Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 20 January 2020

Sawal: Logo mein Ya Makhluq mein bad tarheen shakhs kise kaha gaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Logo mein Ya Makhluq mein bad tarheen shakhs kise kaha gaya hain?

A: Bahut zayda bolne wala
B: Bad Kalami karne wala
C: Maal ki hiras karne wala
D: Chugali karne wala
E: Logo ko beech mein judai dalne wala
F: Bande per lanat karne wala
G: Beqasur logo per Gunah ka ilzam lagane wala
H: Bohtan lagane wala
I: Kafir

J: Sahi Jawab ka Intezaar?

*********************************

Sahi Jawab - BDEGI✅

Reference📚

Aisha Radi Allahu Anhu kehti hain k eek aadmi ne andar aane ki ijazat mangi mein Aap (ﷺ) ke paas thi Aap (ﷺ) ne farmaya yeh apne khandan ka bura aadmi hai phir usay ijazat de di aur narmi se baatein karne lagey jab woh chala gaya to mein ne kaha Eh Allah ke Rasool (ﷺ) aap ne is ke baare mein ye baatein kahin, phir is se narmi se baatein karne lag gaye? Aap (ﷺ) ne farmaya Eh Aisha Radi Allahu Anhu logon mein bad tareen woh shakhs hai jise log iski bad kalami ki wajah se chore den
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 463

------
Abu malik ashari radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain

Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha-3412
---------
Beshaq Jo log kaafir hain , Ahla-e-kitaab (mein se) aur mushrik wo dojakh ki Aag mein parey rahngey (aur) hamesha usmein rahngey , Ye log sab makhluq se badtar hain Beshaq jo log imaan laye aur neik kaam kartey rahey wo tamam makhluq se behtar hain

Al Quran , Surah Bayyina (98), verse 6-7

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...