Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Miraj ki raat Raool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne dheka ke kuch logo ke Baachein aag ki khinchiyon se kaati jaa rahi thi? Sawal: wo kaun log hai jinke Baachein aag ki khinchiyon se kaati jaa rahi thi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Miraj ki raat Raool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne dheka ke kuch logo ke Baachein aag ki khinchiyon se kaati jaa rahi thi?

Sawal: wo kaun log hai jinke Baachein aag ki khinchiyon se kaati jaa rahi thi?

A: Sharab peene ka aadi
B: Chugal khor
C: Tanna dene wala
D: Gali Galoj karne wala
E: jo log neki ka hukum dete par khud amal karna bhool jate
F: Zina karne wale
G: Sood ki kamayi se luqma khane wala shaqs
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

************************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
------
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne Miaraj ki raat kuch aadmi dekhe jin ke Baachein aag ki khinchiyon se kaati ja rahi thee, mein ne kaha : Eh Jibreel Alahi Salam ye kaun log hain? Jibreel Alahi Salam ne kaha Aap ki ummat ke khateeb, logon ko neki ka hukum dete lekin khud ko bhool jatay halaan ke yeh kitaab Allah parhte thy kya ye Aqal nahi rakhtay thy?
-----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: میں نے معراج کی رات کچھ آدمی دیکھے جن کی باچھیں آگ کی قینچیوں سے کاٹی جا رہی تھیں، میں نے کہا: اے جبریل! یہ کون لوگ ہیں؟ جبریل علیہ السلام نے کہا: آپ کی امت کے خطیب، لوگوں کو نیکی کا حکم دیتے لیکن خود کو بھول جاتے حالانکہ یہ کتاب اللہ پڑھتے تھے کیا یہ عقل نہیں رکھتے تھے؟
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3158

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...