Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 30 January 2020

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne ye kis ke liye farmaya ke inke naik logo ki naiki qubool kare aur un ke burai ki burai se darr guzar kare.






Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne ye kis ke liye farmaya ke inke naik logo ki naiki qubool kare aur un ke burai ki burai se darr guzar kare.

A: Yamani
B: Muhajir
C: Habshi
D: Madina ke rehne wale
E: Ansar
F: In mai se koi nahi

G: Sahi jawab ka intezar hai



Sahi Jawab - E

Reference📚:

Nabi Kareem Sallalahu Alaihi wasallam minbar par tashreef laaye minbar par yeh Aap ki aakhri baithak thi. Aap dono shaanon se chadar lapaitay huwe thy aur sir mubarak par ek patti bandh rakhi thi. Aap ney hamd o Sana ke baad farmaya logo! Meri baat suno chunancha log aap ki taraf kalaam mubarak suneney ke liye mutawajjah ho gaye phir Aap ney farmaya « Amma ba'du » yh qabeela Ansar ke log (anay walay daur mein) tadaad mein bohat kum ho jayen ge pas Mohammad Sallalahu Alaihi wasallam ki ummat ka jo shakhs bhi haakim ho aur usay naffa o nuqsaan pohanchanay ki taaqat ho to Ansar ke naik logon ki neki qubool kere aur un ke buray ki buraiee se dar guzar kere .
-----------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم منبر پر تشریف لائے۔ منبر پر یہ آپ کی آخری بیٹھک تھی۔ آپ دونوں شانوں سے چادر لپیٹے ہوئے تھے اور سر مبارک پر ایک پٹی باندھ رکھی تھی۔ آپ نے حمد و ثنا کے بعد فرمایا لوگو! میری بات سنو۔ چنانچہ لوگ آپ کی طرف کلام مبارک سننے کے لیے متوجہ ہو گئے۔ پھر آپ نے فرمایا «امابعد» ! یہ قبیلہ انصار کے لوگ  ( آنے والے دور میں )  تعداد میں بہت کم ہو جائیں گے پس محمد صلی اللہ علیہ وسلم کی امت کا جو شخص بھی حاکم ہو اور اسے نفع و نقصان پہنچانے کی طاقت ہو تو انصار کے نیک لوگوں کی نیکی قبول کرے اور ان کے برے کی برائی سے درگزر کرے۔
----------
Narrated Ibn `Abbas:
Once the Prophet () ascended the pulpit and it was the last gathering in which he took part. He was covering his shoulder with a big cloak and binding his head with an oily bandage. He glorified and praised Allah and said, "O people! Come to me." So the people came and gathered around him and he then said, "Amma ba'du." "From now onward the Ansar will decrease and other people will increase. So anybody who becomes a ruler of the followers of Muhammad and has the power to harm or benefit people then he should accept the good from the benevolent amongst them (Ansar) and overlook the faults of their wrong-doers."
------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 927

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...