❗Only-Quran-Hadith-Quiz 02❗
Sawal: Mahfum mukammal kijiye koi bhi Nabi Alahi Salam tab tak faut nahi hota jab taq _____?
A: wo apni ummat ki bakshish nahi karwa leta
B: wo apni qaum ko deen ki dawat nahi de deta
C: wo apni azmaeesh mein sabit qadam rahe
D: jab tak wo Allah ka farman logo tak na pahocha de
E: jab tak wo apna thikana Jannat mein nahi dehk leta
F: jab tak wo apne qaum mein sulah nahi karwa deta
G: jab tak qayamat aur uske azab ke bare mein na bata de
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye!
**********************
Sahi Jawab -E✅
Reference📚:
-----------
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehti hain ke Nabi Sallahu Alahi waSallam ne tandurusti ki haalat mein farmaya karte thy koi Nabi is waqt taq faut nahi hota jab taq Jannat mein is ka thikana usse nah dikha diya jaye, phir usay ikhtiyar de diya jata hai jab Aap Salalhu Alahi WaSallam ki Maut ka waqt aaya, Aap ka sir meri Raan par tha, Aap par ghashi taari ho gayi, phir kuch afaqa huwa to Aap Sallahu Alahi WaSallam ne ghar ki chaat ki taraf nazarein utha li phir farmaya Eh Allah ! Mujhe Rafeeq aala se mila de, mein ne kaha tab to Aap hamein nahi chunainge, (yani hum mein nahi rahenge) aur mujhe maloom ho gaya ke yeh wohi baat hai jo Aap Sallahu Alahi WaSallam hume tandrusti ki haalat mein farmaya karte thy kehti hain ke Aap Sallahu Alahi WaSallam ka aakhri kalma jo Aap ne kaha :' ' اللهم الرفیق الْأعْلى' ' tha
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3136
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...
No comments:
Post a Comment