❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zayda hai!
Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne Jannatul
Firdous ke bare kya irshad farmaya hai?
A. Firdous Jannat ka Buland tareen darja hai
B. Jannatul Nayeem Jannatul ke niche hai
C. Jannatul Firdous se 4 Nahre bah rahi hai
D. Arsh Jannatul Firdous ke uper hai
E. Allah Tabarak o taala se sawal karo to Firdous ka sawal
karo.
F. Jannatul firdous puri sone aur yaqut se bani hai
G. Jannatul firdous Jannat ka wasti aur Khubsurat tareen
hissa hai
H. Jannatul Firdous se Shahad ki nahre nikalti hai
I. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - ACDEG✅
Reference📚:
Ubda Bin Samat Radi Allahu Anhu kehte hain ki Rasool-Allah
Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Jannat ke sau (100) darje hain, har darje
ke darmain sau(100) saal ki masafat hai aur aafan ne kaha Aasman o zameen ke
darmain jitna faasla hai. Firdous Jannat ka buland tareen darjaa hai, is se
chaar nahare beh rahi hain, Arsh is ke upar hai aur jab tum Allah Tabarak o
taala se sawal karo to Firdous ka sawal karo.
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1479
--------------------
Samrah RadiAllahu Anhu se marfua rivayat hai ki Firdous
Jannat ka Buland hissa hai, aur yeh Jannat ka wasti aur khoobsurat tareen hissa
hai.
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees #
1491
No comments:
Post a Comment