❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Jab momin ko Qabr mein apna thikana jannat dikhaya
jaata hain toh kya kehta hain?
A. Allah ne mujh ko baksh diya
B. Mera nek amaal ka sila hain
C. Allah ne mujh per Raham kiya
D. Mujhe ghar walon ko khushkabari dena hain
E. Mujhe jaldi se jannat le jao
F. Mera ghar walon ko bhi iski ittela de do
G. Yeh bahut behtareen thikana hain
H. In mein se koi nahi
I. Sahi Jawab ka Intezaar
Sahi Jawab - D✅
Reference📚
Abu Zubair kehte hain : mein ney syedna Jabir Bin Abdullah
RadiAllahu Anhu se qabar mein fitne mein daalnay walay farishton ke mutaliq
daryaft kiya, unhon ney kaha : mein ney Rasool- Allah (ﷺ) ko is ke baarey mein yeh farmate huwe
suna : logon ko un ki qabron mein aazmaaya jata hai, jab momin ko qabar mein
daakhil kiya jata hai aur log usay dafna kar wapas atay hain to ek intehai
ba-ruaab farishta is ke paas ajata hai aur kehta hai : tum is shakhsiyat (
Mohammad (ﷺ) ke
baarey mein kya kehte ho? Momin jawab deta hai : woh Allah ke Rasool aur bande
hain. Farishta is se kehta hai : tum Jahannum mein apne is thikaane ko dekho ke
jis se Allah ney tumhe nijaat dilae hai aur apne is thikaane ki taraf dekh, jo
Allah taala ney jahannum wali is manzil ke mutabadil tujhe ataa kiya hai, phir
woh dono thikanon ko daikhta hai aur kehta hai : mujhe chhorro zara, mein apne
ahal khanah ko khushkhabri sunataa hon, lekin is se kaha jata hai : thehar ja
Raha masla munafiq ka to jab log usay dafna kar wapas hotay hain to usay bitha
kar is se poocha jata hai : tum is hasti ( Mohammad (ﷺ) ke baarey mein kya kehta hai? woh
kehta hai : mein nahi jaanta, bas mein bhi wohi keh deta tha, jo dosray log
kaha karte thay, pas is se kaha jata hai : to ney samjha nahi, tera jannat mein
yeh maqam tha, lekin ab is ke aiwaz tairay liye jahannum mein yeh thikana hai.
Syedna Jabir RadiAllahu Anhu kehte hain : mein ney Nabi kareem (ﷺ) ko yeh farmate huwe
bhi suna tha ke har aadmi jis aqeday par faut hota hai, is ko isi aqeday par uthaya
jata hai, yani momin ko imaan par aur munafiq ko nifaq par .
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 3303
No comments:
Post a Comment