❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Wo kya hai jis mein Ummat ke kuch log hadd se
tajaweez karege?
Jawab ek se zayda hai!
A. Maal kamane mein
B. Meri tarif mein
C. Auwliya Allah ki tazeem mein
D. Paaki hasil karne mein
E. Sajda karne mein
F. Dua karne mein
G. Apne nasab ki tarif karne mein
H. Maal kharch karne mein
I. Sahi jawab ka intezar hai?
Sahi Jawab - DF✅
Reference 📚:
Abdullah Ibn Mughaffal Radi Allahu Anhu ne apne betay ko
kehte suna: Eh Allah ! Mein jab Jannat mein daakhil hon to mujhe Jannat ke
dayen taraf ka safaid Mahal ataa farma, Aap ny kaha mere betay! tum Allah
Subahnahu se Jannat talabb karo aur Jahannum se panah mango, kyunkay mein ny
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmatay suna hai is Ummat mein
anqareeb aisay log paida honge joh Taharat mein (yani paki hasil karne
mein) aur dua mein hadd se tajaweez
karenge.
----------------
Narrated Abdullah Ibn Mughaffal: Abdullah heard his son
praying to Allah: O Allah, I ask Thee a white palace on the right of Paradise
when I enter it. He said: O my son, ask Allah for Paradise and seek refuge in
Him from Hell-Fire, for I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi
wasallam say: In this community there will be some people who will exceed the
limits in purification as well as in supplication.
------------------
عبداللہ بن مغفل
رضی اللہ عنہ
نے اپنے بیٹے
کو کہتے سنا:
اے اللہ! میں
جب جنت میں
داخل ہوں تو مجھے
جنت کے دائیں
طرف کا سفید
محل عطا فرما،
آپ نے کہا:
میرے بیٹے! تم اللہ
سے جنت طلب
کرو اور جہنم
سے پناہ مانگو،
کیونکہ میں نے رسول
اللہ صلی اللہ علیہ
وسلم کو فرماتے
سنا ہے: اس امت
میں عنقریب ایسے
لوگ پیدا ہوں
گے جو طہارت
اور دعا میں
حد سے تجاوز
کریں گے
---------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 96
No comments:
Post a Comment