❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Fill in the blanks!
1. Wo zulm jo bakhsha nahi jayega wo____hai.
2. Wo zulm jise Allah Subhanahu Ta'ala bakhsh de ga wo ye
zulm hai jo______hai.
3. Wo zulm jise choda nahi jaye ga wo_____ke zulm hai.
A: Shirk
B: Riyakari
C: Bande aur uske RABB ke darmiyan
D:Ambiyao aur bando ke darmiyan
E: Jhoot
F: Janwaro
G: Bandoh ke zulm hai
H: Waledain
I: Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - ACG✅
📚Reference:
Anas Radi Allahu Anhu se marfua marwi hai ke zulm teen qisam
ke hain Ek zulm ko Allah Subahanhu taala nahi chhorey ga, aur Ek zulm ko
bakhash dega aur teesra zulm bakhsha nahi jayega woh zulm jo bakhsha nahi jaye
ga woh Shirk hai, jisay Allah Subahanhu taala maaf nahi karega. aur woh zulm
jisay Allah Subahanhu taala bakhash dega to woh yeh zulm hai jo bande aur is ke
RABB ke darmiyan hai, aur woh zulm jisay chorra nahi jayega woh bandon ke zulm
hain, Allah Subahanhu taala Ek dosray ko badla lekar dega.
--------------------------
انس رضی
اللہ عنہ سے مرفوعا
مروی ہے كہ
ظلم تین قسم
كے ہیں: ایك
ظلم كو اللہ
تعالیٰ نہیں چھوڑے گا،
اور ایك ظلم
كو بخش دے
گا اور تیسرا
ظلم بخشا نہیں
جائے گا۔ وہ ظلم
جو بخشا نہیں
جائے گا وہ
شرك ہے، جسے
اللہ تعالیٰ معاف نہیں
كرے گا ۔اور
وہ ظلم جسے
اللہ تعالیٰ بخش دے
گا تو وہ
یہ ظلم ہے
جو بندے اور
اس كے رب
كے درمیان ہے،
اور وہ ظلم
جسے چھوڑا نہیں
جائے گا وہ
بندوں كے ظلم
ہیں ، اللہ
تعالیٰ ایك دوسرے كو
بدلہ لے كر
دے گا۔
-------------------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees #
1056
No comments:
Post a Comment