Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sawal: Inmein se wo kya hai jo barkat ko mita dene wali hoti hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kya hai jo barkat ko mita dene wali hoti hain

A: Garam Garam khana khane se
B: Zaida sone se
C: Bahut zaida baat karne se
D: pait bhar khana khane se
E: Sadqa rokne se
F: Jhooti Gawahi dene se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note❗ : Agar jawab G hai to apna jawab likhiye

******************************

Sahi Jawab - G✅

Mahfhum e hadith: (Samaan baichte waqt dukandaar ke) Qasam khanay se samaan toh jaldi bikk jata hai lekin woh qasam barkat ko mita dene wali hoti hai

Reference📚:
---------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu ke bayan kiya ke mein ne khud Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ko yeh farmatay huwe suna ke (samaan baichte waqt dukandaar ke) qasam khanay se samaan toh jaldi bikk jata hai lekin woh qasam barkat ko mita dene wali hoti hai.
-------
Narrated Abu Huraira:
I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying, "The swearing (by the seller) may persuade the buyer to purchase the goods but that will be deprived of Allah's blessing."
--------
 ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ میں نے خود نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا کہ ( سامان بیچتے وقت دکاندار کے ) قسم کھانے سے سامان تو جلدی بک جاتا ہے لیکن وہ قسم برکت کو مٹا دینے والی ہوتی ہے
------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 2087

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...