Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 30 January 2020

Aur Aap ka RABB logon ko un ke zulm o zayadati ke bawajood badah bakhsnay wala hai.




Bismillahirrahmannirrahim

وَإِنَّ رَبَّكَ لَذُو مَغْفِرَةٍ لِّلنَّاسِ عَلَىٰ ظُلْمِهِمْ
-----
Aur Aap ka RABB logon ko un ke zulm o zayadati ke bawajood badah bakhsnay wala hai.
-----
 اور آپ کا رب لوگوں کو ان کے ظلم و زیادتی کے باوجود بڑا بخشنے والا ہے
-----
और आप का रब्ब लोगों को उन के ज़ुल्म ओ ज़यदती के बावजूद बदह बख्शने वाला है.
-----
And Indeed your Lord is full of forgiveness for the people despite their wrongdoing
-----
Surah Ar-Ra'd: (13:06)

Durud Surah Al Azhab




*Bismillahirrahmanirrahim* *إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا* ------------- Beshak Allah subhanahu aur uske farishte Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par durud bhejte hain, Eh imaan walo tum bhi un par durud aur salam bheja karo. -------- Verily ! Allah and His angels send blessings on the Prophet ( Sallallahu Alaihi Wasallam): O you who believe! Send your blessings on him, and salute him with all respect. Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

Durud e Ibrahim



Ek baar ek Nabi Alahi Salam ne Allah Subhanahu se kuch khoobiyon ke bare mein sawal kiya jis ke bare mein wo gumaan karte thy ke wo khoobiya unhi mein hain.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar ek Nabi Alahi Salam ne Allah Subhanahu se kuch khoobiyon ke bare mein sawal kiya jis ke bare mein wo gumaan karte thy ke wo khoobiya unhi mein hain. 

Wo Nabi ne Allah Subhanahu se kaun kaunsa sawal kiye thy?

Sahi Milan kijiye

1. Kaunsa bandah sabse zaiyda taqwa wala hain
2. Kaunsa bandah sabse hidayat yafta hain
3. Kaunsa bandah sabse ziyada insaaf pasand hain
4. Kaunsa bandah sabse ziyada ilm wala hain
5. Kaunsa bandah sabse ziyada Muaziz hain
6. Kaunsa bandah sabse ziyada ghanni hain
7. Kaunsa bandah sabse ziyada Mohtaaj hain

A. jo shakhs maldaar honay ke bawajood usay apne liye kum samjhta ho
B. jo logon ke liye bhi wahi karta (faisla karta) hai jo khud apne aap ke liye karta hai
C. jo shakhs qudrat rakhnay ke bawajood maaf karde
D. jo (mujhe) yaad karta rehta hai, bhulta nahi
E. jo usay de diya jaye is par raazi ho jaye
F. jo hidaayat ki pairwi karta hain
G. jo ilm se sair nahi hota, logon ke ilm ko apne ilm mein jama karta rehta hai
H. Inmein se koi nahi


I. Sahi Jawab ka Intezaar

kaunse azkar padne per gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samunder ke jhaag ke barabar kuy na ho?



Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zyada hai!

Sawal: kaunse azkar padne per gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samunder ke jhaag ke barabar kuy na ho?

A: 33 baar SubhanAllah, 33 baar Alhamdulillah,
33 baar Allahu Akbar aur 1 baar La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir
B: 33 baar SubhanAllah, 33 baar Alhamdulillah,
34 baar Allahu Akbar
C: 100 baar SubhanAllah, 100 baar Alhamdulillah aur 100 baar Allahu Akbar
D: 100 baar Subhanallahi wa Bihamdehi
E: La haula wa la Quwwata illa billah
F: 100 baar La ilaha ilAllahu
G: Allahu Akbar kabira, wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan wa-Asila
H: Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
I: La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah
J: La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir La Hawla wa La Quwwata illa billah SubhanAllah, Walhamdulillah, Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar

K: Sahi Jawab ka Intezaar?
****************************************
Sahi Jawab - ADIJ

Reference📚:

Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya jo har namaz ke baad
33 baar SubhanALLAH, 33 baar Alhamdulillah, 33 baar Allahu Akbar kahe to ye 99 kalme honge aur usko Ye kahkar 100 kar le (1 baar) La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir to uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho
Sahih Muslim, Jild 2, 1352
--------------------
Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya zameen par koi bhi, jab ye kalimat kahta hai to uske gunah bakhsh diye jate hain chahe wo samundar ke jhaag ke barbar hi kyu na ho
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah
Allah subhanahu  ke siwa koi sachcha mabud nahi aur Allah sabse bada hai aur Allah ke siwa kisi kaam ko karne ki kisi mein na koi taqat hai aur na hi quwwat
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1385-Hasan
----------------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.

لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد
وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله
سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر
-----------
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu,
Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir
La Hawla wa La Quwwata illa billah
SubhanAllah, Walhamdulillah,
Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar
Al Silsila As Sahiha , 415
-----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs Subhanallahi wa Bihamdehi din mein 100 baar kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.
Sahih Muslim, Jild 6 6842

Abdullah Bin Masood Radi-Allahu-Anhu ne jab Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se pucha tha ki Allah ko kaunsa amal mehboob hai to Aap ne kaun kaun se amal bataye?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zayda hai!

Sawal: Abdullah Bin Masood Radi-Allahu-Anhu ne jab Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se pucha tha ki Allah ko kaunsa amal mehboob hai to Aap ne kaun kaun se amal bataye?

A: wo amal jo hameshgi ki jaye chahe wo thoda he ho
B: Neik kaam karne mein itni hi takleef uthao jitni taqat ho
C: Waqt per Namaz padna
D: Waldein ke saath neik suluq karna
E: Jihad karna
F: Mareez ki ayadat karna
G: Janaze mein shareek hona
H: Amanat ki hifazat karna

I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - CDE

Reference📚:

Abdullah bin Masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se pucha ki Allah taala ki baargah mein kaunsa Amal ziyada Mehboob hai, Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne faramaya apney waqt par namaz parhna, maine pucha iskey baad farmaya waldein ke saath neik suluq karna, mainey pucha iskey baad Aapney farmaya Allah ke raastey mein Jihad karna.
Sahih Bukhari, Vol 1, # 527
------------------
Narrated 'Abdullah bin Masood Radi-Allahu-Anhu :I asked the Prophet Peace be upon him "Which deed is the dearest to Allah?" He replied, "To offer the prayers at their early stated fixed times." I asked, "What is the next (in goodness)?" He replied, "To be good and dutiful to your parents" I again asked, "What is the next (in goodness)?" He replied, To participate in Jihad (religious fighting) in Allah's cause."
{Sahih Bukhari, Volume 1, Book 10, Number 505}

Sabse behatreen aur wasat wali kaun si cheez Insan ko mili hai.


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Sabse behatreen aur wasat wali kaun si cheez Insan ko mili hai.

A: Maal
B: Aulad
C: Rizaq
D: Naik Biwi
E: Sehat
F: Sacha Dost
G: Sabr
H: Zikr
I: In mein se koi nahi

J: Sahi Jawab ka Intezaar
Sahi Jawab -G

عن أبي هريرةرضیاللہعنہمرفوعاً: « مَا رُزِقَ عَبْدٌ خَيْرًا لَّه وَلَا أوسَعَ مِنَ الصَّبْرِ». 
---------------------------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke bande ko jitni bhi cheeze di gayi hai inmein sabr se behatar aur wasaath wali koi cheez nahi.
-----------------------------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ :بندے کو جتنی بھی چیزیں دی گئی ہیں ان میں صبر سے بہتر اور وسعت والی کوئی چیز نہیں۔( )
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 395

Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq arab ke liye tabahi us shar se aayegi jis ke waqay hone ka zamana qareeb aagaya hai.



Only-Quran-Hadith Quiz

Sawal: Rasool-Allah () ke irshad ke mutabiq arab ke liye tabahi us shar se aayegi jis ke waqay hone ka zamana qareeb aagaya hai.

Wo shar/fitna kaunsa hai?

A. Dajjal ka fitna
B. Yaman se aag ka nikalna
C. Jahil logo se ilm ka hasil karna
D. Aurto ka fitna
E. Yajooj majooj ka fitna
F. Mulke sham ka khatma
G. Kazzab logo ka jhoti hadith bolna
H. Khawarij ka fitna
I. In mai se koi nahi

J. Sahi jawab ka intezar hai?
Sahi Jawab - E

Reference📚:

Hum ko Zainab Bint-E-Jahsh Radi Allahu Anhuma ne khabar di  ke ek din Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam in ke ghar tashrif laye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam bhot pareshan nazar aa rahe they aur ye farma rahe thy ke Allah Ta'ala ke siwa aur koye mabod nahi, Arab ke liye tabahi us shar se aayegi jis ke waqay hone ka zamana qareeb aagaya hai. aaj yajooj majooj ki diwar mai itna shaggaf paida hogay hai aur Aap sallallahu alaihi wasallam ne ungliyon se halqa bana ker us ki wazahet ki. Ummul momineen zainab radi Allahu anhuma ne bayan kiya ke mai ne arz kiya: Ya Rasool-Allah!hum mai naik log hoge phir bhi hum halak kar diye jayege? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke ha jab khabasate badh jayegi(to aisa hoga).
-------------
 ہم کو زینب بنت ابی جحش رضی اللہ عنہا نے خبر دی کہ ایک دن نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم ان کے گھر تشریف لائے تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم بہت پریشان نظر آ رہے تھے اور یہ فرما رہے تھے کہ اللہ تعالیٰ کے سوا اور کوئی معبود نہیں، عرب کے لیے تباہی اس شر سے آئے گی جس کے واقع ہونے کا زمانہ قریب آ گیا ہے۔ آج یاجوج ماجوج کی دیوار میں اتنا شگاف پیدا ہو گیا ہے اور آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے انگلیوں سے حلقہ بنا کر اس کی وضاحت کی۔ ام المؤمنین زینب رضی اللہ عنہا نے بیان کیا کہ میں نے عرض کیا: یا رسول اللہ! ہم میں نیک لوگ ہوں گے پھر بھی ہم ہلاک کر دیئے جائیں گے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہاں جب خباثتیں بڑھ جائیں گی  ( تو ایسا ہو گا ) ۔
---------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3598

Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke wo nifaq ke ek kisam per mara?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke wo nifaq ke ek kisam per mara?

A: Jisne kabhi Sila Rahmi nahi ki
B: Jisne kabhi dil se La ilaha illAllah nahi padha
C: Jisne Rasool-Allah Sallalahu Alaihi Wasallam ko akahri Nabi nahi mana
D: Jisne kisi museebat mein mubtala musalman ki madad nahi ki
E: Jisne kabhi jamat se namaz adda nahi ki
F: Jisne kabhi Jihad nahi kiya na he kabhi Jihad karne ki niyat ki
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - F

Reference📚:

Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs maar gaya aur is ne nah Jihaad kiya aur na he kabhi is ki niyat ki to woh nifaq ki qismoh mein se ek qisam par mara
-------
Abu Hurairah reported the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam as saying “He who dies without having fought or having felt fighting (against the infidels) to be his duty will die guilty of a kind of hypocrisy. ”
---------
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جو شخص مر گیا اور اس نے نہ جہاد کیا اور نہ ہی کبھی اس کی نیت کی تو وہ نفاق کی قسموں میں سے ایک قسم پر مرا ۔
-------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 2502

Jab Musalman se qabar mein sawal kiya jayega ke unka RABB, Nabi aur Deen ke baare mein toh Allah ke Farman ke mutabiq kaun log gawahi denge?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Jab Musalman se qabar mein sawal kiya jayega ke unka RABB, Nabi aur Deen ke baare mein toh Allah ke Farman ke mutabiq kaun log gawahi denge?

A: Jo apni Jammat se jude rahe
B: Jo Imaan laate hain sachchi baat par
C: Jo jihad karte hain
D: Jo Neik kaam Allah ki raza ke liye karte hai
E: Jo Allah Subahnahu ka darr aur khauf karte thy
F: Jo har haal mein Allah ka shukar karte thy
G: Jo logo per Raham karte thy
H: Jo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam per zayda darood bhejte thy

I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - B

Reference📚:

Barra Bin Azzab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab musalman se qabar mein (is ke RABB, Nabi aur Deen ke baare mein) sawal kiya jaye woh gawahi deta hai ke Allah ke siwa koi mabood barhaq nahi aur yeh ke Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke Rasool hain yeh kehna Allah ke is farmaan ke mutabiq hai Allah un logon ko jo imaan laatay hain sachhi baat par duniya o akhirat mein saabit qadam rakhta hai aur ek riwayat mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat hai, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (یُثَبّتُ اللہُ الَّذِیْنَ امَنُوا بِالْقَوْلِ الثَّبِتِ فِی الْحَیَاۃِ الدُّنْیَا وَ فِی الْاٰخِرَۃِ) azaab qabar ke baaray mein nazil huwi, poocha jaye ga tera RABB kaun hai? toh woh kahega Mera RABB Allah hai aur mere Nabi Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam hain.
----------
براء بن عازب ؓ ، نبی سے روایت کرتے ہیں ، آپ نے فرمایا :’’ جب مسلمان سے قبر میں (اس کے رب ، نبی اور دین کے بارے میں) سوال کیا جائے وہ گواہی دیتا ہے کہ اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں اور یہ کہ محمد () اللہ کے رسول ہیں ۔ یہ کہنا اللہ کے اس فرمان کے مطابق ہے :’’ اللہ ان لوگوں کو جو ایمان لاتے ہیں سچی بات پر دنیا و آخرت میں ثابت قدم رکھتا ہے ۔‘‘ اور ایک روایت میں نبی سے مروی ہے ، آپ نے فرمایا :’’ (یُثَبّتُ اللہُ الَّذِیْنَ امَنُوا بِالْقَوْلِ الثَّبِتِ فِی الْحَیَاۃِ الدُّنْیَا وَ فِی الْاٰخِرَۃِ) عذاب قبر کے بارے میں نازل ہوئی ، پوچھا جائے گا : تیرا رب کون ہے ؟ تو وہ کہے گا : میرا رب اللہ ہے اور میرے نبی محمد () ہیں ۔‘‘
------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 125

Kaunse amal karne ki wajah se Allah subhanahu ek darja buland kar deta hai aur ek ghalti maaf kar deta hai?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zyada hai!

Sawal: Kaunse amal karne ki wajah se Allah subhanahu ek darja buland kar deta hai aur ek ghalti maaf kar deta hai?

A: Khadim ki galtiyo ko 70 martaba se bhi zyada maaf karne par
B: Allah ki rah mai ek raat pehra dene par
C: Huq par hone ke bawajood jhagda na karne par
D: Allah ke liye ek sajda karne par
E: Jab koi achchi tarah wudu kare aur phir masjid ki taraf jaye
F: Waldain ke faut ho janae ke bad unke liye astaghfar karne par
G: Apne ahal wa ayal mai insaf karne par
H: Raste mein se takleef de cheez haata par

I. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - DE

Reference📚:

Abu Fatma Radi Allahu Anhu se riwyat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ne farmaya  Eh Abu Fatma kasrat se sajda karo, kuynaki jo bhi Musalman Allah Tabarak wa Ta’ala ke liye koi ek sajda karta hai, Allah Ta’ala (Jannat mein) is ke badlay ek darja buland kar deta hain aur is ki ek galti khatam kar di jati hain.
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 782
--------------
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasooll-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab tum mein se koi wudhu kare aur achchi tarah wudhu kare, aur phir Masjid ki taraf jaye to uske har qadam par Allah subhanahu uska ek darja buland farma dete hain aur ek khata maaf farma dete hain
----------------
Sunan ibn Majah, Vol 1, 281-Sahih

Wo kya hai jiski wajah se banda bulandi se neeche aa jata hai ?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Mafuhm e Hadith mukamal kijiye!

Sawal: Wo kya hai jiski wajah se  banda bulandi se neeche aa jata hai ?

A: Bure Akhlaq
B: Bad Gumani karna
C: Hasad karna
D: Gheebat karna
E: Nazar lagna
F: Takabbur karna
G: Taqdeer
H: In mein se koi nahi

I:Sahi Jawab ka Intezar?
Sahi Jawab - E

Reference📚:

Hazrat Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai: Nazar lagna Haq hai ,Ye Bulandi wale ko Neeche Utar deti hai ( Bulandi yani kisi auhde ya Admee ke Sehat mein acha hona)
-----------
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے كہ: نظر لگنا حق ہے،یہ بلندی والے کو نیچے اتار دیتی ہے (یعنی کسی عہدے وغیرہ کی بلندی یا آدمی کا صحت میں اچھا ہو نا )
-------------
Sahih hadees
Al-Slisila-tus-Sahiha Hadees# 2327

Kabira gunah inmein se kisko kaha gaya hai?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Kabira gunah inmein se kisko kaha gaya hai?

A: Nikah na karna
B: Allah ki rahmat se na ummed hona
C: Lagatar roze rakhna
D: Be zuban janwar par zulm karna
E: Juma ke din roza rakhna
F: Padosi ko takleef dena
G: In mein se koi nahi

H. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - B

📚Reference:

Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke ek admi ne kaha Eh Allah ke Rasool () Kabair kya hai? Aap () ne farmaya Allah Subhanahu ke saath shirk karna Allah Subhanahu ki Rahmat se na ummed hona aur Allah Subhanahu ki Rahmat se mayus hona
----------------
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ ایك آدمی نے كہا: اے اللہ كے رسول كبائر كیا ہیں؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلمنے فرمایا: اللہ كے ساتھ شرك كرنا اللہ كی رحمت سے نا امید ہونا، اور اللہ كی رحمت سے مایوس ہونا۔
-----------------
Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1050

Jab momin ko Qabr mein apna thikana jannat dikhaya jaata hain toh kya kehta hain?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Jab momin ko Qabr mein apna thikana jannat dikhaya jaata hain toh kya kehta hain?

A. Allah ne mujh ko baksh diya
B. Mera nek amaal ka sila hain
C. Allah ne mujh per Raham kiya
D. Mujhe ghar walon ko khushkabari dena hain
E. Mujhe jaldi se jannat le jao
F. Mera ghar walon ko bhi iski ittela de do
G. Yeh bahut behtareen thikana hain
H. In mein se koi nahi

I. Sahi Jawab ka Intezaar
Sahi Jawab - D

Reference📚

Abu Zubair kehte hain : mein ney syedna Jabir Bin Abdullah RadiAllahu Anhu se qabar mein fitne mein daalnay walay farishton ke mutaliq daryaft kiya, unhon ney kaha : mein ney Rasool- Allah ‌() ko is ke baarey mein yeh farmate huwe suna : logon ko un ki qabron mein aazmaaya jata hai, jab momin ko qabar mein daakhil kiya jata hai aur log usay dafna kar wapas atay hain to ek intehai ba-ruaab farishta is ke paas ajata hai aur kehta hai : tum is shakhsiyat ( Mohammad ‌() ke baarey mein kya kehte ho? Momin jawab deta hai : woh Allah ke Rasool aur bande hain. Farishta is se kehta hai : tum Jahannum mein apne is thikaane ko dekho ke jis se Allah ney tumhe nijaat dilae hai aur apne is thikaane ki taraf dekh, jo Allah taala ney jahannum wali is manzil ke mutabadil tujhe ataa kiya hai, phir woh dono thikanon ko daikhta hai aur kehta hai : mujhe chhorro zara, mein apne ahal khanah ko khushkhabri sunataa hon, lekin is se kaha jata hai : thehar ja Raha masla munafiq ka to jab log usay dafna kar wapas hotay hain to usay bitha kar is se poocha jata hai : tum is hasti ( Mohammad ‌() ke baarey mein kya kehta hai? woh kehta hai : mein nahi jaanta, bas mein bhi wohi keh deta tha, jo dosray log kaha karte thay, pas is se kaha jata hai : to ney samjha nahi, tera jannat mein yeh maqam tha, lekin ab is ke aiwaz tairay liye jahannum mein yeh thikana hai. Syedna Jabir RadiAllahu Anhu kehte hain : mein ney Nabi kareem () ko yeh farmate huwe bhi suna tha ke har aadmi jis aqeday par faut hota hai, is ko isi aqeday par uthaya jata hai, yani momin ko imaan par aur munafiq ko nifaq par .
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 3303

wo kaunsi cheez hai joh Allah Subhanahu aur bande ke beech mein aadhi aadhi taqseem hai?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: wo kaunsi cheez hai joh Allah Subhanahu aur bande ke beech mein aadhi aadhi taqseem hai?

A: Sadqa
B: Roza
C: Namaz
D: Hajj
E: Umrah
F: Aib
G: In mein se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezaar?
Sahi Jawab – C

Reference📚:

Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Jisne namaz mein surah fatiha nahi padhi to uski namaz puri nahi huyee aur uski namaz naqis (adhuri) hai, ye jumla Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne teen baar farmaya, Abu hurairah Radi allahu anhu se logo ne pucha ki jab hum imam ke peeche ho to kya kare? Unhone kaha ki us waqt tum aahista se surah fatiha padh liya karo, kyunki maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko ye farmate huye suna hai ki
Allah subhanahu farmata hai namaz mere aur mere bando ke darmiyan aadhi aadhi taqseem ho chuki hai aur mera banda jo sawal karta hai wo pura kiya jata hai jab koi shakhs Al-hamdu lillahi Rabb il-'alamin kahta hai to Allah subhanahu farmata hai ki mere bande ne meri tarif ki aur jab Ar-Rahman Ar-Raheem kahta hai to Allah subhanahu farmata hai mere bande ne meri tausif ki, aur jab banda Maliki yawmi-d-Din kahta hai to Allah subhanahu farmata hai mere bande ne mere buzurgi bayan ki, aur ye bhi farmata hai ki mere bande ne apne sab kaam mere supurd kar diye
aur namazi jab Iyya-ka na'budu wa iyya-ka nasta'in kahta hai to Allah subhanahu farmata hai ye mere aur mere bande ke darmiyan ka muamla hai mera banda jo sawal karega wo usko milega
phir jab namazi apni namaz mein Ihdinassirat al-mustaqim , Sirat al-lazina an'amta 'alai-him , Ghair il-Maghdubi 'alai-him wa la-d-dallin kahta hai to Allah subhanahu farmata hai
ye sab mere is bande ke liye hai, jo wo talab karega usko diya jayega

Sahih Muslim, Jild 2, 878

Kafir jo Neik kaam karte hain unka badla kya hoga?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zyada hai!

Kafir jo Neik kaam karte hain unka badla kya hoga?

A. Unko iska koi badla nahi milta
B. Unko tab tak badla nahi milta jab tak iman na laye
C. Duniya aur aakhirat dono mein uska badla diya jata hai
D. Duniya mein hi badla de diya jata hai
E. Aakhirat mein unke paaas koi neki nahi hogi
F. Aakhirat mein unki nekiyo ke badle azab halka hoga
G. Unke nekiyo ko buraeeyo mein badal diya jayega

H. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - DE

Reference📚:

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa Sallam ne farmaya : Allah Subhanhau Ta'ala Momin ki Neki ke baare mein Zulm nahi karta. Duniya mein bhi iske badle usse Rizq pahochaya jata hai aur Akhirat mein bhi iska badla diya jayega. jabke Kafir ko iski nekiyo ke  badle ( jo is ne Allah ke liye Amal kiye hunge ) duniya mein badla de diya jata hai, jab wo Allah Subahnahu se mulaqaat karega to iski aisi koi neki nahi hogi jiske badle usse ajar diya jaye
--------
انسرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ مومن كی نیكی كے بارے میں ظلم نہیں كرتا ۔ دنیا میں بھی اس كے بدلے اسے رزق پہنچایا جاتا ہے اور آخرت میں بھی اس كا بدلہ دیا جائے گا۔ جب كہ كافر كو اس كی نیكیوں كے بدلے( جو اس نے اللہ كے لئے عمل كئے ہونگے)دنیا میں بدلہ دے دیا جاتا ہے، جب وہ اللہ سے ملاقات كرے گا تو اس كی ایسی كوئی نیكی نہیں ہوگی جس كے بدلے اسے اجر دیا جائے۔
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3647

Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne in mai se kin ke peeche ya kaunsi halat mai namaz padhne se mana kiya hai?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zayda hai!

Sawal: Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne in mai se kin ke peeche ya kaunsi halat mai namaz padhne se mana kiya hai?

A: Pishab ya Pakhana roke kar namaz padne se
B: Balon ko Judha bandh kar namaz padne se
C: Jo Quran ka aalim na ho
D: Jiske dil mein riyakari ho
E: Jo takkabur karta ho
F: kisi soye huwe shaqs ke peeche namaz padne se
G: Baat cheet karne wale shaqs ke peeche namaz padne se
H: Sood len den karne wale ke peeche


I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - ABFG

Reference📚:

Mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke Mauli Abu Rafi ko dekha ke unhon ne Hasan Bin Ali Radi Allahu Anhu ko is haal mein namaz pardte huwe dekha ke woh apne balon ka judha bandhay huwe thay, Abu Radi RadiAllahu Anhu ne usay khol diya, ya is (judha bandhnay) se mana kiya, aur kaha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mana farmaya hai ke aadmi apne balon ko judha bandhay huwe namaz parhay.
-------------
Mukhawwal said: “I heard Abu Sa’d, a man from the people of Madinah, say: ‘I saw Abu Rafi’, the freed slave of the Messenger of Allah (), when he saw Hasan bin ‘Ali performing prayer, with his hair braided. He undid it, or told him not to do that, and said: “The Messenger of Allah () forbade a man from performing prayer with his hair braided.”
--------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 1042
--------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mana farmaya hai ke aadmi namaz padhe aur woh pishaab ya pakhana rokay huwe ho.
--------------
It was narrated from Abu Umamah that: The Messenger of Allah forbade a man to perform prayer when he was suppressing (the urge to urinate or defecate
---------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 617
----------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne baat cheet karne walay, aur soye hue shakhs ke peechay namaz parhnay se mana farmaya hai.
-------------------
It was narrated that Ibn ‘Abbas said: “The Messenger of Allah () forbade performing prayer behind one who is engaged in conversation or one who is sleeping.”
------------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 959

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...