Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 20 January 2020

Sawal: ek baar Rasool-Allah SallAllahu Alaihi waSallam ne misaal di ke wo iss terhan hain jiss ke teen dost hain wo kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hain

Sawal: ek baar Rasool-Allah SallAllahu Alaihi waSallam ne misaal di ke wo iss terhan hain jiss ke teen dost hain wo kaun hain?

A: Biwi bacche
B: Maut, Zindagi aur beemari
C: Amal
D: Maal
E: Namaz, Zakat aur Hajj
F: Quran, Ilm aur sadqa
G: Bhakeel, Fuzul kharch, Qata taluq
H: Sood, Zina aur Sharab

I: Sahi Jawab ka Intezaar


**************************************

Sahi Jawab - ACD✅

Reference📚:
-------
Noman bin Bushairi RadiAllahu Anhu kehte hai ke Rasool-Allah SallAllahu Alaihi waSallam ne farmaya Momin aur maut ki missal is aadmi ki terhan hain jiss ke teen dost hain, ek Maal hain is ne kaha jitna chaho le aoo, dusre ne kaha mein tumahray saath hon jab tum marr jaoge to qabar mein utaar dunga aur teesray ne kaha mein tumahray saath hon, aur tumahray saath hi niklunga pehla dost maal hai, dosra dost is ke biwi bachay hain, aur teesra dost is ka Amal hain.
---------
نعمان بن بشیررضی اللہ عنہما كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: مومن اور موت كی مثال اس آدمی كی طرح ہے جس كے تین دوست ہیں، ایك مال ہے، اس نے كہا: جتنا چاہو لے لو، دوسرے نے كہا: میں تمہارے ساتھ ہوں جب تم مر جاؤ گے تو قبر میں اتار دوں گا۔ اور تیسرے نے كہا: میں تمہارے ساتھ ہوں، اور تمہارے ساتھ ہی نکلوں گا۔ پہلا دوست مال ہے ، دوسرا دوست اس كے بیوی بچے ہیں، اور تیسرا دوست اس كا عمل ہے
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3308

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...