Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sawal: Ek baar ek sahabi ne kaha ke unhe unke Khalil Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne kuch baatoh ka hukum diya. Wo kaun kaunsi batoh ka hukum irshad farma rahe thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz 01 ❗

Jawab ek se zayda hain!

Sawal: Ek baar ek sahabi ne kaha ke unhe unke Khalil Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne kuch baatoh ka hukum diya.

Wo kaun kaunsi batoh ka hukum irshad farma rahe thy?

A: La haula wa la quwwata illah billah kasrat se pardhe
B: Allahumma Agfirli Wa tub Alayya Innaka Antat-Tawwabul-Gafoor kasrat se pardhe
C: Miskeen se mohabbat kare aur unke qareeb hone ka hukum diya
D: hamesha apne se kumtar ke taraf dehke aur khud ko behtar ki taraf na dekhe
E: Ristedaron se jude rahe agarchey wo peeche haate
F: kabhi kisi shakhs se koi cheez na maange
G: hamesha sach bolne ka hukum diya agarchay kadwa he ho
H: Allah ke bare mein kisi bhi malamat se na dare
I: Rabbana Aatina fid-dunya ḥasanatan wa fil Aakhirati Hasanatan Wa Qina Azabann-nar kasrat se pardhe

J: Sahi Jawab ka Intezaar


***********************************


Sahi Jawab - ACDEFGH✅

Reference📚:
------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhone kaha ke mujhe mere Khalil Sallalhu Alahi waSallam ne saat (7) baton ka hukum diya (1) Mujhe Miskeen se mohabbat karne aur un ke qareeb hone ka hukum diya. (2) Mujhe hukum diya ke mein apne se kumtar ki taraf daikhon aur khud se behtar ki taraf na daikhon, (3) Mujhe hukum diya ke rishtedaaron se judha rahon agarchay woh peechay hatte, (4) Mujhe hukum diya ke kisi bhi shakhs se koi cheez na maanguu, (5) Mujhe hukum diya ke sach kahoon agarchay kadwa he ho. (6) Mujhe hukum diya ke Allah ke baray mein kisi malamat karne walay ki malamat se na daru (7) Mujhe hukum diya ke mein La haula wa la Quwwata illa billah kasrat se parhon kyunkay yeh kalmaat arsh ke neechay ke kazane mein se hain (aur ek riwayat mein hai ke yeh Jannat ke khazanon mein se ek khazana hain.
---------
ابو ذررضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ مجھے میرے خلیل صلی اللہ علیہ وسلم نے سات باتوں کا حکم دیا(۱)مجھے مساکین سے محبت کرنے اور ان کے قریب ہونے کا حکم دیا،(۲)مجھے حکم دیا کہ میں اپنے سے کمترکی طرف دیکھوں اور خود سے برتر کی طرف نہ دیکھوں،(۳)مجھے حکم دیا کہ رشتہ داروں سے جڑا رہوں اگرچہ وہ پیچھے ہٹیں،(۴)مجھے حکم دیا کہ کسی بھی شخص سے کوئی چیز نہ مانگوں،(۵)مجھے حکم دیا کہ سچ کہوں اگرچہ کڑوا ہی ہو،(۶)مجھے حکم دیا کہ اللہ کے بارے میں کسی ملامت کرنے والے کی ملامت سے نہ ڈروں،(۷)مجھے حکم دیا کہ میں لا حول ولا قوة الا باللہ کثرت سے پڑھوں کیونکہ یہ کلمات عرش کے نیچے کے خرانے میں سے ہیں(اور ایک روایت میں ہے کہ :یہ جنت کے خزانوں میں سے ایک خزانہ ہیں)۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 53

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...