❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zyada hai!
Sawal: kaunse azkar padne per gunaah bakhsh diye jaate hain
chahe samunder ke jhaag ke barabar kuy na ho?
A: 33 baar SubhanAllah, 33 baar Alhamdulillah,
33 baar Allahu Akbar aur 1 baar La ilaha illal-lah wahdahu
la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir
B: 33 baar SubhanAllah, 33 baar Alhamdulillah,
34 baar Allahu Akbar
C: 100 baar SubhanAllah, 100 baar Alhamdulillah aur 100 baar
Allahu Akbar
D: 100 baar Subhanallahi wa Bihamdehi
E: La haula wa la Quwwata illa billah
F: 100 baar La ilaha ilAllahu
G: Allahu Akbar kabira, wal-hamdu Lillahi kathira, wa
subhan-Allahi bukratan wa-Asila
H: Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum
wa atubu ilaih
I: La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La
Quwwata illa Billah
J: La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, Lahul-mulk wa
lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir La Hawla wa La Quwwata illa billah
SubhanAllah, Walhamdulillah, Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar
K: Sahi Jawab ka Intezaar?
****************************************
Sahi Jawab - ADIJ✅
Sahi Jawab - ADIJ✅
Reference📚:
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya jo har
namaz ke baad
33 baar SubhanALLAH, 33 baar Alhamdulillah, 33 baar Allahu
Akbar kahe to ye 99 kalme honge aur usko Ye kahkar 100 kar le (1 baar) La ilaha
illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa Ala kulli
shayin qadir to uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke
barabar kyu na ho
Sahih Muslim, Jild 2, 1352
--------------------
Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya zameen par koi bhi, jab ye
kalimat kahta hai to uske gunah bakhsh diye jate hain chahe wo samundar ke
jhaag ke barbar hi kyu na ho
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ
وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La
Quwwata illa Billah
Allah subhanahu ke
siwa koi sachcha mabud nahi aur Allah sabse bada hai aur Allah ke siwa kisi
kaam ko karne ki kisi mein na koi taqat hai aur na hi quwwat
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1385-Hasan
----------------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs
bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo
samundar ke jhaag ke barabar ho.
لَا إِلَه إِلَا الله
وَحْدَه لَا شَريك لَه
لَه الْملَك وَلَه
الْحَمْد
وَهو عَلَى كُل شَيْء
قَدِير
لَا حَوْل وَلَا قُوة
إِلَا بِالله
سُبْحَان
الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه
إِلَا الله وَالله أكبر
-----------
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu,
Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir
La Hawla wa La Quwwata illa billah
SubhanAllah, Walhamdulillah,
Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar
Al Silsila As Sahiha , 415
-----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs
Subhanallahi wa Bihamdehi din mein 100 baar kahe uske gunaah mita diye jaynege
chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.
Sahih Muslim, Jild 6 6842
No comments:
Post a Comment