❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zayda hai!
Sawal: In mein se kaunse amal karne walo ke liye
dozak/jahannam ki aag haram kar de jayegi?
A: Dhuhar se pahle ki chaar rakat aur Dhuhar ke baad ki
chaar rakat padne pe
B. Achcha khalaq rakhne wale par
C. 13,14,15 ka roza rakhne walo par
D. Har Peer aur Jumerat ka roza rakhne walo par
E. Sila Rahmi karne
walo par
F. Apne qareeb ke logon ke liye aasani paida karne walo par
G. Mehman nawazi karne walo par
H.Asar se pahle chaar rakat padhne par
I. Tahajjud ki char rakat padhne walo par
J. Laa ilaha ilal-lah ka iqraar karne wale aur is se is ka
maqsood Allah ki khushnadi haasil karna hoga
K. Sahi Jawab ka Intezaar
Sahi Jawab - AFJ✅
Reference📚:
Umm Habibah Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah
sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs Dhuhar se pahle ki chaar rakat
aur Dhuhar ke baad ki chaar rakat ki hifazat kare (yani usko rozana padhe)to us
par Jahannam haram ho jayegi
----------
Sahih Hadees
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1256
---------
Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam mere yahan tashreef
laaye aur farmaya ”koyi bandah jab Qayamat ke din is haalat mein paish hoga ke
is ne kalma « laa ilaha ilal-lah » ka iqraar kiya hoga aur is se is ka maqsood
Allah ki khushnadi haasil karna hogi to Allah Subhanahu taala dozakh ki aag ko
is par haram kar dega.
----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 6423
-----------
Abdullah bin Masud radi Allahu anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne faramya
Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par
Dozakh ki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhs jo apne
qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh
ki aag haram hai)
------------
Sahih Hadees
Jamia Tirmizi,Jild 2,377-Hasan
No comments:
Post a Comment