❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zaida hain!
Sawal : Ek sahabi ne RasooAllah Sallallahu Alaihi wasallam se aise aamal ke baare mein pucha jis se azaab dur ho aur jannat mein dakhila ho to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unko kaun kaun se aamal bataye?
A: Allah ki Ibadat karna
B: Miskeeno ko khana khilana
C: Shirk na karna
D: Hajj karna
E: Ramadan ke roze rakhna
F: Umrah karna
G: Yateem ki parwarish karna
H: Farz Namaze aada karna
I: Zakat aada karna
J: Jo rawaiya tum apne liye pasand karte ho dusro ke saath bhi wahi rawaiya rakhna
K: Sahi Jawab ka Intezaar
*****************************
Sahi Jawab – ACDEFHIJ✅
Reference📚:
-----
Mohammad bin Jihada ek aadmi se woh apne ek saathi se jis ka talluq Banu Ambar se hai woh apne waalid se jis ki kuniat Abu Al Muntafiq hai thi bayan karte hain is ne kaha ke mein mecca aaya aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke barey mein poocha? logon ne kaha Aap Sallallahu Alaihi wasallam Urfa mein hain. Mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur Aap ke qareeb hone ki koshish ki toh logon ne mujhe rok liya. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya usay chor doh mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke qareeb huwa jab meri sawari ki gardan Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki sawari ki gardan ke samnay aagai to mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujhe aise Amal ke bare mein bataiye jo mujhe Allah Subhanahu ke azaab se durr kar de aur Jannat mein daakhil kar de... Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya (1) Tum Allah ki ibadat karo ( ek riwayet mein hai ke ibadat kar ) aur is ke saath kisi cheez ko shareek na banao (2) Farz namaz ada karo (3) Farz zakaat ada karo (4) Ramadaan ke rozay rakho (5) Hajj aur Umrah karo (6) aur dekho ke tum logon ke kis rawaiya ko pasand karte ho to un ke saath bhi aise he bartao karo aur un ke jis tarz e Amal ko tum apne haq mein na pasand kar te ho un ke sath bhi waisa tarz e amal na karo.
---------
محمد بن جحادہ ایک آدمی سے وہ اپنے ایک ساتھی سے جس کا تعلق بنوعنبر سے ہے وہ اپنے والد سے جس کی کنیت ابو المنتفق ہے تھی بیان کرتے ہیں اس نے کہا کہ میں مکہ آیا اور رسول اللہ (ﷺ) کے بارے میں پوچھا؟ لوگوں نے کہا آپ عرفہ میں ہیں۔ میں آپ کے پاس آیا اور آپ کے قریب ہونے کی کوشش کی تو لوگوں نے مجھے روک لیا۔ آپ (ﷺ) نے فرمایا اسے چھوڑ دو میں آپ (ﷺ) کے قریب ہوا جب میری سواری کی گردن آپ (ﷺ) کی سواری کی گردن کے سامنے آگئی تو میں نے کہا اے اللہ کے رسول مجھے ایسے عمل کے بارے میں بتائیے جو مجھے اللہ کے عذاب سے دور کر دے اور جنت میں داخل کر دے ؟ آپ (ﷺ) نے فرمایا ( ۱ ) تم اللہ کی عبادت کرو ( ایک روایت میں ہے کہ عبادت کر ) اور اس کے ساتھ کسی چیز کو شریک نہ بناؤ ( ۲ ) فرض نماز ادا کرو ( ۳ ) فرض زکاۃ ادا کرو ( ۴ ) رمضان کے روزے رکھو ( ۵ ) حج اور عمرہ کرو ( ۶ ) اور دیکھو کہ تم لوگوں کے کس روئیے کو پسند کرتے ہو تو ان کے ساتھ بھی ایسا ہی برتاؤ کرو اور ان کے جس طرزعمل کو تم اپنے حق میں نا پسند کر تے ہو ان کے ساتھ بھی ویسا طرزعمل نہ کرو۔
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 6
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment