❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Raool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ke irshad ke
mutabiq tum mai se her shakhs Jannat mein dakhil hoga siwaye____?
A: Jis ne pak daman Aurat par tohmat lagaye
B: Jis ne Yahood aur Nasara ko apne fayede ke liye dost
banaya
C: Jis ne Allah aur uske Rasool ke ahkam ke khilaf jaker
Musalmano mein behayayi phailaye
D: Jis ne Jung ke dauran Aurto Bacho aur Budho ko Qatal kiya
E: Jis ne Allah ke khilaf iss tarah Sarkashi ki jis tarah
oont apne maliko ke khilaf karta hai
F: In mai se koi nahi
G: Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab – E✅
Reference📚:
Ali Bin Khalid kehte hain ke Abu Imama Radi Allahu Anhu
Khalid Bin Yazid Bin Muawiya ke pass se guzre toh unse kisi naram/Aasani ki
baat sunne ka kaha joh unhone Raool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam se suni ho
unhone kaha Mein ne Raool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam se suna Aap Sallalahu
Alaihi wasallam farma rahe thy tum mein se har shakas Jannat mein daakhil hoga
siwaye is shakhs ke jis ne Allah ke khilaaf is terhan sarkashi ki jis terhan
oont apne malik ke khilaf karta hai.
----------------
علی بن خالد
كہتے ہیں كہ ابو
امامہ باہلیرضی اللہ عنہ خالد
بن یزید بن
معاویہ كے پاس
سے گزرے تو
ان سے كسی
نرم /آسانی کی بات
سنانے كا كہا
جو انہوں نے
رسول اللہ صلی
اللہ علیہ وسلم سے
سنی ہو۔ انہوں
نے كہا: میں
نے رسول اللہ صلی
اللہ علیہ وسلم سے
سنا آپ صلی اللہ علیہ
وسلم فرما رہے تھے
: تم میں سے ہر
شخص جنت میں
داخل ہوگا سوائے اس
شخص كے جس
نے اللہ كے
خلاف اس طرح
سر كشی كی
جس طرح اونٹ
اپنے مالكوں كے خلاف
كرتا ہے۔
-----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees #
1494
No comments:
Post a Comment