Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sahi Milan Kijiye! 1. Afzal Islam kaunsa hai 2. Afzal Eman kaunsa hai 3. Afzal Namaz kaunsi hai 4. Afzal Hijrat kaunsi hai 5. Afzal Ghadi kaunsi hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sahi Milan Kijiye!

1. Afzal Islam kaunsa hai
2. Afzal Eman kaunsa hai
3. Afzal Namaz kaunsi hai
4. Afzal Hijrat kaunsi hai
5. Afzal Ghadi kaunsi hai
-------------
A: Raat ka aakhiri hissa
B: Jo cheez RABB ko napasand ho usse chorh dena
C: Fajar ka waqt
D: jis ka qayam lamba ho
E: Achcha Akhlaq
F: jiss ke haath aur zuban se dusra musalman mehfooz ho
G: Allah ke rehmant se naummed na hona
H: Witr ki namaz akhar mein panda

I: Sahi Jawab ka intezaar


****************************************

Sahi Jawab - 1F, 2E, 3D, 4B, 5A✅

Reference📚:
----------
Umro bin Absha RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Raool-Allah SallaAllahu Aalahi WaSallam ke pass aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Aalahi waSallam is deen par kis shaksh ne app ki pairwi ki hain? Aap ne farmaya Azad aur ghulam ne mein ne kaha Islam kya hain? Aap ne farmaya umdah baat karna aur khana khilana mein ne poocha Emaan kya hain? Aap ne farmaya Sabr aur darguzar, mein ne poocha kaunsa Islam Afzal hain? Aap ne farmaya jis ke haath aur zabaan se dusre musalman mehfooz rahen mein neh kaha kausa Emaan Afzal hai? Aap ne farmaya achcha Akhlaq mein neh kaha kaunsi Namaz Afzal hain? Aap ne farmaya lambe qiyam wali mein neh kaha kausi Hijrat Afzal hain? Aap ne farmaya jis cheez ko tere RABB ne na pasand kiya hai usse chore dena mein ne kaha kaunsa Jihaad afzal hain? Aap ne farmaya jis ke ghoray konchi kaat di jayen aur is ka khoon baha diya jaye mein ne kaha kaunsi Ghadi Afzal hain? Aap ne farmaya Raat ka aakhri hissa.
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3343

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...