Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 20 January 2020

Sawal: Wo kaun thy jinke hathon aur pavw mein chaar keelen thonk di, jab wo log inke pass se chale jaate toh Faristey un par sayaa kar dete thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kaun thy jinke hathon aur pavw mein chaar keelen thonk di, jab wo log inke pass se chale jaate toh Faristey un par sayaa kar dete thy?

A: Bani Israiel ki qaum ki ek aurat
B: Isa Alahi Salam
C: Asiya Alahi Salam
D: Hajra Alahi Salam
E: Mariyam Alahi Salam
F: Musa Alahi Salam
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai toh sahi jawab likiye

*****************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Firaon ne apni biwi (Asiya Alahe Salam) ke hathon aur pavw mein chaar keelen thonk den, jab woh log is ke paas se chalay jatay to farishtay is par saya kardete. woh kehnay lagi
رَبِّ ابۡنِ  لِیۡ عِنۡدَکَ  بَیۡتًا فِی الۡجَنَّۃِ وَ نَجِّنِیۡ  مِنۡ فِرۡعَوۡنَ  وَ عَمَلِہٖ وَ نَجِّنِیۡ  مِنَ الۡقَوۡمِ الظّٰلِمِیۡنَ{11}
 Eh Mere RABB! apne paas Jannat mein mere liye ek ghar bana, mujhe Firaon aur is ke Amal se nijaat de aur mujhe zalim qoum se nijaat de, tab Allah Subhanahu taala ny usay jannat mein is ka ghar dikhaya.
-----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے موقوفا مروی ہے کہ: فرعون نے اپنی بیوی کے ہاتھوں اور پاؤں میں چار کیلیں ٹھونک دیں ، جب وہ لوگ اس کے پاس  سے چلے  جاتے تو فرشتے اس پر سایہ کردیتے۔ وہ کہنے لگی: *رَبِّ ابۡنِ  لِیۡ عِنۡدَکَ  بَیۡتًا فِی الۡجَنَّۃِ  وَ نَجِّنِیۡ  مِنۡ فِرۡعَوۡنَ  وَ عَمَلِہٖ وَ نَجِّنِیۡ  مِنَ الۡقَوۡمِ الظّٰلِمِیۡنَ ﴿ۙ۱۱﴾    اے میرے رب! اپنے پاس جنت میں میرے لئے ایک گھر بنا ،مجھے فرعون اور اس کے عمل سے نجات دے۔ اور مجھے ظالم قوم سے نجات دے ،تب اللہ تعالیٰ نے اسے جنت میں اس کا گھر دکھادیا
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3125

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...