Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaha ke wo Jannat mein daakhil huwe aur unhone waha kisi ki qiraat ki aawaz suni jab Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne poocha kaun hai toh farishton ne jawab diya ke neik shaks issi terhan hote hain.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kaha ke wo Jannat mein daakhil huwe aur unhone waha kisi ki qiraat ki aawaz suni jab Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne poocha kaun hai toh farishton ne jawab diya ke neik shaks issi terhan hote hain.

Sawal1: wo Sahabi kaun thy

A: Ammar RadiAllahu Anhu
B: Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu
C: Musaib ibn Umair RadiAllahu Anhu
D: Abu Ubaida bin Jarah RadiAllahu Anhu
E: Ibn Masood RadiAllahu Anhu
F: Haritha bin Noman RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar?

Sawal2: Wo sahabi kaunsa amal kiya karte thy?

A: Wo Janaze mein hamesha shareek hote thy
B: Wo apne Walida se bahut achcha sulooq kiya karte thy
C: Wo apne biwi ke saath husn aklaq se pesh aate thy
D: Wo Jihad mein hamesha shareek hote thy
E: Wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi se Quran padhna seekhe thy
F: Wo Tahajjud ki namaz kabhi zayaa nahi kiya karte thy
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**********************

Sahi Jawab - FB✅

Reference📚:
-------
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya. Mein Jannat mein daakhil huwa to mein ne qiraat ki aawaz suni. Mein ne kaha yeh kaun hain? Farishtay kehnay lagey : Haritha bin Noman RadiAllahu Anhu, issi terhan neik shakhs hota hain, isi terhan neik shakhs hota hain. Haritha RadiAllahu Anhu apni Walida se bohat achcha sulooq karne walay they.
----------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مرفوعا مروی ہے کہ (رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا): میں جنت میں داخل ہوا تو میں نے قراءت کی آواز سنی۔ میں نے کہا: یہ کون ہے؟ فرشتے کہنے لگے: حارثہ بن نعمان، اسی طرح نیک شخص ہوتا ہے ،اسی طرح نیک شخص ہوتا ہے ۔حارثہرضی اللہ عنہ  اپنی والدہ سے بہت اچھا سلوک کرنے والے تھے۔
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3492

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...