نے مجھے حکم دیا تو میں نے یہ حدیث انہیں املا کروائی پھر انہوں نے اسے اپنے ہاتھ سے لکھا ۔پھر ہمیں ظہر اور عصر کی نماز پڑھائی تو وہ ان کی آستین میں تھا انہوں نے اسے رکھا تک نہیں
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#66-Sahih
No comments:
Post a Comment