❗Only-Quran-Hadith Quiz❗
Sawal: Rasool-Allah (ﷺ)
ke irshad ke mutabiq arab ke liye tabahi us shar se aayegi jis ke waqay hone ka
zamana qareeb aagaya hai.
Wo shar/fitna kaunsa hai?
A. Dajjal ka fitna
B. Yaman se aag ka nikalna
C. Jahil logo se ilm ka hasil karna
D. Aurto ka fitna
E. Yajooj majooj ka fitna
F. Mulke sham ka khatma
G. Kazzab logo ka jhoti hadith bolna
H. Khawarij ka fitna
I. In mai se koi nahi
J. Sahi jawab ka intezar hai?
Sahi Jawab - E✅
Reference📚:
Hum ko Zainab Bint-E-Jahsh Radi Allahu Anhuma ne khabar
di ke ek din Nabi Kareem Sallallahu
alaihi wasallam in ke ghar tashrif laye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam bhot
pareshan nazar aa rahe they aur ye farma rahe thy ke Allah Ta'ala ke siwa aur
koye mabod nahi, Arab ke liye tabahi us shar se aayegi jis ke waqay hone ka
zamana qareeb aagaya hai. aaj yajooj majooj ki diwar mai itna shaggaf paida
hogay hai aur Aap sallallahu alaihi wasallam ne ungliyon se halqa bana ker us
ki wazahet ki. Ummul momineen zainab radi Allahu anhuma ne bayan kiya ke mai ne
arz kiya: Ya Rasool-Allah!hum mai naik log hoge phir bhi hum halak kar diye
jayege? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke ha jab khabasate badh
jayegi(to aisa hoga).
-------------
ہم کو
زینب بنت ابی جحش
رضی اللہ عنہا
نے خبر دی
کہ ایک دن
نبی کریم صلی
اللہ علیہ وسلم ان
کے گھر تشریف
لائے تو آپ
صلی اللہ علیہ
وسلم بہت پریشان نظر
آ رہے تھے
اور یہ فرما
رہے تھے کہ
اللہ تعالیٰ کے سوا
اور کوئی معبود
نہیں، عرب کے لیے
تباہی اس شر
سے آئے گی
جس کے واقع
ہونے کا زمانہ
قریب آ گیا
ہے۔ آج یاجوج
ماجوج کی دیوار
میں اتنا شگاف
پیدا ہو گیا
ہے اور آپ
صلی اللہ علیہ
وسلم نے انگلیوں
سے حلقہ بنا
کر اس کی
وضاحت کی۔ ام المؤمنین
زینب رضی اللہ عنہا
نے بیان کیا
کہ میں نے
عرض کیا: یا
رسول اللہ! ہم میں
نیک لوگ ہوں
گے پھر بھی
ہم ہلاک کر
دیئے جائیں گے؟ آپ
صلی اللہ علیہ
وسلم نے فرمایا
کہ ہاں جب
خباثتیں بڑھ جائیں گی ( تو
ایسا ہو گا
) ۔
---------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3598
No comments:
Post a Comment