Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sawal : Mahfum e hadith ke mutabiq Joh shaks Allah Subhanahu ke raaste mein faut hojaye usse inmein se kaun kaunsa ajar hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal : Mahfum e hadith ke mutabiq Joh shaks Allah Subhanahu ke raaste mein faut hojaye usse inmein se kaun kaunsa ajar hain?

A: Qabar ke Fitna se mehfooz rahega
B: Bina hisaab kitaab Jannat mai Jayega
C: Jo woh neik amal karta tha uska sawab uske liye jaari rahega
D: Qayamat ke din Uske walidein ku Taaj pehnaya jayega
E: Jannat mai Aap ﷺ ke saath hoga
F: Jannat mai se uska rizq muqarrar hoga
G: Jahannum ki aag uspar haraam hogi
H: Allahu Taala Qayamat ke din Har Darr aur ghabrahat se mehfooz uthayega

I: Sahi Jawab ka Intezaar


***********************************


Sahi Jawab - ACFH✅

Reference📚:
-------
Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jo shaqs Allah Subhanahu ke raaste mein "Ribaat" (Sarhad par padao daale huwe) marr jaaye, toh Woh Jo Neik Amal karta tha uska Sawab uske liye jaari rahega, Jannat mein se uska Rizq muqarrar hoga, Qabar ke fitne se mehfooz rahega, aur Allahu Taala usse Qayamat ke din har darr aur ghabrahat se mehfooz uthayega
____
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“Whoever dies being prepared in the cause of Allah, will be given continuously the reward for the good deeds that he used to do, and he will be rewarded with provision, and he will be kept safe from Fattan, and Allah will raise him on the Day of Resurrection free of fright.”
----
Sunnan e Ibn e Maha hadees # 2767-Sahih Hadees

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...