❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Mahfum-e-Hadith ke mutabiq Allah Subahanu taa’la
inmein se kis ki nekiya qayamat ke din fizaoo mein udaa denge?
A: jisne dhikawe ke liye duniya mein amal kiye
B: jisne apne waledain ki kidmat nahi ki
C: jisne sabke samne neik kaam kiye lekin tanhayi mein haram
kaam kiye
D: jisne namaz ke baad dua nahi mangi
E: jisne apne baap ka inkaar kiya
F: jisne yateem ka maal kha liya
G: apni gunaho ko kulam kulla izhaar karne wale jabse Allah Subahnahu
ne uske gunah par parda daal diye tha
H: In mein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - C✅
Reference📚"
Nabi Akram Sallalahu Alaihi wasallam ny farmaya mein apni
ummat mein se aisay logon ko jaanta hon jo Qayamat ke din Tahama ke pahadoh ke
barabar naikiya le kar ayenge, Allah taala un ko fiza mein urrtay huwe zarray
ki terhan bana dega, Thawban RadiAllahu Anhu ny arz kiya Allah ke Rasool
Sallalahu Alaihi wasallam un logon ka haal hum se bayan farmaye aur khol kar
bayan farmaye taake la ilmi aur jahalat ki wajah se hum un mein se nah ho
jayen, Aap Sallalahu Alaihi wasallam ny farmaya jaan lau ke woh tumahray
bhaiyon mein se hi hain, aur tumharii qoum mein se hain, woh bhi raton ko isi
terhan ibadat karenge, jaisay tum ibadat karte ho, lekin woh aisay log hain ke
jab tanhai mein honge to haraam kamon ka irtikaab karenge.
-------------
It was narrated from Thawban that the Prophet (ﷺ) said: I certainly
know people of my nation who will come on the Day of Resurrection with good
deeds like the mountains of Tihamah, but Allah will make them like scattered
dust.” Thawban said: “O Messenger of Allah, describe them to us and tell us
more, so that we will not become of them unknowingly.” He said: “They are your
brothers and from your race, worshipping at night as you do, but they will be
people who, when they are alone, transgress the sacred limits of Allah.”
-----------
نبی اکرم صلی
اللہ علیہ وسلم نے
فرمایا: میں
اپنی امت میں سے
ایسے لوگوں کو جانتا
ہوں جو قیامت
کے دن تہامہ
کے پہاڑوں کے
برابر نیکیاں لے کر
آئیں گے، اللہ تعالیٰ
ان کو فضا
میں اڑتے ہوئے
ذرے کی طرح
بنا دے گا
، ثوبان رضی
اللہ عنہ نے عرض
کیا: اللہ کے رسول!
ان لوگوں کا
حال ہم سے
بیان فرمائیے اور کھول
کر بیان فرمایئے
تاکہ لاعلمی اور جہالت
کی وجہ سے
ہم ان میں
سے نہ ہو
جائیں، آپ صلی
اللہ علیہ وسلم نے
فرمایا: جان
لو کہ وہ
تمہارے بھائیوں میں سے
ہی ہیں، اور
تمہاری قوم میں سے
ہیں، وہ بھی
راتوں کو اسی
طرح عبادت کریں
گے، جیسے تم
عبادت کرتے ہو، لیکن
وہ ایسے لوگ
ہیں کہ جب
تنہائی میں ہوں گے
تو حرام کاموں
کا ارتکاب کریں
گے ۔
-------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees #
4245
No comments:
Post a Comment