Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 30 January 2020

ye kiske liye kaha gaya hai ke un ko letey huwe bail ki surat mein Qayamat ke din aag mein phenk diya jayega?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zayda hai!

Sawal: Mafhum-e-Hadith ke mutabiq ye kiske liye kaha gaya hai ke un ko letey huwe bail ki surat mein Qayamat ke din aag mein phenk diya jayega?

A. Abu Jahel
B. Shaitan
C. Chand
D. Kafir
E. Suraj
F. Yahudi
G. Munafiq
H. Zameen

I. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - CE

Reference📚:

AbdalAziz Bin Mukhtaar Bin Abdulah Danaaj se rivayat hai  ke mein Abbu Salma Bin Abdul Rahman ke paas majood tha jo ek masjid mein baithy huwe thy. Khalid Bin Abdulah Bin Khalid Bin Alsayed ka daur tha, Hasan aaye aur un ke paas baith gaye aur hum se guftagu karne lagey. Abbu Salma ny Abbu Huraira Radi Allahu Anhu se hadees bayan ki ke: Rasool-Allah  Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Sooraj aur Chaand ko letey huwe bail ki surat mein qayamat ke din aag mein phenk diya jayega. Hasan ny kaha un ki dume kitni lambi hongi? Abbu Salma nay kaha mein nay tumhe Rasool- Allah  Sallalahu Alaihi wasallam ki hadees bayan ki hai tab Hasan khamosh hogaye.
---------------
عَنْ عَبْدِ الْعَزِيز بن الْمُخْتَار، عَنْ عَبْدِ اللهِ الدَّانَاج : شَهِدَتُ أَبَا سَلْمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَحْمَن جَلَس فِي مَسْجِدٍ فِي زَمَن خَالِد بن عَبْد الله بن خَالد بن أَسِيد قَالَ : فَجَاء الحَسَنُ فَجَلَس إِلَيْهِ فَتَحَدَّثَنَا فَقَالَ أبو سَلْمَةَ: حَدَّثَنَا أَبُوْ هُرَيْرَة عَنِ النَّبِيِّ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم قَالَ: الشَّمْسُ وَالْقَمَرُ ثَوْرَان مُكَوَّرَان فِی النَّارِ يَوْمَ الْقِيَامَة فَقَالَ الْحَسنُ : مَا ذَنْبُهُمَا ؟ فَقَالَ: إِنَّمَا أُحَدِّثُك عَنْ رَسُولِ اللهِ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم فَسَكَت الْحَسَنُ .  
-----------------
عبدالعزیز بن مختار بن عبداللہ دناج سے مروی ہے كہ میں ابو سلمہ بن عبدالرحمن كے پاس موجود تھا جو ایك مسجد میں بیٹھے ہوئے تھے۔ خالد بن  عبداللہ بن خالد بن اسید كا دور تھا، حسن آئے اور ان كے پاس بیٹھ گئے  اور ہم سے گفتگو کرنے لگے۔ ابو سلمہ نے ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ  سے حدیث بیان کی کہ: رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سورج اور چاند كو لیٹے ہوئے بیل كی صور ت میں قیامت كے دن آگ میں پھینك دیا جائے گا۔حسن نے كہا: ان كی دمیں كتنی لمبی ہوں گی؟ ابو سلمہ نے كہا: میں نے تمہیں رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم كی حدیث بیان كی ہے ۔تب حسن خاموش ہوگئے۔
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1486

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...