Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 30 January 2020

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne in mein se kis ke liye farmaya ke unki naak khaak alood ho


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zayda hai!

Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne in mein se kis ke liye farmaya ke unki naak khaak alood ho?

A: jisne kabhi bhi Hijama na karwaya ho
B: joh ache aur bure dono amal karte hai
C: Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ka zikr ho aur unper durud na behjne wala
D: wo joh Namaz padhte hai lekin dua nahi mangte
E: wo joh musalmano mein ladayee lagate ho
F: wo joh Ramadan ka mahina paye per apni magfirat na karwa saka
G: Waledain ko burhapay mein paaya ho aur unke saath husny sulooq nah karne ki wajah se jannat ka mustahiq nah bana sakay
H: do rukha insaan

I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - CFG

Reference📚:

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya : ”us shakhs ki naak khaak alood ho jis ke paas mera zikar kiya jaye aur woh shakhs mujh par durud nah bhejhay, aur is shakhs ki bhi naak khaak alood ho jis ki zindagi mein Ramadan ka maheena aaya aur is ki maghfirat huwe baghair woh maheena guzar gaya, aur is shakhs ki bhi naak khaak alood ho jis ne apne Maa Baap ko burhapay mein paaya ho aur woh dono usay un ke sath husn sulooq nah karne ki wajah se jannat ka mustahiq nah bana sakay hon“, Abdul Rahman ( Ravi ) kehte hain : mera khayaal yeh hai ke aap ne dono maa baap kaha. ya yeh kaha ke un mein se kisi aik ko bhi burhapay mein paaya ( aur un ki khidmat kar ke apni maghfirat nah kar li ho ) .
----------------
Abu Hurairah narrated that the Messenger of Allah () said: May the man before whom I am mentioned - and he does not send Salat upon me - be humiliated. And may a man upon whom Ramadan enters and then passes, before he is forgiven, be humiliated. And may a man whose parents reached old age in his presence, and they were not a cause for his entrance to Paradise, be humiliated.”
-------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اس شخص کی ناک خاک آلود ہو جس کے پاس میرا ذکر کیا جائے اور وہ شخص مجھ پر درود نہ بھیجے، اور اس شخص کی بھی ناک خاک آلود ہو جس کی زندگی میں رمضان کا مہینہ آیا اور اس کی مغفرت ہوئے بغیر وہ مہینہ گزر گیا، اور اس شخص کی بھی ناک خاک آلود ہو جس نے اپنے ماں باپ کو بڑھاپے میں پایا ہو اور وہ دونوں اسے ان کے ساتھ حسن سلوک نہ کرنے کی وجہ سے جنت کا مستحق نہ بنا سکے ہوں، عبدالرحمٰن  ( راوی )  کہتے ہیں: میرا خیال یہ ہے کہ آپ نے دونوں ماں باپ کہا۔ یا یہ کہا کہ ان میں سے کسی ایک کو بھی بڑھاپے میں پایا  ( اور ان کی خدمت کر کے اپنی مغفرت نہ کر الی ہو
------------
Grade   : Hasan (Darussalam)     
Reference           : Jami` at-Tirmidhi 3545
In-book reference           : Book 48, Hadith 176
English translation           : Vol. 6, Book 45, Hadith 3545

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...