❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zaida hain
Ek baar Bani Israel ka ek badsha ne ek aadmi ko pakad liya aur usse kuch cheezo ka iktiyar diya aur kaha agar wo aisa na kare toh wo usse qatal kardega. Uss aadmi ne un tammam cheezo mein se sharab ko chuna uske baad uss aadmi mein wo sab kiya jis ka iktiyar usse diya gaya tha.
Sawal: Sharab peene ke baad uss aadmi ne kya kya kiya?
A: Bacche ka qatal
B: Riba
C: Khinzeer ka gosh
D: Juwa
E: Zulm
F: Zina
G: Chori
H: Sahi Jawab ka Intezaar
************************
Sahi Jawab - ACF✅
Reference📚:
-------
Salim bin Abdulah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo apne waalid se riwayat karte hain ke Abu baker Siddiq RadiAllahu Anhu, Umar bin Khattab RadiAllahu Anhu aur Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ke kuch sahaba Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ki wafaat ke baad baithy sab se badhe kabira gunah ka tazkira kar rahay thy un ke paas is bare mein koi hatmi ilm nahi tha. (jis par woh sab mutafiq ho sakin) unhon ne mujhe Abdulah ban Umro bin Aaas RadiAllahu Anhu ki taraf bheja ke mein un se is baray mein sawal karoon, unhon ne mujhe bataya ke sab se bara kabira gunah Sharaab piinaa hai mein un ke paas aaya aur inhen bataya to unhon ne is baat ka inkaar kar diya aur sab ke sab un ki taraf chal parre. (aur un ke ghar aagaye) Abdulah RadiAllahu Anhu ne inhen bataya ke Rasool-Allah Sallalahu Allahi WaSallam ne farmaya Bani Israel mein ek badshah ne ek aadmi ko pakada aur usay ikhtiyar diya ke woh sharaab piye ya bachay ko qatal kar de ya zina kare ya khanzeer ka gosht khaye agar is ne inkaar kiya to woh usay qatal kar denge is ne Sharaab ko ikhtiyar kiya, jab is ne sharaab pi li, to jin kamon ka is se mutalba huwa tha kisi se bhi baaz nahi raha, is waqt Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne hum se farmaya jo shakhs sharaab peeta hai chalees din taq is ki namaz qubool nahi hoti aur jo shakhs marr jaye aur is ke masanay mein kuch (thori si hi) sharaab ho to is par Jannat haraam hai, aur agar woh chalees din ke andar marr jaye to woh jahaliat ki Maut marega.
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3127
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Monday, 20 January 2020
Ek baar Bani Israel ka ek badsha ne ek aadmi ko pakad liya aur usse kuch cheezo ka iktiyar diya aur kaha agar wo aisa na kare toh wo usse qatal kardega. Uss aadmi ne un tammam cheezo mein se sharab ko chuna uske baad uss aadmi mein wo sab kiya jis ka iktiyar usse diya gaya tha. Sawal: Sharab peene ke baad uss aadmi ne kya kya kiya?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do Sawal hai! Ek baar Rasool-Allah Alaihi wasallam ne farmya ke qayamat ke din Allah Subhanahu ek Nabi se farmaye g...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Mareez ki ayadat kare toh uske liye dua kare ke Eh Allah tu apne bande ko shifa de ----- Abdullah bin Umar...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَ ہُوَ مَعَکُمۡ اَیۡنَ مَا کُنۡتُمۡ ------ Aur jahan kahi tum ho Allah Subahnahu tumharay saat...
-
Bismillahirahmanirrahim Hadith: Kasrat se La hawla wa la Quwwata illa billah padhne ki fazilat ---- Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Allah Subhanahu ke raza ke liye gusse ka ghoont peena sabse fazilat wala hain ----- Rasool-Allah Sallalla...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ ❗Jawab ek se ziyada hain Sawal: Allah Subhanahu se dua mangte waqt kaun se kalimat kehne per Allah Subhanahu farma...
-
Bismilahirrahmanirrahim La ilaha illAllah kahne ki fazilat ---------------- Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne fa...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغْفِرَةٍ لِّلنَّاسِ عَلَىٰ ظُلْمِهِمْ ----- Aur Aap ka RABB logon ko un ke zulm o zayadati...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do Sawal hain❗ Sawal: Kaunse qaum ke liye Allah subhanahu ne ek muqammal surat nazil ki thi jismein srif unhe ka z...
No comments:
Post a Comment