❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zaida hain!
Sawal: mahfhum e hadith ke mutabiq Innmai se kaun kaunse amal karne wale shaqs ko dugna sawab milta hai?
A: Sood maaf karne par
B: gulam joh apne RABB ka darr aur aaqa ki itaat karta hain
C: jo londi ko achche adab shikaye aur taleem de aur fir usko azad karke usse nikah kar le
D: Asar ki Namaz padhne wale
E: Quran atak atak ke padhne wale
F: Masjid ek raste se jaye aur laute waqt dusre raste se ayye
G: jo Isa Alahi salam par imaan rakhta tha aur phir Rasool-Allah Sallahu Alahe wa Salam par Imaan laye
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*******************************
Sahi Jawab - BCDEG✅
Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Namaz ( Namaz e Asar ) tumse pahle logo ko di gayee (un par farz ki gayee thi ) to unhone usay zaya Kar diya islye jo bhi iss ki hifazat karega usay uska dugna sawab milega
Sahih Muslim Jild 2 , 1927
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai ( atak atak ke padhna) to usko duguna ajar milega
Jamia Tirmizi, Jild 2,813-Sahih
------
Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne bayan farmaya ”agar koi shakhs apni londi ko achi terhan adab sikhlaye aur poooray taur par usay deen ki taleem de phir usay azad kar ke is se nikah kar le to usay dugna sawab milta hai aur woh shakhs jo pehlay Isa Aalahi Salam par Imaan rakhta tha, phir mujhe par Imaan laya to usay bhi dugna sawab milta hai aur woh ghulam jo apne Rabb ka bhi darr rakhta hai aur apne aaqa ki bhi itaat karta hai to usay bhi dugna sawab milta hai
-----
Sahih Bukhari Hadees # 3446
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment