Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 20 January 2020

Sawal: wo kaunsa amal hai jisse Rasool-Allah Sallahu Alaihi wasallam ne Afzal aur Ashraf amal kaha hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa amal hai jisse Rasool-Allah Sallahu Alaihi wasallam ne Afzal aur Ashraf amal kaha hai?

A: Allah aur uske Rasool par Iman lana
B: Hajj Mabrur karna
C: Jamat ke saath jude rehna
D: Sila Rehami karna
E: Allah ke raste mein Jihad karna
F: Allah Subhanahu ka kasrat se Zikr karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar Jawab G hai toh apna sahi jawab likhe!


******************************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
----------
Syedna Anu Huraira RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se yeh sawal kiya gaya kaun sa amal sab se ziyada fazliat wala aur kaun sa amal sab se behtar hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala aur is ke Rasool par Imaan lana. is ne kaha :Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam iss ke baad kaun sa hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ke rastay mein Jihaad, jo ke afzal aur Ashraf amal hai is ne kaha : phir kaunsa Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam  Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Hajj Mabrur.
----------
سیدنا ابو ہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  سے یہ سوال کیا گیا: کون سا عمل سب سے زیادہ فضلیت والا اور کون سا عمل سب سے بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ اور اس کے رسول پر ایمان لانا۔  اس نے کہا: اے اللہ کے رسول! اس کے بعد کون سا ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ کے راستے میں جہاد ، جو کہ افضل اور اشرف عمل ہے۔  اس نے کہا: پھر کون سا، اے اللہ کے رسول!؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  حج مبرور۔
-----------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 51

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...