❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Inmein se wo kaunsa amal hai jis ke zariye se Allah Subhanahu gunah mita dete hai aur darjat ko buland farma dete hai?
A: Sakhti mein bhi wazu karna
B: Mareez ki ayadat karna
C: Kisi Gulam ko azad karwana
D: Momeen ki madad karne ke liye chal kar jana
E: Maidane jung mein shaheed hona
F: Takbeer padne par
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Note: Agar Jawab G hai toh apna jawab likhiye❗
**************************************
Sahi Jawab - A✅
Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya main tumehin aisee Cheez se aagah na Karu jiske zariye se Allah Subhanahu gunah Mita deta hai aur darjat buland farma deta hai Sahaba Radi Allahu Anhuma ne arz Kiya Ya Rasool-Allah (Sallallahu Alahih Wasallam) kyu nahi Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Taklif ke bawajud achchi tarah Wazu Karna Masjid tak zyada Qadam chalna , Ek Namaz ke bad dusri Namaz ka intezar karna toh yahi rabbat hai (yani Nafs ko ibadat ke liye rokna)
------
Sahih Muslim Jild 1 , 587
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Wo amal kaunsa hai jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ke woh sache dil se...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jab Allah Subhanhu bande ke saat bhalayee ka irada karta hain to usay duniya mein he jaldi saza deta hain ...
-
Bismillahirrahmannirrahim نَسُوا اللّٰہَ فَنَسِیَہُمۡ ------- Yh Allah ko bhool gaye toh Allah ne bhi inhe bhula diya. -...
No comments:
Post a Comment