❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zayda hai!
Sawal: Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne in mai se
kin ke peeche ya kaunsi halat mai namaz padhne se mana kiya hai?
A: Pishab ya Pakhana roke kar namaz padne se
B: Balon ko Judha bandh kar namaz padne se
C: Jo Quran ka aalim na ho
D: Jiske dil mein riyakari ho
E: Jo takkabur karta ho
F: kisi soye huwe shaqs ke peeche namaz padne se
G: Baat cheet karne wale shaqs ke peeche namaz padne se
H: Sood len den karne wale ke peeche
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - ABFG✅
Reference📚:
Mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke Mauli Abu
Rafi ko dekha ke unhon ne Hasan Bin Ali Radi Allahu Anhu ko is haal mein namaz
pardte huwe dekha ke woh apne balon ka judha bandhay huwe thay, Abu Radi
RadiAllahu Anhu ne usay khol diya, ya is (judha bandhnay) se mana kiya, aur
kaha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mana farmaya hai ke aadmi apne
balon ko judha bandhay huwe namaz parhay.
-------------
Mukhawwal said: “I heard Abu Sa’d, a man from the people of
Madinah, say: ‘I saw Abu Rafi’, the freed slave of the Messenger of Allah (ﷺ), when he saw Hasan
bin ‘Ali performing prayer, with his hair braided. He undid it, or told him not
to do that, and said: “The Messenger of Allah (ﷺ)
forbade a man from performing prayer with his hair braided.”
--------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 1042
--------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mana farmaya hai
ke aadmi namaz padhe aur woh pishaab ya pakhana rokay huwe ho.
--------------
It was narrated from Abu Umamah that: The Messenger of Allah
forbade a man to perform prayer when he was suppressing (the urge to urinate or
defecate
---------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 617
----------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne baat cheet karne
walay, aur soye hue shakhs ke peechay namaz parhnay se mana farmaya hai.
-------------------
It was narrated that Ibn ‘Abbas said: “The Messenger of
Allah (ﷺ)
forbade performing prayer behind one who is engaged in conversation or one who
is sleeping.”
------------------
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 959
No comments:
Post a Comment