❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
jawab ek se zyada
Sawal: Qabr mein Insan jab waha puche jane wale sawalo ke jawab nahi deta to uske saath kya kiya jata hai ?
A: Jahannum ka ek darwaaza khol diya jata hai
B: usay ek zarb lagai jati hai,
C: is se kaha jata hai is terhan soo jis terhan Manhoos sota hai
D: usse ke haath pav mein bediya dall di jati hai
E: uski Qabar tang kar di jati hai
F: usper ek faristha musallat kar diya jata hai joh usse subah sham qode marta hain
G: Uski Qabr mein Saanp aur bichchu chodh diye jate hain
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********************************
Sahi Jawab - ABCE✅
Reference📚:
------------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu ne kaha ke Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya, Momin par maut utarti hai aur who (Apni Akhirat ki behtari ka) mushahida karta hai jo karta hai to woh chahta hai ke iski Rooh nikal jaye aur Allah Subhanahu taala ki mulaqaat ko pasand karta hai Momin ki Rooh ko Asman par le jaya jaata hain. Momeen ki roohein is ke paas aati hain, aur zameen par basne wale logon ke bare mein is se poochti hain jab woh rooh kehti hai ke falan ko zameen par chore aaya hon, to yeh baat inhen achi lagti hai aur jab woh kehta hai ke falan marr gaya hai, to woh kehte hain usay hamaray paas to nahi laya gaya aur momin ko is ki qabar mein bithaya jata hai aur is se poocha jata hai is ka RABB kaun hai? woh kehta hai mera RABB Allah hai. is se kaha jata hai tumhara Nabi kaun hai? woh kehta hai : Mere Nabi Mohammad Sallahu Alahi WaSallam hain woh Farishta kehta hai tumhara Deen kya hain? woh kehta hai mera Deen Islam hai tab is ke liye Qabar mein ek darwaaza khol diya jata hai, ya kaha jata hai apne thikaane ki taraf dehko woh qabar dehkta hai to goya woh ek aaraam da bistar ki terhan hoti hai. Lekin agar Allah ka koi dushman ho aur is par Maut uttre aur woh (apna bura Anjaam) dekh leta hai to woh pasand nahi karta ke is ki rooh kabhi bhi nikale. Allah Subhanahu taala bhi is ki mulaqaat ko na pasand karta hai jab woh apni qabar mein baithta hai ya usay bithaya jata hai, to is se kaha jata hai tera RABB kaun hai? woh kehta hai mujhe nahi maloom is se kaha jata hai tumhe nahi maloom. phir is ke liye Jahannum ka ek darwaaza khol diya jata hai, phir usay ek zarb lagai jati hai, jo jin o insan ke ilawa har janwar ko sunai deti hai. phir is se kaha jata hai is terhan soo, jis terhan Manhoos sota hai mein ne Abu Huraira RadiAllahu Anhu se kaha ye Manhoos kaun hota hain? Abu Huraira RadiAllahu Anhune kaha jisay kide makode aur saanp dasee phir is ki qabar tang kar di jati hain
-----
Sahi Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3258
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do Sawal hai! Ek baar Rasool-Allah Alaihi wasallam ne farmya ke qayamat ke din Allah Subhanahu ek Nabi se farmaye g...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Mareez ki ayadat kare toh uske liye dua kare ke Eh Allah tu apne bande ko shifa de ----- Abdullah bin Umar...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَ ہُوَ مَعَکُمۡ اَیۡنَ مَا کُنۡتُمۡ ------ Aur jahan kahi tum ho Allah Subahnahu tumharay saat...
-
Bismillahirahmanirrahim Hadith: Kasrat se La hawla wa la Quwwata illa billah padhne ki fazilat ---- Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Allah Subhanahu ke raza ke liye gusse ka ghoont peena sabse fazilat wala hain ----- Rasool-Allah Sallalla...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ ❗Jawab ek se ziyada hain Sawal: Allah Subhanahu se dua mangte waqt kaun se kalimat kehne per Allah Subhanahu farma...
-
Bismilahirrahmanirrahim La ilaha illAllah kahne ki fazilat ---------------- Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne fa...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغْفِرَةٍ لِّلنَّاسِ عَلَىٰ ظُلْمِهِمْ ----- Aur Aap ka RABB logon ko un ke zulm o zayadati...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do Sawal hain❗ Sawal: Kaunse qaum ke liye Allah subhanahu ne ek muqammal surat nazil ki thi jismein srif unhe ka z...
No comments:
Post a Comment