❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Kuch Duao mein Jawab ek se zyada hai.
Sahi milan kijiye
Sawal: Mafhum-e-Hadith ke mutabiq niche di huwi duao ko
kisne ne padha tha?
A.
رَبِّ أَوْزِعْنِي أَنْ أَشْكُرَ نِعْمَتَكَ
الَّتِي أَنْعَمْتَ عَلَيَّ
وَعَلَىٰ وَالِدَيَّ
B.
إِذْ أَوَى الْفِتْيَةُ إِلَى
الْكَهْفِ فَقَالُوا رَبَّنَا آتِنَا
مِن لَّدُنكَ رَحْمَةً
وَهَيِّئْ لَنَا مِنْ أَمْرِنَا
رَشَدًا
C.
حَسْبُنَا
اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ
D.
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ
كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ
كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
E.
اللهم أَذْهِبْ عَنْهُ حَرَّهَا
وَبَرْدَهَا وَوَصَبَهَا
1. Ibrahim Alaihi salam
2. Yahya Alaihi salam
3. Ashab Al-Kahaf ne
4. Musa Alahi Salam
5. Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam
6. Jibraiel Alahi Salam
7. In mai se koi nahi
8. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab -✅
A.7
B.3
C.1 & 5
D. 1 & 5
E. 5
Reference📚:
Phir us (cheenti) ki baat sunkar wo (Sulaiman Alaihi salam)
hans padhe aur kaha :
رَبِّ أَوْزِعْنِي أَنْ أَشْكُرَ نِعْمَتَكَ
الَّتِي أَنْعَمْتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَالِدَيَّ
وَأَنْ أَعْمَلَ صَالِحًا تَرْضَاهُ
وَأَدْخِلْنِي بِرَحْمَتِكَ فِي عِبَادِكَ الصَّالِحِينَ
Eh mere RAB mujhe taufiq de ki main tere ehsan ka shukr karu
jo tune mujh par aur mere maa baap par kiya aur ye ki main neik kaam karu jo tu
pasand kare aur mujhe apni rahmat se apne neik bando mein shamil kar
Surah An-Naml (27), Aayat 19
---------------------------
إِذْ أَوَى الْفِتْيَةُ إِلَى
الْكَهْفِ فَقَالُوا رَبَّنَا آتِنَا
مِن لَّدُنكَ رَحْمَةً
وَهَيِّئْ لَنَا مِنْ أَمْرِنَا
رَشَدًا
Al Quran : Jab wo jawan gaar mein ja baithe to kahne lage Eh
Hamre RAB hum par apne yaha se rahmat nazil farma aur hamare kaam mein kaamyabi
ka saman kar de
Surah Al-Kahaf (18), Aayat 10
------------------
Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem
Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye
panaah talab kiya kartey they aur farmatey they ki tumharey buzurg Dada
(Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke liye inhi
kalamat ke jariye Allah ki panaah maanga kartey they.
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ
كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ
كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
Aawuzu bikalimatillahit-tammah
Min kulli shaytaaniw wa hammah
Wamin kulli aynil Aammah
(Main Panaah maangta hun Allah ki pure purey kalamat ke
jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney
wali nazar-e-bad se.)
{Sahih Bukhari,Vol4,3371}
-------------------------
Kalma «حسبنا
الله ونعم الوكيل» Ibrahim Alahi Salam ney kaha tha is waqt
jab un ko Aag mein dala gaya tha aur yahi kalma Mohammad Sallalahu Alaihi
wasallam ney is waqt kaha tha jab logon ney Musalmano ko darane ke liye kaha
tha ke logon (yani Quresh) ney tumahray khilaaf bara samaan jung akhatta kar
rakha hai, un se daro lekin is baat ney un musalmano ka (josh) imaan aur barha
diya aur yeh musalman bolay ke hamaray liye Allah kaafi hai aur wohi behtareen
kaam bananay wala hai.
---------------
Narrated Ibn `Abbas: 'Allah is Sufficient for us and He Is
the Best Disposer of affairs," was said by Abraham Alahi Salam when he was
thrown into the fire; and it was said by Muhammad Sallalahu Alaihi wasallam
when they (i.e. hypocrites) said, "A great army is gathering against you,
therefore, fear them," but it only increased their faith and they said:
"Allah is Sufficient for us, and He is the Best Disposer (of affairs, for
us)." (3.173)
---------------
کلمہ «حسبنا الله
ونعم الوكيل» ابراہیم علیہ
السلام نے کہا
تھا، اس وقت
جب ان کو
آگ میں ڈالا
گیا تھا اور
یہی کلمہ محمد
صلی اللہ علیہ
وسلم نے اس
وقت کہا تھا
جب لوگوں نے
مسلمانوں کو ڈرانے
کے لیے کہا
تھا کہ لوگوں ( یعنی
قریش ) نے
تمہارے خلاف بڑا سامان
جنگ اکٹھا کر
رکھا ہے، ان سے
ڈرو لیکن اس
بات نے ان
مسلمانوں کا ( جوش
) ایمان
اور بڑھا دیا
اور یہ مسلمان
بولے کہ ہمارے
لیے اللہ کافی
ہے اور وہی
بہترین کام بنانے والا
ہے۔
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 4563
------------------
Abdullah bin umar se rivayat hai ki Aamir ban Rabia aur sahal ban hunaif ghusal
ke iraday se ja tahe they aur jharion ki oot talaash kar rahay thay, Sahal bin
hunaif Radi Allahu Anhu ne ne apna oon
ka jubba utaar kr ek taraf rakha, Aamir bin rabia Radi Allahu Anhu farmate hain
ki main ne unki taraf dekha to unko meri nazar lag gayee jaise hi Wo pani mein gusal krne ke liye daakhil huye
to Pani mein Ek dhamaka (goonj) hua (Mishkat sharif ki sahi rivayat mein hai ki
unhone unke badan ko dekh kar kaha tha ki maine aaj tak itna khubsurat badan
kisi ka nahi dekha , kisi kuwari ladki ka bhi nahi) aage Aamir radi allahu anhu
kahte hain ki maine unke paas aaya aur unko 3 martaba aawaz di to unhone jawab
nahi diya. Main Nabee Sal-Allahu Alaihi wasallam ke pass aaya aur Aapko khabar
di Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam tashreef laye aur paani mein dakhil ho gaye ,
Aapke pindliyo ki safedi mujhe ab bhi yaad hai, Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam
ne unke seene par haath maara aur
farmaya
اللهم أَذْهِبْ عَنْهُ حَرَّهَا
وَبَرْدَهَا وَوَصَبَهَا
Allahumma Azhib Anhu Harraha , Wa Bardaha, Wa Wasabaha
Ya ALLAH is se iski garmee aur iski sardi aur iski beemari
khatam kar de
To wo khade ho gaye Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam
ne farmaya jab tum mein se koi shakhs
apne bhai mein ya uske uske jis mein ya uske mala mein koi aisee cheez dekhe jo
usko pasand ho to wo uske liye barkat ki dua kare kyunki nazar ka lagna haq hai
Al Silsila As Sahiha ,
2042-Sahih
No comments:
Post a Comment