Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 20 January 2020

Sawal: Rasool-Allah Sallahu Allahi WaSallam ne kis ke baare mein farmaya ke goya in ki aankhe Roshan sitaare si ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallahu Allahi WaSallam ne kis ke baare mein farmaya ke goya in ki aankhe Roshan sitaare si ho?

A: Jibraiel Alahi Salam
B: Arsh utane wale Faristey
C: Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ki Ummat
D: Isa Alahi Salam
E: Mahdi Alahi Salam
F: Israfeel Alahi Salam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh sahi jawab likhiye

****************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
-------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya ke Sahib Sor (Israfeel Alahi Salam) ko jab se zimmedari di gayi hain wo tayyar haalat mein Arsh ki taraf dehk raha hain is darr se ke kahi usse aankh jhapkane se pehlay he hokum na de diya jaye goya ke is ki aankhe chamkadar (Roshan) sitaare ho.
------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نےفرمایا:صاحب صور(اسرافیل)کو جب سے ذمہ داری دی گئی ہے وہ تیار حالت میں عرش کی طرف دیکھ رہا ہے اس ڈر سے کہ کہیں اسے آنکھ جھپکنے سے پہلے ہی حکم نہ دے دیا جائے گویا کہ اس کی آنکھیں چمکدار ستارے ہوں۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3123

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...